Jaam hai, wasl key alaawaa bhee!

by abdbundeli on September 01, 2012, 05:56:10 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1192 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Dour-e-baaraan bhi hai, bulaawaa bhee!
Jaam hai, wasl key alaawaa bhee!!

Aab-e-kousar hai zeyhn par haabee,
Khuld-e-imkaan kaa chhalaawaa bhee!

Hai rawaan dil mein, jigar mein aatish;
To kaheen mubtahij hai laawaa bhee!

Abra hee abra hain nigaahoun mein;
Aur sailaab-e-nou kaa daawaa bhee!

Aik tuu hi naheen wadeed unkaa!
Hain kayee, 'abd' key alaawaa bhee!!

       - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
wasl ki chaah .... by Bulla Ki Jaana in Ghazals
Wasl by javedarshad in Shayri for Dard -e- Judai
Jaam pe jaam pilaye jaa saqi... by daljeet_faqeer in Kaifiyaat-ae-maye
Wasl to wasl hai, taahashra rahaa hai taazah! by abdbundeli in Ghazals
jaam pe jaam chadaye jaa rahe the........ Pramod by Pramod singh in Share:Funny Poetry
mkv
Guest
«Reply #1 on: September 01, 2012, 06:08:41 AM »
Reply with quote
Kya baat hai ABD Sir
Bahut umda..
sabhi ashaar..behatreen par..
2nd sher aur maqte ka javaab naheen.
Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: September 01, 2012, 07:07:53 AM »
Reply with quote
Kya baat hai ABD Sir
Bahut umda..
sabhi ashaar..behatreen par..
2nd sher aur maqte ka javaab naheen.
Applause Applause

Bahut-bahut shukriyah, 'mkv' ji!
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: September 01, 2012, 07:53:50 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: September 01, 2012, 09:00:43 AM »
Reply with quote
Dour-e-baaraan bhi hai, bulaawaa bhee!
Jaam hai, wasl key alaawaa bhee!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aab-e-kousar hai zeyhn par haabee,
Khuld-e-imkaan kaa chhalaawaa bhee!iss sher pey main ekhtalaaf rakhta hoon. per aapki soch kya hai aap hi isey bayaan kar sakte hain...mazeed
icon_silent icon_silent icon_silent icon_silent
Hai rawaan dil mein, jigar mein aatish;
To kaheen mubtahij hai laawaa bhee! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Abra hee abra hain nigaahoun mein;
Aur sailaab-e-nou kaa daawaa bhee! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aik tuu hi naheen wadeed unkaa!
Hain kayee, 'abd' key alaawaa bhee!! Applause Applause Applause Applause

       - abd bundeli




gudssssssssssssssss-ABD
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: September 01, 2012, 12:34:18 PM »
Reply with quote
bahut khoob

Bahut-bahut shukriyah, 'nandbahu' ji!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: September 01, 2012, 04:11:27 PM »
Reply with quote

gudssssssssssssssss-ABD

Bahut-bahut shukriyah, Khamosh ji!
"Aab-e-kousar hai zeyhn par haabee,
Khuld-e-imkaan kaa chhalaawaa bhee!"
Yahaan 'aslee khuld' sey alag aik 'imaginary khuld' kaa bayaan hai! Ham (apney 'karm' par wichaar kiye binaa hee), 'wine of heaven' tathaa 'heaven' key sukhon ko paaney kaa 'chhalaawaa' paaltey hain! 
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #7 on: September 01, 2012, 04:22:08 PM »
Reply with quote
Bahut-bahut shukriyah, Khamosh ji!
"Aab-e-kousar hai zeyhn par haabee,
Khuld-e-imkaan kaa chhalaawaa bhee!"
Yahaan 'aslee khuld' sey alag aik 'imaginary khuld' kaa bayaan hai! Ham (apney 'karm' par wichaar kiye binaa hee), 'wine of heaven' tathaa 'heaven' key sukhon ko paaney kaa 'chhalaawaa' paaltey hain! 

ye to phir naummidii wali baat hai. main gunahgaar hoon phir bhi ALLAH se behtri ki talab krta hoon. iss liye main iss sher sey qatayee ittefaq nahin rakhta. ye kufr ko isharaa karta hai janaab.iss liye mazeed iss baat pey main koi hujjat nahin karo.n gaa icon_silent icon_silent
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: September 01, 2012, 04:55:56 PM »
Reply with quote
ye to phir naummidii wali baat hai. main gunahgaar hoon phir bhi ALLAH se behtri ki talab krta hoon. iss liye main iss sher sey qatayee ittefaq nahin rakhta. ye kufr ko isharaa karta hai janaab.iss liye mazeed iss baat pey main koi hujjat nahin karo.n gaa icon_silent icon_silent
Khamosh ji, yeh sher-o-shayari hai! Janab Asadulla Khan 'Galib' kaa  aik sher aapkee nazar kar rahaa huun:
"Humko maloom hai jannat ki haqeeqat leykin,
Dil ko khush rakhney ka 'Galib' yeh khyaal accha hai."
Sher kee doosaree line mujhey theek sey yaad naheen hai, shaayad yah ho:
Dil key bahlaaney ko 'Galib' yeh khayaal achchhaa hai!

Iskey baad bhi yadi aapko meyrey sher mein 'kufra' kaa ishaaraa nazar aayegaa, to main apnee gazal sey usey hataa doongaa!
  
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: September 01, 2012, 06:12:55 PM »
Reply with quote
Khamosh ji, yeh sher-o-shayari hai! Janab Asadulla Khan 'Galib' kaa  aik sher aapkee nazar kar rahaa huun:
"Humko maloom hai jannat ki haqeeqat leykin,
Dil ko khush rakhney ka 'Galib' yeh khyaal accha hai."
Sher kee doosaree line mujhey theek sey yaad naheen hai, shaayad yah ho:
Dil key bahlaaney ko 'Galib' yeh khayaal achchhaa hai!

Iskey baad bhi yadi aapko meyrey sher mein 'kufra' kaa ishaaraa nazar aayegaa, to main apnee gazal sey usey hataa doongaa!
 



main bakhoobii janta hoon janaab aur mujhey ummid thii aap ka jawaab bhi yehi hoga to ghalib sahab ek shayar they koi auliya ekraam nahin aur maine kabhi iss sher ko appreciate nahin kiya

aur haan nida faazlii ka ek sher shayad aapney bhi sunaa hoga

                ghar sey masjid hai bahut door chlo yunn kar lein
                kisi rotey huey bachchey ko hansayaa jaaye.!!

main iss tarah ke kisi bhi kalaam ko zarur tanqeed karta hoon

baharkaif ye aap ka apna phail hai.

iss liye sher-o-shari ke hadd ki mayaar zarur rakhni chahiye.

marhoom saghar khayaami sahab ney toranto mein bahut sey kalaam padhey they jisme bada objectionable sher they.

ab merey jaise bewakoof loag sirf sher-o-shayri kah kar nahin taal tey hain... mujey maaf karein

ABD sb aap to MASHAALLAH bahut khoob likha kartey hain buss issi ek sher mein mujey aitraaz hai .
Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Sps
Guest
«Reply #10 on: September 01, 2012, 09:38:43 PM »
Reply with quote
very very nice!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2012, 05:03:23 AM »
Reply with quote


main bakhoobii janta hoon janaab aur mujhey ummid thii aap ka jawaab bhi yehi hoga to ghalib sahab ek shayar they koi auliya ekraam nahin aur maine kabhi iss sher ko appreciate nahin kiya

aur haan nida faazlii ka ek sher shayad aapney bhi sunaa hoga

                ghar sey masjid hai bahut door chlo yunn kar lein
                kisi rotey huey bachchey ko hansayaa jaaye.!!

main iss tarah ke kisi bhi kalaam ko zarur tanqeed karta hoon

baharkaif ye aap ka apna phail hai.

iss liye sher-o-shari ke hadd ki mayaar zarur rakhni chahiye.

marhoom saghar khayaami sahab ney toranto mein bahut sey kalaam padhey they jisme bada objectionable sher they.

ab merey jaise bewakoof loag sirf sher-o-shayri kah kar nahin taal tey hain... mujey maaf karein

ABD sb aap to MASHAALLAH bahut khoob likha kartey hain buss issi ek sher mein mujey aitraaz hai .
Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile

Khamosh ji,
Main to 'uskey' maykhaaney kaa rind huun (Haalaanki, mainey, dawaaoun mein shaamil 'alcohol' key alaawaa, kabhee bhee sharaab naheen pee hai)! Zaahid-o-Waaiz-o-Naaseh ki 'wiraadaree' sey bhi, 'aik teacher' honey key naatey, meyrey khaasey achchhey taa'lluqaat rahey hain, aur hain bhee! Par, mujhey aap jaisaa 'deen' kaa, is had tak paawand, sirf doosaree baar hee 'nazar-e-zeyhn' mein aayaa hai! Pahley janaab Mohommad saahab they, jinsey ki, isee 'yoindia' par meyree mulaaqaat huyee thee: unhain to 'sharaab' key lafz sey bhee aitraaz thaa!
Mujhey khushee hai, ki, 'deen-o-Quraan pak' key aap jaisey 'aslee zaahid' bhee, shayaron kee is jama'at mein moujood hain!
WOH aapko seyhatmand rakhey wa lambee khush-haal umra ataa karey!  
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: September 02, 2012, 05:09:29 AM »
Reply with quote
very very nice!!

Shukriyaa 'Sps' ji!
Logged
suman59
Guest
«Reply #13 on: September 02, 2012, 07:30:51 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
very nice ghazal abdbundeli jee
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: September 02, 2012, 02:38:52 PM »
Reply with quote
Applause Applause
very nice ghazal abdbundeli jee

Thanks, Suman ji!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 04, 2024, 08:54:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer