JAAN - E - JAAN , SHOLA - BADAN ................ HASAN

by F.H.SIDDIQUI on October 11, 2012, 01:27:18 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3526 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #30 on: December 02, 2012, 05:15:56 AM »
Reply with quote

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaah
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Badi  nawazish  ,  adil  saheb . Mamnoon  hoon .
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ABB NA BACHCHE KI JAAN LE SAAQI ......... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Ameer Hasan :- O meri jaan by Ameer Hasan Malik in Shayri for Khumar -e- Ishq
Do Badan Ek Jaan Jaise..!!....Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kisi Ko Jaan Mili To Kisi Ki Jaan Gayi by Advo.RavinderaRavi in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jaan Pe Jaan Ko by Iqtedar in Shayri for Khumar -e- Ishq
waquif ansari
Guest
«Reply #31 on: December 02, 2012, 02:10:14 PM »
Reply with quote
Wah Janab F.H.SIDDIQUI Saheb, bahut dinoN baad idhar aana hua aur ye aapki naayaab ghazal paRhkar dil se hote hue rooh tak taazgi mehsoos hui. Khoob se khoobtar kahte ja rahe haiN janab, kya kahne. Bahut his naazuk ehsaasaat ki lataafatkhez tarjumaani karti hui ye poori ghazal shuru ta aakhir qaari ko apne qaid mein liye rahti hai. Aisi nafees ghazal kahne k liye dheroN daad k saath mubarakbaad qubul kijiye..
link=topic=96239.msg1270963#msg1270963 date=1349962038]

Teri  zulfoN   ko  ghata , chehre  ko   Mahtaab   likhooN ,
Aye   Sanam  , tere  liye  jhoot  ke  sub  Baab   likhooN


'Jaan-e-jaaN' , 'Shola-badan' , 'Husn-e-Mujassam'  likkhooN ,
Teri  khushnoodi  ki   khatir ,   sabhi   Alqaab   likhooN


ZulfoN  ke   saaye   meiN  ,  tuu  aaj   sula  lay  mujhko ,
MaiN  laboN   say , tere Rukhsar  pe , kuchh  Khwaab  likhooN


Apni  majbooriyaN   kuchh  ,  aur   kuchh   unki   sharteiN '
DooriyaN    kaise   hueeN   ,  kaise   sub   Asbaab   likhooN


Maa  ki   yaad   aaye   to   yeh  aaj  bhi  bhar  jaati  haiN ,
Kaise  khushk  aankhoN  ki  in  jheeloN  ko  , be-aab  likhooN


'Alvida'  likhte   huay  ,  kaanpte    haiN    haath    mere ,
Khat  ke  aakhir  meiN , 'Hasan' , un ko  phir 'Aadaab' likhooN

[/quote]
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #32 on: December 03, 2012, 04:43:16 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoooooooob sir ji..........
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 icon_flower icon_flower
BAHUT  SHUKRIYA  ,  VIMMI JI.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #33 on: December 06, 2012, 07:27:25 AM »
Reply with quote
Mahutram FH Siddiuee Sahib ,,

Kya hi khumaraalod ghazal hai wah wah .......Har sher mutasir kun hai ,,, Ghazal sar sa pa apni misaal aap hai ,,,Aur jub aap maa'n ke mutaliq is bala ke sher kahete hain to yaqeen jaaniye dil uchal ke halaq me aa jata hai ,, aur wah ahh karne ke fauran baad Allah Allah Mashallah kahna zarori ho jaata hai ...dad hazir hai apki asar angez wa tilism angez ghazal ke huzoor ,, Allah mazeed nawaze

Bahut   shukriya   Qadeer   saheb .  Aap   chand   logon  mein  hain jinke  tanqeed o tabsire  neez  daad  mere  liye  khusoosi  ahmiyat  ke  haamil  hain .  Jinse  mumkinah  adam-ittefaqi  ke  bawujood  khaamiyaan  door  karne  mein madad  bhi  milti  hai  aur  par e parwaaz  ko   bulandi ke safar ka hausla bhi . Bahut mashkoor hoon . Duaaein.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #34 on: December 09, 2012, 08:18:51 AM »
Reply with quote
Wah Janab F.H.SIDDIQUI Saheb, bahut dinoN baad idhar aana hua aur ye aapki naayaab ghazal paRhkar dil se hote hue rooh tak taazgi mehsoos hui. Khoob se khoobtar kahte ja rahe haiN janab, kya kahne. Bahut his naazuk ehsaasaat ki lataafatkhez tarjumaani karti hui ye poori ghazal shuru ta aakhir qaari ko apne qaid mein liye rahti hai. Aisi nafees ghazal kahne k liye dheroN daad k saath mubarakbaad qubul kijiye..
link=topic=96239.msg1270963#msg1270963 date=1349962038]
Waquif   bhai ,  Adaab .  Aapke   purkhuloos   alfaaz   hamesha   hi  zahn o dil  ko  eik  khushnuma  ehsaas  aur  hauslon  ko parwaaz  bakhshte  hain . Meri  tooti  phooti  kaavish  ko  is mohabat  se   saraahne  ke  liye  aap  ka  bahut  shukrguzar  hoon .  Ummeed  karta  hoon  ki  aapki  duaaein  milti raheingi.
 duago, Hasan
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #35 on: December 09, 2012, 08:33:58 AM »
Reply with quote

Hasan Sahab...Aadaab!

Waah waah bahut khoob....kya kahney
maza aa gaya...dili mubaarakbaad kubool
farmaayen...

Raqeeb Lucknowi

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #36 on: December 15, 2012, 06:03:28 AM »
Reply with quote
Hasan Sahab...Aadaab!

Waah waah bahut khoob....kya kahney
maza aa gaya...dili mubaarakbaad kubool
farmaayen...

Raqeeb Lucknowi


Satish ji , Hausla afzai ke liye tah e dil  se  mashkoor  hoon
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #37 on: December 17, 2012, 05:02:40 PM »
Reply with quote
waah waah,lajawaab, bahut khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #38 on: December 19, 2012, 11:39:05 AM »
Reply with quote
waah waah,lajawaab, bahut khoob
BAHUT  BAHUT  SHUKRIYA  , DEEPAKJI . BAHUT  DUAAEIN .
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:08:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.177 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer