Jaane kya mazbooriyaN theeN ...MKV

by mkv on January 28, 2014, 02:16:56 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2180 times)
mkv
Guest
Reply with quote
Jaane kya majbooriyaN theeN ajnabi ban kar mila
Aaine se maiN haqeekat poonchta aksar raha

Ho na ho vaadakhilaafi unki aadat meN shumaar
Raat ke sannate meN yeh sochta hi maiN raha

Thak gaya hai aye musaafir baith jaa chaaya tale
Do ghadee aaraam kar le bas yahee maine kaha

Yaad aati hai ravaayat thi jo bachpan meN sunee
Phoonk kar hi chaanch peeta doodh se hai jo jala

Chor ke haathoN meN chaabhi tha bharosa pyaar par
Sab luta deta main tujh par lootkar yuuN kya mila

Sabki khushiyaN chaahta hai bas duaa karta  ‘Chiragh’
dushmanoN se bhi mila to dost bankar voh mila
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ho jaane do..... by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 6 7 »
Na jaane... by qayda in Miscellaneous Shayri
Na Jaane Kya Hai Yeh.....!!!!!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
aik tum theen... (by vb) by vb in Miscellaneous Shayri
eh KAZAA uske jaane tak to, THAHAR jaane de...!! by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: January 28, 2014, 02:42:18 PM »
Reply with quote
Waah waah , bahut khoob Mukesh ji . Khubsurat aur ravaan ghazal
kahi hai . Padh kar tabiat khush ho gai . Dheron daad , khusooosiyat
se in ashaar par :


Jaane kya majbooriyaN theeN ajnabi ban kar mila
Aaine se maiN haqeekat poonchta aksar raha

Yaad aati hai ravaayat thi jo bachpan meN sunee
Phoonk kar hi chaanch peeta doodh se hai jo jala

Chor ke haathoN meN chaabhi tha bharosa pyaar par
Sab luta deta main tujh par lootkar yuuN kya mila


Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: January 28, 2014, 03:01:04 PM »
Reply with quote
Jaane kya mazbooriyaN theeN ajnabi ban kar mila
Aaine se maiN haqeekat poonchta aksar raha

Ho na ho vaadakhilaafi unki aadat meN shumaar
Raat ke sannate meN yeh sochta hi maiN raha

Thak gaya hai aye musaafir baith jaa chaaya tale
Do ghadee aaraam kar le bas yahee maine kaha

Yaad aati hai ravaayat thi jo bachpan meN sunee
Phoonk kar hi chaanch peeta doodh se hai jo jala

Chor ke haathoN meN chaabhi tha bharosa pyaar par
Sab luta deta main tujh par lootkar yuuN kya mila

Sabki khushiyaN chaahta hai bas duaa karta  ‘Chiragh’
dushmanoN se bhi mila to dost bankar voh mila

is ghazal men n jaane kitne chirgon kee roshnee hai dheron daad aur mubarakbaad
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 28, 2014, 04:06:43 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khub MKV Sahab Clapping Smiley
Sabhi Ashaar Mujhey Behad Pasand Aaye
Dad Hi Dad Janaab Clapping Smiley Clapping Smiley


Sahab Kya Ye Yahi Behr Hai
212/212/212/212/212 ?


Shad o Aabaad Rahiye


shihab
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #4 on: January 28, 2014, 07:31:30 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaah kya baat hai ...
bahut bahut aur bahut khoob mukesh ji.. Usual Smile

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aqsh
Guest
«Reply #5 on: January 28, 2014, 08:10:53 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Waaaaaaaaah Mukesh ji... Bahut hi pyaari aur umda peshkash rahi...Sabhi ashaar ek se badhkar ek hai... aapko is khoobsurat peshkash par hazaron hazaron daad qubool ho...
Logged
Aarish
Guest
«Reply #6 on: January 28, 2014, 09:08:26 PM »
Reply with quote
bohut khoob mukesh bhai kya baat he wah wah wah
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #7 on: January 28, 2014, 11:28:12 PM »
Reply with quote
Jaane kya mazbooriyaN theeN ajnabi ban kar mila
Aaine se maiN haqeekat poonchta aksar raha

Ho na ho vaadakhilaafi unki aadat meN shumaar
Raat ke sannate meN yeh sochta hi maiN raha

Thak gaya hai aye musaafir baith jaa chaaya tale
Do ghadee aaraam kar le bas yahee maine kaha

Yaad aati hai ravaayat thi jo bachpan meN sunee
Phoonk kar hi chaanch peeta doodh se hai jo jala

Chor ke haathoN meN chaabhi tha bharosa pyaar par
Sab luta deta main tujh par lootkar yuuN kya mila

Sabki khushiyaN chaahta hai bas duaa karta  ‘Chiragh’
dushmanoN se bhi mila to dost bankar voh mila



excellent example of ghair muddarif,ghazal
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2014, 02:35:52 AM »
Reply with quote
Jaane kya mazbooriyaN theeN ajnabi ban kar mila
Aaine se maiN haqeekat poonchta aksar raha
tum ne jab apni asliyat aaine mein dekhi to ye yaqeen karne ke liye tayaat hi na hue ki tumhaari umr 65 saal ki ho gayi hai ab 25 ke nahin rahe  Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
Ho na ho vaadakhilaafi unki aadat meN shumaar
Raat ke sannate meN yeh sochta hi maiN raha
haan ji sahi socha tum ne main aisi hi hoon kabhi-kabhi tum sahi soch lete ho Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
Thak gaya hai aye musaafir baith jaa chaaya tale
Do ghadee aaraam kar le bas yahee maine kaha
tum ne musafir se nahin mujh se kaha tha main tumhaari baat sun kar ruk gayi aur aisi ruki ki ab takk wahin hoon  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Yaad aati hai ravaayat thi jo bachpan meN sunee
Phoonk kar hi chaanch peeta doodh se hai jo jala
main to iss duniya waalo.n se itni tang aa chuki hoon ke cold drink bhi phhonk kar peeti hoon Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!
Chor ke haathoN meN chaabhi tha bharosa pyaar par
Sab luta deta main tujh par lootkar yuuN kya mila
rahne do ji mujhe per lootayaa hota to aur baat thi tum ne bina soche samjhe jaane kinn churailo.n pe kharche kar diye ab to meri haalat tangi aur crisis  mein hai crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2 crybaby2!
Sabki khushiyaN chaahta hai bas duaa karta  ‘Chiragh’
dushmanoN se bhi mila to dost bankar voh mila

haan haan doosro.n ke saamne to bade bhhale bante phirte ho kabhi mujhe se seedhe munh bhi baat nahin ki apne mehboob ko hi dushman samjha aur dushmano.n ko dost ye kaisi philosophy hai ji tumhaari icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch icon_scratch!



simple and cute rau mkv ji icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2014, 03:12:20 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

क्या बात है..............................
Logged
Bishwajeet Anand Bsu
Guest
«Reply #10 on: January 29, 2014, 01:25:42 PM »
Reply with quote
Jaane kya mazbooriyaN theeN ajnabi ban kar mila
Aaine se maiN haqeekat poonchta aksar raha

Ho na ho vaadakhilaafi unki aadat meN shumaar
Raat ke sannate meN yeh sochta hi maiN raha

Thak gaya hai aye musaafir baith jaa chaaya tale
Do ghadee aaraam kar le bas yahee maine kaha

Yaad aati hai ravaayat thi jo bachpan meN sunee
Phoonk kar hi chaanch peeta doodh se hai jo jala

Chor ke haathoN meN chaabhi tha bharosa pyaar par
Sab luta deta main tujh par lootkar yuuN kya mila

Sabki khushiyaN chaahta hai bas duaa karta  ‘Chiragh’
dushmanoN se bhi mila to dost bankar voh mila

bahut bahut bahut hi khoobsurat ghazal Sir, dheron daad qubool karein....
Logged
mkv
Guest
«Reply #11 on: January 30, 2014, 02:27:33 AM »
Reply with quote
Waah waah , bahut khoob Mukesh ji . Khubsurat aur ravaan ghazal
kahi hai . Padh kar tabiat khush ho gai . Dheron daad , khusooosiyat
se in ashaar par :


Bahot accha laga sir
shukriya
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #12 on: January 30, 2014, 04:30:44 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #13 on: January 30, 2014, 11:39:08 PM »
Reply with quote
waah waah waah Mukesh bhai bahut umda hamesha ki tarah, dheroN daad aur mubarakbaad.
Logged
mkv
Guest
«Reply #14 on: February 01, 2014, 12:51:43 AM »
Reply with quote
Jaane kya mazbooriyaN theeN ajnabi ban kar mila
Aaine se maiN haqeekat poonchta aksar raha

Ho na ho vaadakhilaafi unki aadat meN shumaar
Raat ke sannate meN yeh sochta hi maiN raha

Thak gaya hai aye musaafir baith jaa chaaya tale
Do ghadee aaraam kar le bas yahee maine kaha

Yaad aati hai ravaayat thi jo bachpan meN sunee
Phoonk kar hi chaanch peeta doodh se hai jo jala

Chor ke haathoN meN chaabhi tha bharosa pyaar par
Sab luta deta main tujh par lootkar yuuN kya mila

Sabki khushiyaN chaahta hai bas duaa karta  ‘Chiragh’
dushmanoN se bhi mila to dost bankar voh mila

is ghazal men n jaane kitne chirgon kee roshnee hai dheron daad aur mubarakbaad
Thank you Sir
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:27:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer