sksaini4
Ustaad ae Shayari
Rau: 853
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414 Member Since: Apr 2011
|
|
|
Raah-e-ulfat dikhaaooN tujhe jaaneman. Aaj apnee banaaooN tujhe jaaneman.
Dil kee dhadkan sunaaooN tujhe jaaneman. Aa gale se lagaaooN tujhe jaaneman.
Raat bhar meree palkeN jhapaktee naheeN. Kaise dil se bhulaaooN tujhe jaaneman.
Mujh pe kar le yaqeeN ye hai waadaa meraa. Ab n aage sataaooN tujhe jaaneman.
MaiN deewaanaa hooN janam -o –janam kaa teraa. Raaz dil kaa bataaooN tujhe jaaneman.
Dekh aankhoN meN meraa hai teraa hee aks. Ab kyaa likh kar dikhaaooN tujhe jaaneman.
Toone maangaa hai khoon-e-jigar jo meraa. Zahr kaise pilaaooN tujhe jaaneman.
Tujhko dikhtee naheeN meree maasoomiyat. Kis tarah se rijhaaooN tujhe jaaneman.
Too vatan meN hai pariyoN ke baithee hui. Paas kaise bulaaooN tujhe jaaneman.
Khol kar maine rakh dee hai saaree kitaab . Paath ab kyaa padhaaooN tujhe jaaneman.
Ro uthaa ‘saini’ ab to zaraa muskuraa. Aur kaise hansaaooN tujhe jaaneman.
Dr.Surendra Saini
राह -ए -उल्फ़त दिखाऊँ तुझे जानेमन |
आज अपनी बनाऊँ तुझे जानेमन ||
दिल की धड़कन सुनाऊँ तुझे जानेमन |
आ गले से लगाऊँ तुझे जानेमन ||
रात भर मेरी पलकें झपकती नहीं |
कैसे दिल से भुलाऊँ तुझे जानेमन ||
मुझ पे कर ले यक़ीं ये है वादा मेरा |
अब न आगे सताऊँ तुझे जानेमन ||
मैं दीवाना हूँ जनम -ओ –जनम का तेरा |
राज़ दिल का बताऊँ तुझे जानेमन ||
देख आँखों में मेरा है तेरा ही अक्स |
अब क्या लिख कर दिखाऊँ तुझे जानेमन ||
तूने माँगा है ख़ून -ए -जिगर जो मेरा |
ज़हर कैसे पिलाऊँ तुझे जानेमन ||
तुझको दिखती नहीं मेरी मासूमियत |
किस तरह से रिझाऊँ तुझे जानेमन ||
तू वतन में है परियों के बैठी हुई |
पास कैसे बुलाऊँ तुझे जानेमन ||
खोल कर मैंने रख दी हैसारी किताब |
पाठ अब क्या पढाऊँ तुझे जानेमन ||
रो उठा ‘सैनी’अब तो ज़रा मुस्कुरा |
और कैसे हंसाऊँ तुझे जानेमन ||
डा० सुरेन्द्र सैनी
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
vimmi singh
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 19, 2012, 11:21:25 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mkv
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 19, 2012, 11:41:33 AM » |
|
Aaj to maza aa gaya.. laajavaab ghazal hai Sir gaane me to ekdam mast.. aksar aap is andaaj me nahee likhte..laga jaise barso peeche laut gaye..kya baat hai..bahut umda wah wah wah ab to bhare ghade ko bhi bharna padega..bhale overflow ho jaaye.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Shireen Hakani
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 19, 2012, 11:46:30 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
cara
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 19, 2012, 11:56:44 AM » |
|
Wah Sksaini4 ji wah......
pyar ka paath padhaaoon tujhe jaaneman apna dewaana banaaoon tujhe jaaneman...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #7 on: October 19, 2012, 11:58:02 AM » |
|
waahhh saini ji kya mast gazal kahi hai aapne.... maza aagaya padhkar
|
|
|
Logged
|
|
|
|
anmolarora
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 19, 2012, 12:14:33 PM » |
|
Wah kya bat hai kya bat hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
nandbahu
Mashhur Shayar
Rau: 122
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553 Member Since: Sep 2011
|
|
«Reply #9 on: October 19, 2012, 12:25:14 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
masoom shahjada
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 19, 2012, 12:35:58 PM » |
|
Raah-e-ulfat dikhaaooN tujhe jaaneman. Aaj apnee banaaooN tujhe jaaneman.
Ab kyaa kahoN aapko. Aapke saath to mazaak bhii nahii kar sakte warna.... Dil kee dhadkan sunaaooN tujhe jaaneman. Aa gale se lagaaooN tujhe jaaneman. Hee heee heee hee.. Bhaai public me aesi baateiN nahii Kiyaa karte. Raat bhar meree palkeN jhapaktee naheeN. Kaise dil se bhulaaooN tujhe jaaneman. Yaad karne ka koi bahaana nahi.
Mujh pe kar le yaqeeN ye hai waadaa meraa. Ab n aage sataaooN tujhe jaaneman. beautifulllll MaiN deewaanaa hooN janam -o –janam kaa teraa. Raaz dil kaa bataaooN tujhe jaaneman. Allah re lagta hai aaj to aap kuch jayada hi romantic ho rahe hai. Dekh aankhoN meN meraa hai teraa hee aks. Ab kyaa likh kar dikhaaooN tujhe jaaneman. Likhne se behtar hai, jubaaN se bayaan kar do
Toone maangaa hai khoon-e-jigar jo meraa. Zahr kaise pilaaooN tujhe jaaneman. OMG, there is no blood in ur body. Unbelievable?
Tujhko dikhtee naheeN meree maasoomiyat. Kis tarah se rijhaaooN tujhe jaaneman. Bhabhii ji kahaaN ho aap bhaai ko samhaalo aaj to ye kahar hii dhaa rahe hai
Too vatan meN hai pariyoN ke baithee hui. Paas kaise bulaaooN tujhe jaaneman.
Khol kar maine rakh dee hai saaree kitaab . Paath ab kyaa padhaaooN tujhe jaaneman. waah waah Ro uthaa ‘saini’ ab to zaraa muskuraa. Aur kaise hansaaooN tujhe jaaneman. waah waah
Dr.Surendra Saini Bahut achchii gazal hai. Aapkii es gazal ko parte hu'ae bahut hansii aa rahi thii. Aur bahut sii sharate bhii sujh rahii thi bari mushkil se khud ko kuch likhne se rok paya tha. Par fir bhii kuch likh diyaa. Agar buraa lageN to maaf kar denaa. By the way.. This is a mind blowing gazals...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Ram Saraswat
Khususi Shayar
Rau: 26
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:10 days, 7 hours and 12 minutes.
Posts: 999 Member Since: Apr 2008
|
|
«Reply #11 on: October 19, 2012, 01:03:14 PM » |
|
Dekh aankhoN meN meraa hai teraa hee aks. Ab kyaa likh kar dikhaaooN tujhe jaaneman.
Bahut Khoob Dr. Saini
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
roy
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 19, 2012, 02:09:31 PM » |
|
DAAAAAADD DAAAAAAD DAAAAAD ...... dheroon lakho ... karooroon daaad saini sir aapne kya khoob soorat likha hai ... "tune manga hai jo khoon-e-jigar mera zeher kese pilaun tujhe janeman" waah wwaahhh waaaahhhhhh ... kya baat kahi hai sir
|
|
|
Logged
|
|
|
|
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 115
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:101 days, 3 hours and 51 minutes.
kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.
Posts: 16243 Member Since: Feb 2010
|
|
«Reply #14 on: October 19, 2012, 07:37:07 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|