Jab Bhi Tarz-e-amal Gaya

by A.$.H on September 15, 2010, 05:33:11 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1355 times)
A.$.H
Guest
Reply with quote
Jab bhi tarz e amal gaya mera
Zor dil se nikal gaya mera

Roshni kya chiragh de ga mujhe
Din andheroun main dhal gaya mera

Dhond lijye mujhe jo mumkin ho
Rasta hi badal gaya mera

Duniyan mud jayegi ussi janab
Jis taraf bhi amal gaya mera

Tu gaya hai jo dil ki duniyan se
Hosla hi nikal gaya mera

Zindagi teray ek ishare se
Ashiyana hi jal gaya mera

Uss ki rahmat se zindagi main
Waqt mushkil ka tal gaya mera
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: September 15, 2010, 05:40:00 PM »
Reply with quote
Aadaab Janab .... Usual Smile

Aapka is bazm meiN istqbaal hai..... Kafi umdaa kalaam pesh ki hai aapne tahe dil se har ashaar par daad hazir hai....

behad khoob khayaal aur adaygi lagi hume...
Aise hi lokhate rahiye....
Aate rahiye.... Khush rahiye.... Usual Smile
Khuda Hafez...... Usual Smile           

Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2010, 07:53:35 PM »
Reply with quote
Bohat khoobsurat sharing hai......agar shayer ka nam bhi bata dete to badi meharbani hoti.
Logged
aaina
Guest
«Reply #3 on: September 15, 2010, 09:41:40 PM »
Reply with quote
achchi takhleeq par aapki khidmat mai daad hazir sath hi saath aapka is khoobsurat mehfil mai khairmaqdam hai umeed hai apne kalaamoN se nawaazte rahenge........keep writing

ek baat kehni thi, aap apne is sher ka misra oola dobara daikh laiN, kuch out sa lag raha hai.......

uski rehmat se zindagi mein
wqt mushkil ka tal gaya mera



aslam
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: September 16, 2010, 12:21:08 AM »
Reply with quote
Jab bhi tarz e amal gaya mera
Zor dil se nikal gaya mera

Roshni kya chiragh de ga mujhe
Din andheroun main dhal gaya mera

Dhond lijye mujhe jo mumkin ho
Rasta hi badal gaya mera

Duniyan mud jayegi ussi janab
Jis taraf bhi amal gaya mera

Tu gaya hai jo dil ki duniyan se
Hosla hi nikal gaya mera

Zindagi teray ek ishare se
Ashiyana hi jal gaya mera

Uss ki rahmat se zindagi main
Waqt mushkil ka tal gaya mera


Kalaam ke ehsaas bahut khoob lage ... thanks 4 sharing.. khush rahen..

duaaon ke saath...
Logged
A.$.H
Guest
«Reply #5 on: September 17, 2010, 11:05:45 AM »
Reply with quote
Bohat bohat shukriya app sab ka...
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #6 on: September 17, 2010, 11:14:07 AM »
Reply with quote
aji bahut khoobb sahab maja ayaa bas meri thodi urdu kamjor he.... gar khata maaf ho to mujhe tarz -e- amal ka matlab bata dijiye...
Logged
A.$.H
Guest
«Reply #7 on: September 17, 2010, 11:20:07 AM »
Reply with quote
aji bahut khoobb sahab maja ayaa bas meri thodi urdu kamjor he.... gar khata maaf ho to mujhe tarz -e- amal ka matlab bata dijiye...

Shukri app ka...

Tarz-e-amal means Amal karne ka tarikha Amal means Good deeds
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #8 on: September 17, 2010, 11:28:11 AM »
Reply with quote
ohh apka bahut shukriya dost~
Logged
A.$.H
Guest
«Reply #9 on: September 17, 2010, 11:31:56 AM »
Reply with quote
ohh apka bahut shukriya dost~

app ki bhi Shukriya
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: September 18, 2010, 04:48:19 PM »
Reply with quote
Wah wah wah Janab A$H Ji. Sab se pahle to aapka yoindia pe inteqbaal karta hoon. Kamaal ki ghazal hai janab ye aapki. Aik aik sher gauhar-e-naayaab hai. Bahut hi meyaari, murassa aur purmaghz ghazal hai. Aap zara aakhri sher aikbaar dekh len. Aapko aisi shaandaar ghazal k liye mubaarakbaad k saath saath hazaroN daad qubul kijiye.

(Waquif Ansari)

Jab bhi tarz e amal gaya mera
Zor dil se nikal gaya mera

Roshni kya chiragh de ga mujhe
Din andheroun main dhal gaya mera

Dhond lijye mujhe jo mumkin ho
Rasta hi badal gaya mera

Duniyan mud jayegi ussi janab
Jis taraf bhi amal gaya mera

Tu gaya hai jo dil ki duniyan se
Hosla hi nikal gaya mera

Zindagi teray ek ishare se
Ashiyana hi jal gaya mera

Uss ki rahmat se zindagi main
Waqt mushkil ka tal gaya mera

Logged
A.$.H
Guest
«Reply #11 on: September 20, 2010, 04:31:45 AM »
Reply with quote
Wah wah wah Janab A$H Ji. Sab se pahle to aapka yoindia pe inteqbaal karta hoon. Kamaal ki ghazal hai janab ye aapki. Aik aik sher gauhar-e-naayaab hai. Bahut hi meyaari, murassa aur purmaghz ghazal hai. Aap zara aakhri sher aikbaar dekh len. Aapko aisi shaandaar ghazal k liye mubaarakbaad k saath saath hazaroN daad qubul kijiye.

(Waquif Ansari)


App Ka Bohat Bohat Shukriya Janaab
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:50:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.094 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer