waquif ansari
Guest
|
Din to guzra hai jaise taise hi Jal gaya DIL charaagh jalte hi
Besabaati ko mil gaya hai sabaat (Beqaraari ko mil gaya hai qaraar) Beqaraari meiN raat dhalte hi
Jazba-e-ishq ko mila hai dawaam Ishq meiN aik aah bharte hi
Dar hai phaile na baat nuqtoN par Aik nukte pe baat karte hi
Beyaqeeni ka ho gaya hooN shikaar Us pe zyaadah yaqeen karte hi
Aik duniya simat gayee pal meiN Aaina aaine se milte hi
Lab mire sookhne lage phir se Ek samundar ke paar karte hi
Yaad aane lage gunaah tamaam Dam-ba-dam saaNs ke ukhaRte hi
Zindagi meiN na kuchh mila lekin Ho gaya sarfaraaz marte hi
Rukh hawa ka badal gaya WAQUIF Soorate-haal ke badalte hi
(Waquif Ansari)
Dawaam means eternity, infinity, time without end
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
adil bechain
Umda Shayar
Rau: 161
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:31 days, 18 hours and 24 minutes.
Posts: 6552 Member Since: Mar 2009
|
|
«Reply #1 on: April 20, 2011, 10:20:12 AM » |
|
Din to guzra hai jaise taise hi Jal gaya DIL charaagh jalte hi
Besabaati ko mil gaya hai sabaat (Beqaraari ko mil gaya hai qaraar) Beqaraari meiN raat dhalte hi
Jazba-e-ishq ko mila hai dawaam Ishq meiN aik aah bharte hi
Dar hai phaile na baat nuqtoN par Aik nukte pe baat karte hi
Beyaqeeni ka ho gaya hooN shikaar Us pe zyaadah yaqeen karte hi
Aik duniya simat gayee pal meiN Aaina aaine se milte hi
Lab mire sookhne lage phir se Ek samundar ke paar karte hi
Yaad aane lage gunaah tamaam Dam-ba-dam saaNs ke ukhaRte hi
Zindagi meiN na kuchh mila lekin Ho gaya sarfaraaz marte hi
Rukh hawa ka badal gaya WAQUIF Soorate-haal ke badalte hi
(Waquif Ansari)
Dawaam means eternity, infinity, time without end
SALAAM ALAIKUM JANAAB ZINDAGI MEIN NA KUCH MILA LEKIN.............ISS SHER SE MAIN WABASTA HOON KYONKI MERA COUSIN NAAM SARFARAZ THA YOUNG BOY EK ACCIDENT MEIN USKI MAUT HO GAYI QABAL 9YEARS BEFORE.ALLAH USKI MAGHFERAT KARE AUR JANNAT MEIN ALA MOQAAM ATAA KARE AAMIN. AUR YE SHER AAPNE AAP MEIN BAHUT AHMIYAT RAKHTA HAI MERE LIYE . SAATH HI GHAZAL AUR AAPKI MASHAALAAH KISI BHI DAAD KI MOHTAAJ NAHIN. YE NASAMAJH AUR KYA LIKH SAKTA HAI WAQUIF SAHAB. ALLAH HAFIZ
|
|
|
Logged
|
|
|
|
manjum
Guest
|
|
«Reply #2 on: April 20, 2011, 11:29:01 AM » |
|
bahut khub ansariji.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
manzil-e-ishq
Guest
|
|
«Reply #3 on: April 20, 2011, 02:17:17 PM » |
|
bht bht khoob wauqif ji...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
|
madhuwesh
Guest
|
|
«Reply #6 on: April 20, 2011, 11:21:08 PM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #7 on: April 26, 2011, 09:36:18 AM » |
|
Walaikum Assalam Janab Adil Bechain Saheb! Taakheer ke liye mazrat chaahta hooN. Aik sher se wabastagi ke hawaale se jaan aur paRh kar mujhe bhi kaafi dukh hua, Allah aapko sabr jameel ata kare. Ghazal ki tauseef mein aap ne jo kuchh bhi arz kiya hai, banda iska mohtamil nahiN hai, haaN ye zaroor hai k aik shayar ki poori koshish hoti hai k uski kaawish acer-aafreeN ho aur woh jo kuchh kahe diloN tak rasaayee ho. Ghazal ki taareef meiN aapki arzdaasht paRhkar hausla mila aur mujhe ummeed hai k aaindah bhi aap apni muhabbaton se isi tarah nawaazte rahenge. (waquif ansari) SALAAM ALAIKUM JANAAB ZINDAGI MEIN NA KUCH MILA LEKIN.............ISS SHER SE MAIN WABASTA HOON KYONKI MERA COUSIN NAAM SARFARAZ THA YOUNG BOY EK ACCIDENT MEIN USKI MAUT HO GAYI QABAL 9YEARS BEFORE.ALLAH USKI MAGHFERAT KARE AUR JANNAT MEIN ALA MOQAAM ATAA KARE AAMIN. AUR YE SHER AAPNE AAP MEIN BAHUT AHMIYAT RAKHTA HAI MERE LIYE . SAATH HI GHAZAL AUR AAPKI MASHAALAAH KISI BHI DAAD KI MOHTAAJ NAHIN. YE NASAMAJH AUR KYA LIKH SAKTA HAI WAQUIF SAHAB.
ALLAH HAFIZ
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #8 on: April 26, 2011, 11:35:38 AM » |
|
Waquif Sahaab Aadaab!
Aapki kalaam par nazar padi to hum khinche chale aaye... KayiN dinoN se aapki kisi kalaam se ruberu nahi huye..
Hum jaise talib e ilm ko aapki kalaamoN se aur replys se bahut kuch sikhane milta hai.... Is liye guzarish hai ke aate rahiye...
Din to guzra hai jaise taise hi Jal gaya DIL charaagh jalte hi Kia kahne janab bahut achcha matla kaha hai daad... Besabaati ko mil gaya hai sabaat (Beqaraari ko mil gaya hai qaraar) Beqaraari meiN raat dhalte hi Jee behad sahiN farmaya bahut khoob Jazba-e-ishq ko mila hai dawaam Ishq meiN aik aah bharte hi Waah jee waah daad Dar hai phaile na baat nuqtoN par Aik nukte pe baat karte hi Waah janab kia kahne waqai zindaa sher kaha hai aapne daad daad daad bahut umdaa Beyaqeeni ka ho gaya hooN shikaar Us pe zyaadah yaqeen karte hi Kia baat hai janab waaH bahut achcha khayaal hai daad ....... Par hume lag raha hai aap ulla misre meiN bher se bahar hai... shayad humari kam akhli ho.. kyuN ke hume bher ka kuch knowlege nahi hai... Aik duniya simat gayee pal meiN Aaina aaine se milte hi Waah janab waah bahut khoob ... kia kahne lajawaab shayari ka muzahera kar rahe hai aap Bahut umdaa sher hai daad daad daad Lab mire sookhne lage phir se Ek samundar ke paar karte hi Waah waah waah kia kahne waah khoob bahut khoob achcha sher hai daad Yaad aane lage gunaah tamaam Dam-ba-dam saaNs ke ukhaRte hi Masha Allah kia kahne janab bahut umdaa khayaal bahut khoob daad daad ... Aise sher aap jaise tajurbekar shayaroN ki kalam se hi nikal sakte hai daad daad daad
Haan is sher ka bhi ulaa misra hume bher se out lag raha hai.... Zindagi meiN na kuchh mila lekin Ho gaya sarfaraaz marte hi Bahut khoob janab... achcha sher hai daad Rukh hawa ka badal gaya WAQUIF Soorate-haal ke badalte hi Waah janab waah bada khaab Maqta kaha hai daad daad daad (Waquif Ansari) Dawaam means eternity, infinity, time without end
Janab kia umdaa kalaam se bazm ko nawaaza hai humari dheroN daad O mubarak baad kabul kijiye ...
Aur bande se koi gustaqui ho gayi ho to mazarrat chahate hai... Humare bher se releted sawaal sahiN nahi hai to hume samjha dijiye... KyuN ki hum bher ko samjhne aur sikhne meiN abhi bahut door hai...
Aate rahiye... Khush O aabaad rahiye.. Khuda Hafez......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #9 on: April 27, 2011, 06:16:50 AM » |
|
Aapki hausla afzaii ka bahut bahut shukriya janab manjum saheb. Ummeed karta hooN ye inayateN aapki yuNhi jaari raheNgi. Aapka aikbaar phir shukriya ada karta hooN. (waquif ansari) bahut khub ansariji.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sbechain
Guest
|
|
«Reply #10 on: April 27, 2011, 07:20:57 AM » |
|
Din to guzra hai jaise taise hi Jal gaya DIL charaagh jalte hi
Besabaati ko mil gaya hai sabaat (Beqaraari ko mil gaya hai qaraar) Beqaraari meiN raat dhalte hi
Jazba-e-ishq ko mila hai dawaam Ishq meiN aik aah bharte hi
Dar hai phaile na baat nuqtoN par Aik nukte pe baat karte hi
Beyaqeeni ka ho gaya hooN shikaar Us pe zyaadah yaqeen karte hi
Aik duniya simat gayee pal meiN Aaina aaine se milte hi
Lab mire sookhne lage phir se Ek samundar ke paar karte hi
Yaad aane lage gunaah tamaam Dam-ba-dam saaNs ke ukhaRte hi
Zindagi meiN na kuchh mila lekin Ho gaya sarfaraaz marte hi
Rukh hawa ka badal gaya WAQUIF Soorate-haal ke badalte hi
(Waquif Ansari)
Dawaam means eternity, infinity, time without end
lab mere sookhne lage phir se.....bahut khoob waquif sahab
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #11 on: April 28, 2011, 07:16:23 AM » |
|
Aapka shukrguzaar hooN k aapne apna qeemti waqt nikaala aur ghazal ki tauseef mein apne nawazisoN se nawaza, isi tarah aage bhi aap hauslaafzaaii karte raheNge iska mujhe yaqeen hai. (waquif ansari) bht bht khoob wauqif ji...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #12 on: May 02, 2011, 09:01:01 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
vipul kumar
Guest
|
|
«Reply #13 on: May 02, 2011, 09:39:44 AM » |
|
Bahut khub waqif sahab. behad umda kalaam hai..... daad hazir hai.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
waquif ansari
Guest
|
|
«Reply #14 on: May 05, 2011, 07:33:52 AM » |
|
Janab Anshumali Ji, Aadaab! Aapki duwaaon ka aur qeemti daad o tehseen ka shukriya ada karna apna farz samajhta hooN. Aap jaise log hi adab ko farogh dete haiN aur iski asha.at meiN apna khoon paseena aik kiye rahta haiN. Aapka phir se aikbaar shukriya ada karta hooN. (waquif ansari) Beyaqeeni ka ho gaya hooN shikaar Us pe zyaadah yaqeen karte hi
Aik duniya simat gayee pal meiN Aaina aaine se milte hi
Lab mire sookhne lage phir se Ek samundar ke paar karte hi
Zindagi meiN na kuchh mila lekin Ho gaya sarfaraaz marte hi
Rukh hawa ka badal gaya WAQUIF Soorate-haal ke badalte hiBahut Umdaa Soch Aur Asardaar BayaaNii ...Waquif Ansari Sahab !
Matle se Maqte tak ek ek ashaar bahut khoob adaa huaa hai ... ! tamaam ghazal dilkash lagi hume .. tahe dil se daad hazir hai ...
aise hi aate raheN aur Likhte raheN aage bhi ... Khush rahen ... !
duaaoN ke saath ... !
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|