JAL GAYA DIL CHARAAGH JALTE HI

by waquif ansari on April 20, 2011, 09:12:54 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2808 times)
waquif ansari
Guest
«Reply #15 on: May 09, 2011, 07:48:05 AM »
Reply with quote
madhuwesh ji aapka tahe-dil se shukrguzar hooN k aapne apne qeemti ko sarf kar ke is naacheez ki hausla-afzaaii ki. Aap se isi tarah ki ummeed aage bhi rakhta hoon.

(waquif ansari)

Wow bahut khoob Ansari ji,dil ko chu gayi aapke iss khoobsurat ghazal.lajawab peshkash.Ashumali ji aape bhi bahut acha saath diya,        keep it up   . Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jalte hue Ghar by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
jalte angarey by sonubansal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
hoth jalte hai ........ by tushar_4u_im in Ghazals
diye jalte hain... by shreya11 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jalte he... by thinkhattk in Share:Love Poetry
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: May 09, 2011, 04:27:41 PM »
Reply with quote
Bahut Khoobsurat ghazal hai.Tahe dil se mubarakbaad aur daad qubool farmai.n.FHSiddiqui
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #17 on: May 09, 2011, 04:33:12 PM »
Reply with quote
Waquif Ansari Saheb,Bahut khoobsurat Ghazal hai.Tahe dil se Mubarakbaad aur daad qubool farmain.FHSiddiqui
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #18 on: May 12, 2011, 08:43:54 AM »
Reply with quote
Hello Mr ParwaaZ! Kaise se haiN aap! Aapka tafseeli tabsira paRha, aapne aik aik sher ki taareef ki hai, achchha laga. JahaN tak bahr se mutalliq aapne sawal kiya hai to maiN aapko batata chalooN k mazkoorah bala ghazal poori tarah se bahr/chhand/meter meiN hai aur aapko jahaN kahiN bhi koi sher meter se alag maloom paRe to baraai mehrbaani makhsoos point ki taraf ishaara zaroor kijiyega, mujhe khushi hogi k maiN aapki point ki hui baatoN ka majmuii tareeqe se tasallibakhsh jawaab de sakooN. Zabaan o bayaan k hawaale se yaa bahr ke hawaale se agar koi cheez khatakti ho to mujhe pin point kijiye, maiN hattul-imkaan koshish karuNga k aapko apni baat samjha sakooN. Agar koi sahi nishaandehi kar raha hai to main isko bura nahiN maanta. Aap ne jo bhi bahr ke hawaale se sawaal kiya, mujhe achchha laga. Sawaal karna chahiye aur sahin sawal karna chahiye, is se naye kahne waaloN ko istifaadah haasil hota hai. Ye mat samajhiyega k mujhe aap se koi shikaayat ho gayee hai. Adab meiN to taamiri mubahisa hona hi chahiye. Aapne jo bhi sawaal kiya hai use maiN qadr ki nigaah se dekh raha hooN, ye hausla-afza baat hai. Main aapka shukrguzaar hoon k aap ne meri kaawish ki apne makhsoos andaaz meiN taareefi kalmaat se nawaza aur apni aara se faizyaab kiya.

(waquif ansari(

Waquif Sahaab Aadaab!

Aapki kalaam par nazar padi to hum khinche chale aaye... Usual Smile KayiN dinoN se aapki kisi kalaam se ruberu nahi huye..

Hum jaise talib e ilm ko aapki kalaamoN se aur replys se bahut kuch sikhane milta hai.... Is liye guzarish hai ke aate rahiye... Usual Smile

Janab kia umdaa kalaam se bazm ko nawaaza hai humari dheroN daad O mubarak baad kabul kijiye ...

Aur bande se koi gustaqui ho gayi ho to mazarrat chahate hai... Humare bher se releted sawaal sahiN nahi hai to hume samjha dijiye... KyuN ki hum bher ko samjhne aur sikhne meiN abhi bahut door hai... Usual Smile

Aate rahiye... Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile
Khuda Hafez...... Usual Smile         

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #19 on: May 12, 2011, 08:44:47 AM »

ek_tamanna
Guest
«Reply #20 on: May 12, 2011, 08:47:35 AM »
Reply with quote
just amezing ............dheroN daad

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #21 on: May 18, 2011, 05:38:41 AM »
Reply with quote
Sheba ji taakheer k liye ma.azratkhwaah hooN k timely aapka shukriya ada nahiN kar saka. Aapka shukrguzaar hooN k aapne waqt nikaala aur mujh naacheez ko daad o tehseen se nawaaza. Aapka aikbaar phir se shukriya ada karta hooN aur ummeed karta hooN k ye silsila yuNhi qaayam rahega.

(waquif ansari)

lab mere sookhne lage phir se.....bahut khoob waquif sahab
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #22 on: May 21, 2011, 11:37:24 AM »
Reply with quote
Aadaab Janaab Waquif Sahaab!

Ummid hai khaiyat khawaaN hoNge.. Usual Smile
Taqeer se jawaab aane ke liye mazarrat chahate haiN...

Jee janab hume ab bhi aapki kalaam meiN bher ke hawaale se
khami nazar aa rahi hai shayad yeH humari kam ilmi ho.. Usual Smile

Aap bus itna bata dijiye ke aapne yeH kalaam kis bher meiN
likhi hai jisse hume samjhne meiN aasani hoNgi... Usual Smile

Digital takhti bhi saath meiN dijiyeNga Usual Smile
Aur bhi aasaani ho jayeNgi hume samjhne aur sikhane meiN Usual Smile

Koi gustaqi huyi ho to mazzarrat chahte hai... Usual Smile
Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez , Usual Smile         

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #23 on: May 30, 2011, 08:51:50 AM »
Reply with quote
Janab vipul kumar ji! Adab!
Bahut bahut shukriya janab k aapne apne ehsaas o jazbaat se nawaaza. Main aap se aage bhi isi tarah ki hausla afzaaii ki tamanna karta hooN. Many many thanks again.

(waquif ansari)

Bahut khub waqif sahab. behad umda kalaam hai..... daad hazir hai.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #24 on: May 30, 2011, 09:02:48 AM »
Reply with quote
Janab Shihab Ji! AOA!
Main bilkul khairiyat se hooN aur aapki khairiyat ka hamesha khwahaaN rahta hooN. Aap ne jis haseen o jameel andaaz meiN apne ehsaasaat o jazbaat ko bayaaN kiya hai uska maiN dil ki gahraaiyoN ke saath na sirf shukriya ada karta hooN balke aap se darkhwast karta hooN k aap apni inaayatoN ka silsila isi tarah jaari wa saari rakhiyega. Aik baar phir se aapka shukrguzaar hooN.

(waquif ansari)
Aadab Janaab Waquif Saheb...
Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge
Aur Aapko Comment Kare Itni To Auqat Nahi
Magar Parhkar Chup Rehna Bhi Dil Ko Ganwara Nahi
Kya Khoob Kalaam Bazm Ko Ata Kiya Hai Janaab Aapne
Sabhi Ashaar Khun Kahe Hain Aapne Magar Sabse Jyada
Jo Dil Ke Kareeb Rahe Woh Yeh Hain..Wah Wah Khub
Hazaron Dili Dad...

ALLAH Pak Aapko. Chust, Mast, Aur Swast Rakhe Aameen

~Shihab~
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #25 on: May 30, 2011, 09:05:51 AM »
Reply with quote
yaad aane laga gunah tamaam.......

 W.A JO YE ANDAAZ E BAYAAN HAI AAPKA YA PHIR KUCH HI LOG HAIN YAHAAN JO SIDHI TARAH SE AUR RAWAANI MEIN LIKH PAATE HAIN. YE AAPKI GHAZAL, NAZAM, AUR SHER LIKHNE KI QAABLIYAT KO DIKHATA HAI AUR ALLAH KISI KISI KO YE FUNN ATA KARTA HAI.MAIN BAHUT SE URDU KE SCHOLAR KO JAANTA HOON. MAGAR WO LIKH NAHIN PAATE

 AAP KA YE KALAAM MUJH JAISA ANAADI KYA DAAD DEGAA. HAAN AGAR MAIN KUCH SEEKH SAKA AAPSE TO MERE LIYE FAKR KI BAAT HOGI.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #26 on: May 30, 2011, 09:14:24 AM »
Reply with quote
Hello Mr Parwaaz! Adab!

Ye dekh kar khushi hui k aapne meri takhleeq par phir se apni aara se faizyaat kiya. Ji janab aap ne ye nahin likha k aapko kis micre meiN bahr ki khaami nazar aayee ya kaun sa lafz bahr se khaarij hai. Aap ne bahr k hawaale se achchha sawaal kiya hai jise main digitally bhi bataane ki koshish karuNga. Ye ghazal Bahr-e-Khafeef meiN kahi gayi hai jiske arkaan haiN “faailaatun-mafaailun-felun” (fa.a.lun ya fa.a.laan aakhir meiN ho sakte haiN) jise digitally kuchh yuN bayaN kiya ja sakta hai:

2-1-2-2……1-2-1-2…….2-2 (1-1-2 or 1-1-2-1)

Mere khayaal meiN ab poori ghazal ko is meter meiN rakh kar tauliye to aapko jo bhi diqqat mehsoos ho rahi hai ghaliban wo diqqat rafa ho jaayegi. Aap ne apne khayalaat ka phir se izhaar kiya paRh kar achchha laga, isi tarah apne kalmaat se nawaazte rahiye aur saath hi phir se meri kaawish par apne aara se nawaazne ka shukriya ada karna maiN apna farz samajhta hooN. Khush rahiye aabaad rahiye aur naacheez ko duwaaoN meiN bhi yaad kar liye kijiye.

(waquif ansari)

Aadaab Janaab Waquif Sahaab!

Ummid hai khaiyat khawaaN hoNge.. Usual Smile
Taqeer se jawaab aane ke liye mazarrat chahate haiN...

Jee janab hume ab bhi aapki kalaam meiN bher ke hawaale se
khami nazar aa rahi hai shayad yeH humari kam ilmi ho.. Usual Smile

Aap bus itna bata dijiye ke aapne yeH kalaam kis bher meiN
likhi hai jisse hume samjhne meiN aasani hoNgi... Usual Smile

Digital takhti bhi saath meiN dijiyeNga Usual Smile
Aur bhi aasaani ho jayeNgi hume samjhne aur sikhane meiN Usual Smile

Koi gustaqi huyi ho to mazzarrat chahte hai... Usual Smile
Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez , Usual Smile         

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #27 on: May 30, 2011, 09:57:15 AM »
Reply with quote
Waquif Sahaab Aadaab!

Janab aapke is pur mutmaeen aur husn e saluk ko Salaam Usual Smile
Dar asal hume bher ke kism aur Bher ki buniyadi baatoN se abhi
la ilm hai.. Humne sirf digitali aur taqtee ke hisab se dekha
so hume aapki Gazal ke do misre Bher se kharij lage.. KyuN ke hume
itna ilm nahi hai... Usual Smile

Hum aapke tahe dil se shukraguzaar hai ke aapne hume purkhulus aur
behad achche andaaz meiN samjhaya Usual Smile Aur hume bhi bher e kafif ki
is surat ka ilm mila... Hum apke tahe dil se shukraguzar hai..

Aate rahiye... Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... 

Hello Mr Parwaaz! Adab!

Ye dekh kar khushi hui k aapne meri takhleeq par phir se apni aara se faizyaat kiya. Ji janab aap ne ye nahin likha k aapko kis micre meiN bahr ki khaami nazar aayee ya kaun sa lafz bahr se khaarij hai. Aap ne bahr k hawaale se achchha sawaal kiya hai jise main digitally bhi bataane ki koshish karuNga. Ye ghazal Bahr-e-Khafeef meiN kahi gayi hai jiske arkaan haiN “faailaatun-mafaailun-felun” (fa.a.lun ya fa.a.laan aakhir meiN ho sakte haiN) jise digitally kuchh yuN bayaN kiya ja sakta hai:

2-1-2-2……1-2-1-2…….2-2 (1-1-2 or 1-1-2-1)

Mere khayaal meiN ab poori ghazal ko is meter meiN rakh kar tauliye to aapko jo bhi diqqat mehsoos ho rahi hai ghaliban wo diqqat rafa ho jaayegi. Aap ne apne khayalaat ka phir se izhaar kiya paRh kar achchha laga, isi tarah apne kalmaat se nawaazte rahiye aur saath hi phir se meri kaawish par apne aara se nawaazne ka shukriya ada karna maiN apna farz samajhta hooN. Khush rahiye aabaad rahiye aur naacheez ko duwaaoN meiN bhi yaad kar liye kijiye.

(waquif ansari)

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #28 on: June 03, 2011, 08:00:46 AM »
Reply with quote
Janab F.H.Siddiqui Saheb! Aadaab!

Bhai aapki mubarakbaad ko ye naacheez apni palkoN pe rakhta hai aur aapne jis tareeqe se apni aara se faizyaab kiya uske liye bandah aapka mashkoor o mamnoon hai.

(waquif ansari)

Bahut Khoobsurat ghazal hai.Tahe dil se mubarakbaad aur daad qubool farmai.n.FHSiddiqui
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #29 on: June 03, 2011, 08:03:22 AM »
Reply with quote
Hello ! ek tamanna,

How r u. Thanks a lot for your beautiful comments. I am sure, I will receive such type of comments in near future also.

(waquif ansari)

just amezing ............dheroN daad

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:55:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer