JAL GAYA DIL CHARAAGH JALTE HI

by waquif ansari on April 20, 2011, 09:12:54 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2853 times)
waquif ansari
Guest
«Reply #30 on: June 03, 2011, 09:35:25 AM »
Reply with quote
Janab Khamosh Awaz Ji! Aadaab!

Yahan bahut kam log haiN jo fun and funkaar ki sahi maanoN meiN tajziya kar paate haiN aur shaayar aur shayari ki khul kar daad o tehseen se nawaazte haiN. Aapne apne dili jazbaat ka jis haseen pairaaye meiN izhaar e khayaal kiya hai who kam log hi kiya karte haiN. Aap jaise zi-sawoor shakhsiyatoN ke badaulat hi adab zinda aur taabindah hai. Aap ne mere baare meiN jo kuchh arz kiya hai, Allah kare main us pe khara utar jaaoN. Main to shaayari ka adna taalib-e-ilm hooN aur ta-umr taalib-e-ilm hi rahooNga wo is liye k asaatzah ne jo kuchh kah diya hai uska ashre-asheer bhi hum jaise tukbandi karne waale ke qalam se safha-e-qirtaas par aa jaaye to maiN samjhooNga k shaayari ki bahre-bekaraaN ka aik aadh qatra naseeb ho gaya. Apni koshish to poori hoti hai k behtar se behtari ki taraf qadam baRhta rahe. HaaN, aap jaise qadrdaanoN se na sirf hausla milta hai balki yuN samjheN k rahnumaaii haasil hoti hai. Bahut kam log haiN jo khul kar daad dete haiN. Ye meri khush-qismati hai k mujhe aap jaisa qadrdaan mila jo sher, shayari, sheriyat aur sher ki ramziyat ke saath saath fun ki baarikiyoN ko samajhta hai aur apne makhsoos andaaz meiN shaayar ko taareef o tauseefi kalmaat se nawaazta bhi hai. Aap khud ko anaaRi na kaheN. Aap ne jis aala-zarfi ka namoona pesh kiya hai aur jis tareeqe se apni aara se faizyaab kiya hai, uske liye naacheez aapka mashkoor o mamnoon hai. Aap se yahi darkhwast hai k isi tarah apne qeemti aar se bande ko nawaazte rahiyega. Aap khush raheN aabaad raheN aur mujhe bhi apni duwaaon meiN shareek rakkheN.

(waquif ansari)


yaad aane laga gunah tamaam.......


 W.A JO YE ANDAAZ E BAYAAN HAI AAPKA YA PHIR KUCH HI LOG HAIN YAHAAN JO SIDHI TARAH SE AUR RAWAANI MEIN LIKH PAATE HAIN. YE AAPKI GHAZAL, NAZAM, AUR SHER LIKHNE KI QAABLIYAT KO DIKHATA HAI AUR ALLAH KISI KISI KO YE FUNN ATA KARTA HAI.MAIN BAHUT SE URDU KE SCHOLAR KO JAANTA HOON. MAGAR WO LIKH NAHIN PAATE

 AAP KA YE KALAAM MUJH JAISA ANAADI KYA DAAD DEGAA. HAAN AGAR MAIN KUCH SEEKH SAKA AAPSE TO MERE LIYE FAKR KI BAAT HOGI.



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Jalte hue Ghar by paro_ka_deva_devdas in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
jalte angarey by sonubansal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
hoth jalte hai ........ by tushar_4u_im in Ghazals
diye jalte hain... by shreya11 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Jalte he... by thinkhattk in Share:Love Poetry
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #31 on: June 04, 2011, 01:40:13 PM »
Reply with quote
waquif ansari sahab....itne logon ne itna kuch likh diya hai...ki ab kahne ko kuch baaqi bachna nahi.....bahoooooot umda likha aapne...aur hume bhi kuch seekhne ko mila....bahoot khoob
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #32 on: June 06, 2011, 07:51:09 AM »
Reply with quote
waqif sahab aadab ,,

wah wah wah wah ,,, kya khoob ghazal kahi hai ,,, itni chooti bhr me aise mazameen ,, ye bus ap hi ki shaqsiyat ka hissa hai .. jis tarhan apne ghazal kahi hai usse ye baat zahir ho gaai ke app zahin nahi balke fateen hain ,, sahebe akhlaq nahi balke sahebe ikhlaas ho .. allah apko mazeed nawaze .. apki maujodgi bazm ki khushnasibi hai .. do sher ap hi ki zameen pe howe hain ...so apki nazr ...


Maal-o-zar ghar ki aas me bache
saare aaye hain baap marte hi ..

andhiyun ko khabar wo kar dega..
mere ghar me charag jalte hi ..


khadim

qadeertoopchi
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #33 on: June 06, 2011, 10:47:54 AM »
Reply with quote
Beqaraar Ji! Adab!

Aapne ye kah kar aur beqaraar kar diya k “kahne ko kuchh baaqi bacha nahiN”. Aji Janab aapka ye kahna hi “gaagar meiN saagar” waali baat ho gayee. DoorandeshoN k jumle hi itne acerdaar hua karte haiN k uski ramziyat se baahar nikalna taqreeban namumkin sa hota hai aur is tarah ki nasri takhleeq bhi naayaab hua karti hai. Aapke is naayaab jumle ne to dil meiN halchal si paida kar di aur jiski lataafat se main abhi tak mehzooz ho raha hooN. Aapka tahedil se shukriya ada karta hooN ke aapne apni nawazisoN se nawaza. Seekhne sikhaane ka amal kuchh yuN hai k har koi aik doosre se kuchh na kuchh seekta rahta hai. Jise k main ne bhi aap se kuchh seekha. Main kya sikhaaonga k main to khud hi taalibe-ilm hooN. Aapka aikbaar phir se shukriya ada karta hooN is ummeed k saath k apni nawazisoN se isi tarah nawazte raheNge.

(waquif ansari)


waquif ansari sahab....itne logon ne itna kuch likh diya hai...ki ab kahne ko kuch baaqi bachna nahi.....bahoooooot umda likha aapne...aur hume bhi kuch seekhne ko mila....bahoot khoob
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #34 on: June 13, 2011, 07:11:48 AM »
Reply with quote
Qadeertoopchi Saheb, nawazish, inayat, muhabbat aapki. Aapke alfaaz paRhkar aisa laga k meri mehnat wasool ho gayee. Aapke jazbaat o ehsaasaat ki maiN qadr karta hooN aur aapne jo do sher kahe haiN wo aapki dili muhabbat ki tarjumaani karte haiN. Main phir se aapka shukriya ada karta hooN.

(waquif ansari)
waqif sahab aadab ,,

wah wah wah wah ,,, kya khoob ghazal kahi hai ,,, itni chooti bhr me aise mazameen ,, ye bus ap hi ki shaqsiyat ka hissa hai .. jis tarhan apne ghazal kahi hai usse ye baat zahir ho gaai ke app zahin nahi balke fateen hain ,, sahebe akhlaq nahi balke sahebe ikhlaas ho .. allah apko mazeed nawaze .. apki maujodgi bazm ki khushnasibi hai .. do sher ap hi ki zameen pe howe hain ...so apki nazr ...


Maal-o-zar ghar ki aas me bache
saare aaye hain baap marte hi ..

andhiyun ko khabar wo kar dega..
mere ghar me charag jalte hi ..


khadim

qadeertoopchi
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #35 on: June 13, 2011, 12:13:13 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut sunder kriti
likhte rahiye,
\
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #36 on: June 21, 2011, 10:33:17 AM »
Reply with quote
Aapka bahut bahut shukriya Janab Suresh Sangwan Saheb, taakheer se jawab dene k liye ma.azrat chaahta hooN.

(waquif ansari)

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut sunder kriti
likhte rahiye,
\
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:59:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer