JALNE WAALO.N SE PYAAR KARTE HAI.N...Hasan

by F.H.SIDDIQUI on June 25, 2011, 05:40:46 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2738 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Zindagi  se  jo  pyaar karte hai.n ,
Ishq  bhi  eik  baar  karte  hai.n

Unn se lakho.n  fareb khaaye hai.n ,
Phir bhi  hum  aitbaar karte hai.n

Sohbat-e-gul  tumhei.n  mubarak  ho ,
Hum to kaa.nto.n  se pyaar karte hai,n

Hum ne  paaya  hai  zarf-e-parwaana ,
Jalne waalo.n  se pyaar karte hai.n

Hai  patah  tum  kabhi  na  aao  ge ,
Phir bhi hum  intezaar  karte  hai.n

Wo jo dubke hai.n  aasteeno.n  mei.n ,
Mauqa  milte  hi  waar  karte  hai.n

Humbhi rakhte hai.n jeib mei.n tasbeeh,
Raat-din  zikr-e-yaar   karte  hai.n
 
Unn se fursat milee to hum bhi 'Hasan',
Aur kuchh  kaar-o-baar  karte  hai.n
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 25, 2011, 10:19:11 AM »
Reply with quote

Waah ...waah Hasan Sahab
khoobsoorat ghazal kahee hai
dili daad qubool farmaayen..

Ek aur reqeust ke heading men
isee tarah aapka naam rahega to
aapko padhne ke lise jyada mehnat
naheen karnee padegi.

Mera ek unique research work Nazm on
Tata's Nano Car abhee bhee YO par hai
waqt mile to nazar-e-inaayat farmaayen.

Raqeeb
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: June 25, 2011, 10:26:40 AM »
Reply with quote
Zindagi  se  jo  pyaar karte hai.n ,
Ishq  bhi  eik  baar  karte  hai.n

Unn se lakho.n  fareb khaaye hai.n ,
Phir bhi  hum  aitbaar karte hai.n

Sohbat-e-gul  tumhei.n  mubarak  ho ,
Hum to kaa.nto.n  se pyaar karte hai,n

Hum ne  paaya  hai  zarf-e-parwaana ,
Jalne waalo.n  se pyaar karte hai.n

Hai  patah  tum  kabhi  na  aao  ge ,
Phir bhi hum  intezaar  karte  hai.n

Wo jo dubke hai.n  aasteeno.n  mei.n ,
Mauqa  milte  hi  waar  karte  hai.n

Humbhi rakhte hai.n jeib mei.n tasbeeh,
Raat-din  zikr-e-yaar   karte  hai.n
 
Unn se fursat milee to hum bhi 'Hasan',
Aur kuchh  kaar-o-baar  karte  hai.n







waaaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause



              din ke ujaale mein to sabhi dekhe hain unhein,
              hum to raat ke andhere mein unka dedaar karte hain
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: June 25, 2011, 11:36:21 AM »
Reply with quote
bahut khoob

 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: June 25, 2011, 03:55:03 PM »
Reply with quote
Adil bechain saheb,Nawaish ke liye bahut bahut Shukriya.Hasan
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #5 on: June 25, 2011, 04:27:58 PM »
Reply with quote
Bhuat Khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: June 25, 2011, 05:47:01 PM »
Reply with quote
Sheba ji ,Hausla afzai ke liye bahut mashkoor hoon.Khush rahiye.Hasan
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #7 on: June 26, 2011, 03:24:53 AM »
Reply with quote
Wo jo dubke hai.n  aasteeno.n  mei.n ,
Mauqa  milte  hi  waar  karte  hai.n


Good One ... Siddiqui Sahab !

Very Impressive Creation ... !
Dil Se Daad Hazir Hai .. Qubuul FarmaayeN ...  Applause Applause Applause

Yunhi Likhte RaheN ... Khush RaheN ... !

DuaaoN Ke Saath ... !
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: June 26, 2011, 05:12:14 AM »
Reply with quote
Sanjeev kash ji,Shukriya.Naacheez ki hausla afzai Karte rahiyega.Khush rahiye.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: June 26, 2011, 05:22:25 AM »
Reply with quote
Anshumali ji,Daad ke liye aur aapke khoobsurat alfaaz ke liye mashkoor hoo.n. Yeh Ghazal 4th she'r (jiska 2nd misra title mein diya hai)ki badaulat hui hai.Uss per bhi apni raai se nawaaziye ga to karam hoga.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: June 26, 2011, 05:32:44 AM »
Reply with quote
Satish shukla Saheb,Aap ke mohabbat bhare alfaaz ke liye bahut bahut Shukriya.Jawab mei.n taakheer sharmindagi ki wajah se ho gai kyuunki mai.n waqai Tata wali nazm padhne se chook gaya .Aap ki nazm se mutalliq jawab mei.n bhi arz kiya  hai.Aap ke tabsire se hausla milta hai .Silsila Qaaim rakhiye ga.Hasan
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #11 on: June 26, 2011, 11:11:18 AM »
Reply with quote
bht khoob siddiqui ji...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: June 26, 2011, 12:16:08 PM »
Reply with quote
Manzil e ishq ji,hausla afzaai ke liye bahut mamnoon hoo.n.duaon mei.n yaad rakhiye.khush rahiye.FHSiddiqui
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #13 on: June 27, 2011, 06:58:11 AM »
Reply with quote
Janab Hasan Saheb! AOA !

bahut hi nikhat o noor se bhari hui ghazal hai ye aapki. Ishq, mohabbat, husn o ulfan ki khoobsurat tarjumani hai aapki is ghazal meiN. Is haseen o jameel ghazal ko paRhne ke baad jo tasawwur dil o dimaagh par chhaa gaya use kuchh yuN bayaN karna chaahta hooN:

Dekh kar chehra-e-HASAN kaamil
Tujh pe hum jaaN nicaar karte haiN

Aik munfaridm me.aari ghazal k liye hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

Zindagi  se  jo  pyaar karte hai.n ,
Ishq  bhi  eik  baar  karte  hai.n

Unn se lakho.n  fareb khaaye hai.n ,
Phir bhi  hum  aitbaar karte hai.n

Sohbat-e-gul  tumhei.n  mubarak  ho ,
Hum to kaa.nto.n  se pyaar karte hai,n

Hum ne  paaya  hai  zarf-e-parwaana ,
Jalne waalo.n  se pyaar karte hai.n

Hai  patah  tum  kabhi  na  aao  ge ,
Phir bhi hum  intezaar  karte  hai.n

Wo jo dubke hai.n  aasteeno.n  mei.n ,
Mauqa  milte  hi  waar  karte  hai.n

Humbhi rakhte hai.n jeib mei.n tasbeeh,
Raat-din  zikr-e-yaar   karte  hai.n
 
Unn se fursat milee to hum bhi 'Hasan',
Aur kuchh  kaar-o-baar  karte  hai.n
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: June 27, 2011, 07:41:43 AM »
Reply with quote
Waquif Ansari Saheb,AOA.Aap ka kaise shukriya ada Karoo.n.Aap ke khoobsurat lab-o-lahje mein daad paakar hausla to milta hi hai,roo baroo guftugu ka maazaa aa jaata hai.Itne pyare pyare alfaaz aur filbadeeh ashaar pata nahii.n kahaa,n se le aate hai.n ,Lekin in se shaairi ki zameen phir se istaaar hone lagti hai.Magar Waquif bhai Shikayat yeh hai ki,
  Ab  bhi woh she'r hai nazar andaaz,
  Jis ko jaan-e-Ghazal samajhta hoo.n
                               Khuloos ke liye Shukriya.
                                                        Hasan
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 11:00:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer