jaroorat ~~~~ Saahil

by salil2002 on August 31, 2009, 07:15:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1099 times)
salil2002
Guest
Reply with quote
mere toote huye dil ko sahare kii jaroorat hai
meri aankhon k andheron ki charagon kii jaroorat hai

kaahin mit jaaye na yeh khwab jo dekha tha kabhi maine
mere khwabon ko sahayad teri duayon kii jaroorat hai

khuda ne kar fareb yeh mujhse chhupaaya tha
tujhe meri ,mujhe teri,harpal jaroorat hai

hata do ab yeh deewarein, dooriyon ko mita do ab
mujhe teri in baahon k sahaare kii jaroorat hai

bada bechen hai yeh dil ,kaahin yeh khud ko na kho de
meri dhadkan ko bas, teri saanson kii jaroorat hai

kii aaja mil ja ab mujhse,kii ab na door reh mujhse
kii tere bin jiye saahil, jindgi Be- Jaroorat hai

khudaya maaf kar mujhko,gila jo tujhse karta hoon
tujhe maloom hai kitni mujhko teri jaroorat hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shayad Mujhe Tumhaari jaroorat ho by harashmahajan in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
jaroorat by nishabd in Shairi - E - Zindagi
saanson ki mujhe jaroorat by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
........Jaroorat h desh ko by masoom shahjada in Miscellaneous Shayri
Jaroorat us ki ................anmol arora by anmolarora in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #1 on: August 31, 2009, 02:20:39 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
Simply superb creation Saahil dear... Bahut bahut accha likha hai...
Aapka gazal padkar mere dil ne kaha "Aap Ko Padna Hamari Zarurat Hai "

Good 1 dear ... Keep up.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: August 31, 2009, 02:35:37 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoobsurat likha hia Saahil as usual...

Yunhi likhte rahiye.. Aap bhi to Yoindia ki zaroorat ho Usual Smile
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: September 01, 2009, 07:02:10 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause
Simply superb creation Saahil dear... Bahut bahut accha likha hai...
Aapka gazal padkar mere dil ne kaha "Aap Ko Padna Hamari Zarurat Hai "

Good 1 dear ... Keep up.

bahut bahut shukriya sis aapne pasand kiya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: September 01, 2009, 07:04:36 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoobsurat likha hia Saahil as usual...

Yunhi likhte rahiye.. Aap bhi to Yoindia ki zaroorat ho Usual Smile
thanks a lot huzena jo aap aisa samajhte hain

humein toh bas aap sabki mohabbat kii jaroorat hai
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #5 on: September 01, 2009, 07:37:15 AM »
Reply with quote
mere toote huye dil ko sahare kii jaroorat hai
meri aankhon k andheron ko charagon kii jaroorat hai

kaahin mit jaaye na yeh khwab jo dekha tha kabhi maine
mere khwabon ko sahayad teri duayon kii jaroorat hai

hata do ab yeh deewarein, dooriyon ko mita do ab
mujhe teri in baahon k sahaare kii jaroorat hai

bada bechen hai yeh dil ,kaahin yeh khud ko na kho de
meri dhadkan ko bas, teri saanson kii jaroorat hai

kii aaja mil ja ab mujhse,kii ab na door reh mujhse
kii tere bin jiye saahil, jindgi Be- Jaroorat hai

khudaya maaf kar mujhko,gila jo tujhse karta hoon
tujhe maloom hai kitni mujhko teri jaroorat hai

Waah!! Waah!! Bohot Bohot Khoooooooooooob saahil ji.. Besakhta dil se nikle huve jazbaat hai.. padh ne waala bhi jazbaati ho jaata hai.. isi tarah likhte rahiye..


Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: September 01, 2009, 07:38:03 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Saahil ji beautiful gazal ,mindblowing creation. Thumbs UP
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: September 01, 2009, 10:03:48 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Saahil ji beautiful gazal ,mindblowing creation. Thumbs UP
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
]bahut bahut shukriya madhu dear
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: September 03, 2009, 11:31:38 AM »
Reply with quote
Bohot Hi Khoob Salil  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot achcha likha hai  icon_thumleft
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: September 04, 2009, 09:26:09 AM »
Reply with quote
Bohot Hi Khoob Salil  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot achcha likha hai  icon_thumleft
bahut bahut shukriya talat di
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: September 04, 2009, 11:02:05 AM »
Reply with quote
Waah!! Waah!! Bohot Bohot Khoooooooooooob saahil ji.. Besakhta dil se nikle huve jazbaat hai.. padh ne waala bhi jazbaati ho jaata hai.. isi tarah likhte rahiye..



bahut bahut shukriya randeri saheb
aapne pasand kiya yeh apne aap main badi baat hai mere liye
aise hi hausla badaate rahiyega
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #11 on: September 05, 2009, 04:25:28 AM »
Reply with quote
Waah Waah bahoot Bahoot Khoob Saahil .. Bahoot hi Khoobsoorat ghazal likhi hai.. Bahoot Khoob!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: April 25, 2010, 01:38:40 PM »
Reply with quote
thnks a lot sophi dear
Logged
neelgold
Guest
«Reply #13 on: April 25, 2010, 03:44:13 PM »
Reply with quote
Very Very GUD!!!!!

Wat a feeling!!!!!!!!!!!!

"LAJAWAB" "KAMAL" 

AAja aab bahon main basa le muze
Aaja aab sansoo main sama le muze
Nahi keh pate tumse kabhi dil ki baat
Aaja aab bus apna bana le muze......


mere toote huye dil ko sahare kii jaroorat hai
meri aankhon k andheron ki charagon kii jaroorat hai

kaahin mit jaaye na yeh khwab jo dekha tha kabhi maine
mere khwabon ko sahayad teri duayon kii jaroorat hai

khuda ne kar fareb yeh mujhse chhupaaya tha
tujhe meri ,mujhe teri,harpal jaroorat hai

hata do ab yeh deewarein, dooriyon ko mita do ab
mujhe teri in baahon k sahaare kii jaroorat hai

bada bechen hai yeh dil ,kaahin yeh khud ko na kho de
meri dhadkan ko bas, teri saanson kii jaroorat hai

kii aaja mil ja ab mujhse,kii ab na door reh mujhse
kii tere bin jiye saahil, jindgi Be- Jaroorat hai

khudaya maaf kar mujhko,gila jo tujhse karta hoon
tujhe maloom hai kitni mujhko teri jaroorat hai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:59:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer