Jäß Të®ë §hähë® §ë Güzä®tä Hööñ

by Dewana_Badal on October 20, 2004, 11:11:52 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 945 times)
Dewana_Badal
Guest
Reply with quote
Kis tarha rokhta hoon ashk apne
Kis qadar dil pe jabar karta hoon
Aaj bhi kaarzar-e-asti mein
jab tere shaher se guzarta hoon

Is qadar bhi nahi maaloom mujhe
Kis mahalley mein hai makaan tera
Konse shaaq-e-gul pe raksaan jaanay
Rashk-e-firdos aashiyaan tera
Jaanay kin waadiyuun mein utra hai
Gherat-e-husn karawaan tera
Kis se poochoonga mein qabar teri
Kon batlaeyga nishaan tera !
Teri ruswaaiyuun se darta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Haal-e-dil bhi na kah saka gar che
Tu rahi mudattoon qareeb mere
Kuch teri azmatoon ka dar bhi tha
Kuch khayalaat thay ajeeb mere
Aakhir kaar wo ghadi aahi
Baarwar ho gahe raqeeb mere
Tu mujhe chor kar chali bhi gahi
Kher kismat meri,naseeb mere
Ab mein kyon tujhko yaad karta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Gau zamaana teri mohabbat ka
Ek bhooli hui kahani hai
Tere qoochay mein umy bhar na gahe
Saari duniya ki khaak chaani hai
Lazzat-e-wisl ho kay zakm-e-firaaq
Jo bhi ho teri maharbaani hai
Kis tamanna se tujhko chaha tha
Kis mohabbat se haar maani hai
Apni kismat pe naaz karta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Ashk palkoon mein aa nahi saktay
Dil mein hai teri aabroo ab bhi
Tujhse roshan hai kainaat meri
Tere jalway hain chaarsoo ab bhi
Apne gham khaana takayyul mein
Tujhse hoti hai guftugoo ab bhi
Tujhko veeran-e-tassavur mein
Dekh leta hoon roo-ba-roo ab bhi
Ab bhi mein tujhko pyar karta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Tujhse koi gilaa nahi mujhko
Mein tujhe bewafa nahi kahta
Tera milna khayal-o-khwaab hua
Phir bhi na aashna nahi kahta
Wo jo kahtay thay mujhko deewana
Mein unay bhi bura nahi kahta
Warna ik benawa mohabbat mein
Dil kay lutnay pe kya nahi kahta
Mein to mushkil se aa bharta hoon
Jab tere shaher se guzarta hoon

Koi pursaan-e-haal ho to kahoon
Kaisi aandhi chali hai tere baad
Din guzaara hai kis tara mein ne
Raat Kaise dali hai tere baad
Sham-e-umeed sar sar-e-gham mein
Kis bahanay jali hai tere baad
Jis mein koi makeen an rahta ho
Dil wo sooni gaki hai tere baad
Roz jeeta hoon,roz marta hon
Jab tere shaher se guzarta hoon.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Äpñäÿ ßä©hööñ kö kähäñï wöh §üñätëë höö gëë by Dewana_Badal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
MÄÏN MÖHÄßßÄT HÖÖN by SADIQA JAWED in Shayri for Dard -e- Judai
MÄÏN MÖHÄßßÄT HÖÖN by TOUCHY in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2004, 04:19:17 PM »
Reply with quote
Nice Dewana_Badal!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 09:05:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer