jee ke main kiya karooN ab tumhaarey binaa

by masoodhassaas on August 16, 2011, 01:37:37 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1605 times)
masoodhassaas
Guest
Reply with quote
aadaab dosto
aap ki mahfil me pahlee baar haazir ho rahaa hun ummeed ki doa den gey
nazm la unwaan hai
dard e judaayi

meri nazroN meN yaksaaN bahaar o khezaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Zindagee kee ye kaisee ghadee hai sanam
Zindagee ne kiye mujh ko laakhoN sitam
Kiyaa se kiyaa ho gaye too arab maiN ajam
Kah ke itnaa hi maiN toDtee hun qalam

dooriyoN ne hameN kar diyaa raayegaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

saaNs aatee to hai par machaltee nahi
kaaT luN din agar raat dhaltee nahi
kaisee tasweer hai jo badaltee nahi
main ki khud ke saNbhaale saNbhaltee nahi

gham ki is dhoop me too meraa saayebaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Yaad aate hain kujh ko wo din raat ab
Hoti rahti thi khushyoN ki barsaat jab
Dard itna abadhaa kaaNp jaatey haiN lab
Bas doaa hai mere kaash sun le ye rab

Teri baaNheN hoN aor dharkaneN hoN jawaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Tum gaye har khushee mujh se katraa gayee
Rooh tharraa gayee aaNkh pathraa gayee
Aayina main ne dekhaa to ghabraa gayee
Pholl soorat main thee kiyaa se kiyaa ho gayee

Jee ke main kiyaa karuN ab tumhaare  binaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: August 16, 2011, 06:56:30 AM »
Reply with quote
baht ache ehsaas hain kalaam ke--
dard bhari aapki ghazal ko hazaaron daad.

ye line--//zindgi ne kiye mujh ko lakhon sitam//
yaha--!! zindgai ne diye mujhko lakho sitam ya fir--
!! zidgi ne kiye mujh par lakho sitam !! hoga mere khayal se--

any way its a very gud poetry by u Usual Smile
WELCOME TO YOINDIA Usual Smile

HANSTE rahiye
tata Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2011, 03:47:40 PM »
Reply with quote
Masood Sahaab Aadaab!

    Aapka YOIndia ki mehfil meiN isteqbaal hai Usual Smile
Aap jaisi mashoor O maruf hasti ko yahaaN dekhkar
badi khushi huyi... Usual Smile

    Janab aapki kalaam kitne saare raNg bikher sakti
hai hum jaante hai.. Usual Smile Masha Allah aapki yeH nazm
bhi behad khoob rahi... Usual Smile Is dilfareb nazm par
dil se daad O mubarakbad kabul kijiye... Usual Smile

    Janab aapse khususi guzarish raheNgi ke yahaaN aate
rahiye... Aur apne kalaamoN se aur khushnuma khayaaloN
se nawaazte rahiye... Hum aur aik baat aapse khususi
kaheNge ke aap yahaaN ke aur members ki houNsla afzai
kareN aur apne ilm ki roshni se aur rahnumai se nawaazte
raheN Usual Smile

Aate rahiye...... Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile
         
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 16, 2011, 03:51:31 PM »

Aap se aik guzarish hai ke is masle par zarra apne ilm
ki roshni kareN...

http://www.yoindia.com/shayariadab/ghazals/paaon-mere-zameen-pe-rehne-dohasan-t66493.0.html

Aate rahiye...... Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile
         
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #4 on: August 16, 2011, 05:50:17 PM »
Reply with quote

Masood ji... bahut Khoob...

 Applause Applause Applause Applause

Janab ye thoda lamba tha....... tongue3
par dil se likhi gayi thi to bahut jyada achha tha... Usual Smile Usual Smile

plz dont mind...

dhero daad,,... Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #5 on: August 16, 2011, 09:53:18 PM »
Reply with quote
baht ache ehsaas hain kalaam ke--
dard bhari aapki ghazal ko hazaaron daad.

ye line--//zindgi ne kiye mujh ko lakhon sitam//
yaha--!! zindgai ne diye mujhko lakho sitam ya fir--
!! zidgi ne kiye mujh par lakho sitam !! hoga mere khayal se--

any way its a very gud poetry by u Usual Smile
WELCOME TO YOINDIA Usual Smile

HANSTE rahiye
tata Usual Smile

aap ke khair maqdamee kalimaat ka be had shukriyah khosoosan aap ne jis andaaz me nao waarid ki himmat afzaayi ki kalaam ko saraahaa yahaan tak ki typing ghalatee se aagaah kiyaa in tamaam omoor pe main aap ka shukr guzaar hun
masood
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #6 on: August 16, 2011, 09:56:02 PM »
Reply with quote
Masood Sahaab Aadaab!

    Aapka YOIndia ki mehfil meiN isteqbaal hai Usual Smile
Aap jaisi mashoor O maruf hasti ko yahaaN dekhkar
badi khushi huyi... Usual Smile

    Janab aapki kalaam kitne saare raNg bikher sakti
hai hum jaante hai.. Usual Smile Masha Allah aapki yeH nazm
bhi behad khoob rahi... Usual Smile Is dilfareb nazm par
dil se daad O mubarakbad kabul kijiye... Usual Smile

    Janab aapse khususi guzarish raheNgi ke yahaaN aate
rahiye... Aur apne kalaamoN se aur khushnuma khayaaloN
se nawaazte rahiye... Hum aur aik baat aapse khususi
kaheNge ke aap yahaaN ke aur members ki houNsla afzai
kareN aur apne ilm ki roshni se aur rahnumai se nawaazte
raheN Usual Smile

Aate rahiye...... Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile
         
aadaab
aap ki garakjooshi aor hkoloos ka tazkerah na kiya ajaaye to zulm ho gaa aap ne mujh naacheez ko aaftaab o maahtaab banaayaa halaan ki main is ke laayeq to nahi thaa magar aap ke husn e zann ne aise jumley takhleeq karwaaye us ka main tahe dil se mashkoor hun ummeed hai ki ye saath yun hi bana arahe gaa oar aap ki inaayaten yun hi barastee rahen gee
bahot shukriyah aap kaa
mukhlis
masood
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #7 on: August 16, 2011, 10:00:42 PM »
Reply with quote

Masood ji... bahut Khoob...

 Applause Applause Applause Applause

Janab ye thoda lamba tha....... tongue3
par dil se likhi gayi thi to bahut jyada achha tha... Usual Smile Usual Smile

plz dont mind...

dhero daad,,... Clapping Smiley Clapping Smiley

aadaab
janaab taoheed saahab
aap ka kahnaa belaa shubhaa jaayiz hai aor main bazaat e khud kalaam me tool e laa yaanee ko khataa ke zu,mrey me tasuwur kartaa hun ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, magar merey ajnabee dost ye nazm kisee ne kisee ke liye kahlawaaya athaa is haisiyat se ki us me aasaan lafzon ka istemaal ho kiun ki un khaatoon ke shaohar taazah taazah dubai gaye hain dard zaahir hai be panaah thaa to main un ki tarjumaanee ke faraayiz anjaam diye the is ke sewaa kuchh nahi
haan ye baat mahall e ghaor hai ki main ne amadan isey yahaan kiun post kiyaa to janaab baat itnee see hai jin saahab ne mujhey aap ki bazm ka raasta dikhlaayaa hai unhon ne farmaayaa thaa ki bazm me kasrat un hazraat ki hai jo saqeel urdu se naa balad hain
bahar kaif main har chehaar jaanib se aap ki mohabbat ko salaam karta ahun aor shukriyah bhi adaa kartaa hun
 
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: August 18, 2011, 09:28:58 AM »
Reply with quote
masood saheb,bahut khooburat nazm inaayat ki.mubarakbaad aur daad qubool kijiye.Hasan
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #9 on: August 24, 2011, 10:14:29 PM »
Reply with quote
masood saheb,bahut khooburat nazm inaayat ki.mubarakbaad aur daad qubool kijiye.Hasan
aadaab
buzurg main shukr guzaar hun aap ki inaayat ka
shukriya
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: August 26, 2011, 11:40:10 AM »
Reply with quote
aadaab dosto
aap ki mahfil me pahlee baar haazir ho rahaa hun ummeed ki doa den gey
nazm la unwaan hai
dard e judaayi

meri nazroN meN yaksaaN bahaar o khezaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Zindagee kee ye kaisee ghadee hai sanam
Zindagee ne kiye mujh ko laakhoN sitam
Kiyaa se kiyaa ho gaye too arab maiN ajam
Kah ke itnaa hi maiN toDtee hun qalam

dooriyoN ne hameN kar diyaa raayegaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

saaNs aatee to hai par machaltee nahi
kaaT luN din agar raat dhaltee nahi
kaisee tasweer hai jo badaltee nahi
main ki khud ke saNbhaale saNbhaltee nahi

gham ki is dhoop me too meraa saayebaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Yaad aate hain kujh ko wo din raat ab
Hoti rahti thi khushyoN ki barsaat jab
Dard itna abadhaa kaaNp jaatey haiN lab
Bas doaa hai mere kaash sun le ye rab

Teri baaNheN hoN aor dharkaneN hoN jawaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Tum gaye har khushee mujh se katraa gayee
Rooh tharraa gayee aaNkh pathraa gayee
Aayina main ne dekhaa to ghabraa gayee
Pholl soorat main thee kiyaa se kiyaa ho gayee

Jee ke main kiyaa karuN ab tumhaare  binaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

welcome to yoindia Janab Masood Hassas Saheb. Is forum mein aapko dekhkar az-hud khushi hui. Kamaal ki nazm kah daali aapne, ye is tarah ki nazm hai jo Hindi Film k laiq hai. Aisi naayaab nazm k liye hazaroN daad aur mubarakbad qubul kijiye aur is BAZM ko raunaq-afroz karte rahiye.

(waquif ansari)
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #11 on: August 26, 2011, 11:47:56 AM »
Reply with quote
aadaab dosto
aap ki mahfil me pahlee baar haazir ho rahaa hun ummeed ki doa den gey
nazm la unwaan hai
dard e judaayi

meri nazroN meN yaksaaN bahaar o khezaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Zindagee kee ye kaisee ghadee hai sanam
Zindagee ne kiye mujh ko laakhoN sitam
Kiyaa se kiyaa ho gaye too arab maiN ajam
Kah ke itnaa hi maiN toDtee hun qalam

dooriyoN ne hameN kar diyaa raayegaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

saaNs aatee to hai par machaltee nahi
kaaT luN din agar raat dhaltee nahi
kaisee tasweer hai jo badaltee nahi
main ki khud ke saNbhaale saNbhaltee nahi

gham ki is dhoop me too meraa saayebaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Yaad aate hain kujh ko wo din raat ab
Hoti rahti thi khushyoN ki barsaat jab
Dard itna abadhaa kaaNp jaatey haiN lab
Bas doaa hai mere kaash sun le ye rab

Teri baaNheN hoN aor dharkaneN hoN jawaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Tum gaye har khushee mujh se katraa gayee
Rooh tharraa gayee aaNkh pathraa gayee
Aayina main ne dekhaa to ghabraa gayee
Pholl soorat main thee kiyaa se kiyaa ho gayee

Jee ke main kiyaa karuN ab tumhaare  binaaN
“ maiN yahaN too wahaaN zindagee hai kahaN “

Waah waah Waah!!!!

Bahut Bahut Khoob janaab!!!

Jazbaaton se Labrez Bahut Khoobsurat Nazm Pesh Ki Hai Aapne..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #12 on: August 27, 2011, 02:19:30 AM »
Reply with quote
welcome to yoindia Janab Masood Hassas Saheb. Is forum mein aapko dekhkar az-hud khushi hui. Kamaal ki nazm kah daali aapne, ye is tarah ki nazm hai jo Hindi Film k laiq hai. Aisi naayaab nazm k liye hazaroN daad aur mubarakbad qubul kijiye aur is BAZM ko raunaq-afroz karte rahiye.

(waquif ansari)

Usual SmileUsual SmileUsual Smile aadaab
janaab waaquif bhai aap ki mohabbat ka maqrooz hun aor aap ke ekhlaas ka tah e dil se qadr daan bhi aap jaisey ahbaab har kisee ko naseeb hon is ki doaa hai bahot bahot shukriya khair maqdamee kalimaat kaa
jahaan tak nazmka sawaal hai to main aap ko bataa dun ki kisee khaatoon ke shaohar  haal hi me qatr gaye hain aor un ko tanhaayee ka ehsaas ho rahaa thaa bil ittefaaq yahee gaanaa sun liyaa ,,,,, too wahaan ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,aor kahney lageen ajeeb dard hai is me ai kaash aap hi likh detey ,,, aor hozoor naacheez ne un ke hisaab se sastey alfaaz me  un ke liye kuchh god gaad diyaa ,,yahee wajah hai ki us me ARAB oar AJAM ka tazkerah aayaa hai
Usual SmileUsual SmileUsual Smile
shukriyah
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #13 on: August 27, 2011, 02:21:29 AM »
Reply with quote

Waah waah Waah!!!!

Bahut Bahut Khoob janaab!!!

Jazbaaton se Labrez Bahut Khoobsurat Nazm Pesh Ki Hai Aapne..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

aadaab
badey bhai aap ka aanaa mobaarak ho badaa achha alagaa aap ko yahaan dekh ke behad shukriyah
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:54:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer