Jee rahaa hoon: haqeeqat mein beyjaan hoon!

by abdbundeli on August 01, 2008, 02:07:25 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3309 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Meizbaanee hai zaahid kee? Hairaan hoon!
Kyaa karoon saaqiyah? mein pareishaan hoon!!

Us kaa yeemaan hai! Woh, us kaa paaband hai!
Jab ki, mein eik adnaa hoon: insaan hoon!!

Eik hee meyree mahboobaa hai: jaan ley!
Rind hoon: may kaa aashiq hoon: yeemaan hoon!!

Meiney toubaa naheen kee hai: sun, shak na kar;
Us key weeraan ghar mein hoon: weeraan hoon!!

Teyrey pahloo mein beyfikra thaa; shaad thaa!
Ab yahaan hoon, to, zerey nigahbaan hoon!!

Tujh sey nazareyn milaaney ko beychain hoon!
Yeh qafas hai hadeedee: fansee jaan hoon!!

Mujh ko shak hai, ki, zindaa hoon, yaa mar chukaa?
Zibh honaa hai! Lagtaa hai: haiwaan hoon!!

Jaa waheen: har bashar, jahaan aazaad hai!
Us kee nazaroun mein, mein eik hullaan hoon!!

Har taraf, sirf jallaad-o-saiyaad hain:
Jee rahaa hoon: haqeeqat mein beyjaan hoon!

Yeh zarooree naheen, ki, woh hai aadmee!
Tukhm-e-aadam hoon mein! Apnee pahichaan hoon!!

Un kaa kahnaa hai: jannat key dar pai hoon mein!
Lamhey bhar mein, maqaam-e-paristaan hoon!!

Din mein kuchh? Raat mein kuchh alag hain? 'Abd',
Mazhabaani mukeedat sey, anjaan hoon!!
                   *******
                                 - abd bundeli

Logged
sarthika
Guest
«Reply #1 on: August 01, 2008, 04:18:05 PM »
Reply with quote
bahoot khoob abd ji!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: January 26, 2009, 11:36:01 AM »
Reply with quote
bahoot khoob abd ji!
Thanks sarthika ji!
            - abd bundeli
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: January 26, 2009, 11:40:35 AM »
Reply with quote
Meizbaanee hai zaahid kee? Hairaan hoon!
Kyaa karoon saaqiyah? mein pareishaan hoon!!

Us kaa yeemaan hai! Woh, us kaa paaband hai!
Jab ki, mein eik adnaa hoon: insaan hoon!!

Eik hee meyree mahboobaa hai: jaan ley!
Rind hoon: may kaa aashiq hoon: yeemaan hoon!!

Meiney toubaa naheen kee hai: sun, shak na kar;
Us key weeraan ghar mein hoon: weeraan hoon!!

Teyrey pahloo mein beyfikra thaa; shaad thaa!
Ab yahaan hoon, to, zerey nigahbaan hoon!!

Tujh sey nazareyn milaaney ko beychain hoon!
Yeh qafas hai hadeedee: fansee jaan hoon!!

Mujh ko shak hai, ki, zindaa hoon, yaa mar chukaa?
Zibh honaa hai! Lagtaa hai: haiwaan hoon!!

Jaa waheen: har bashar, jahaan aazaad hai!
Us kee nazaroun mein, mein eik hullaan hoon!!

Har taraf, sirf jallaad-o-saiyaad hain:
Jee rahaa hoon: haqeeqat mein beyjaan hoon!

Yeh zarooree naheen, ki, woh hai aadmee!
Tukhm-e-aadam hoon mein! Apnee pahichaan hoon!!

Un kaa kahnaa hai: jannat key dar pai hoon mein!
Lamhey bhar mein, maqaam-e-paristaan hoon!!

Din mein kuchh? Raat mein kuchh alag hain? 'Abd',
Mazhabaani mukeedat sey, anjaan hoon!!

                   *******
                                 - abd bundeli

 Applause Applause Applause Applause

Superb....  Thumbs UP
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: February 18, 2009, 06:11:40 PM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause

Superb....  Thumbs UP
Thanks Roja ji!
          - abd bundeli
Logged
divyam
Guest
«Reply #5 on: February 22, 2009, 07:42:41 AM »
Reply with quote
Garg Saahab,

pranaam,

yuun to apa ki puuri Ghazal behad achchi hai, par mujhe yeh sher behad pasand aaye. bhad munfarid andaaz hai aap ka... meri aur se daad aur mubaaraq-baad qubuul keejiyegaa... aur ummeed hai aap ko aage paDhne ka mauqa milta rahega....

Quote
Meizbaanee hai zaahid kee? Hairaan hoon!
Kyaa karoon saaqiyah? mein pareishaan hoon!!

Eik hee meyree mahboobaa hai: jaan ley!
Rind hoon: may kaa aashiq hoon: yeemaan hoon!!

Meiney toubaa naheen kee hai: sun, shak na kar;
Us key weeraan ghar mein hoon: weeraan hoon!!

Teyrey pahloo mein beyfikra thaa; shaad thaa!
Ab yahaan hoon, to, zerey nigahbaan hoon!!

Tujh sey nazareyn milaaney ko beychain hoon!
Yeh qafas hai hadeedee: fansee jaan hoon!!

Har taraf, sirf jallaad-o-saiyaad hain:
Jee rahaa hoon: haqeeqat mein beyjaan hoon!

Yeh zarooree naheen, ki, woh hai aadmee!
Tukhm-e-aadam hoon mein! apnee pahichaan hoon!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: February 22, 2009, 07:57:23 AM »
Reply with quote
Garg Saahab,
pranaam,
yuun to apa ki puuri Ghazal behad achchi hai, par mujhe yeh sher behad pasand aaye. bhad munfarid andaaz hai aap ka... meri aur se daad aur mubaaraq-baad qubuul keejiyegaa... aur ummeed hai aap ko aage paDhne ka mauqa milta rahega....
Divyam ji! Sadaa saanand raheyn! Dhanyawaad! 70 kaa huun! Likhney ki raftaar kuchh kam to zaroor huyi hai; par likhnaa 'jeewan' hai meyraa! Aap jaisey 'shubhchintatoun' ki 'duaa' sey khaasaa thheek-thhaak hoon, aur 'saamaanya' jeewan jii rahaa hoon! Aap likhtey raheyn; ham zaroor hi padhhney ki koshish mein raheyngey!
          - abd bundeli
Logged
divyam
Guest
«Reply #7 on: February 22, 2009, 12:08:48 PM »
Reply with quote
Divyam ji! Sadaa saanand raheyn! Dhanyawaad! 70 kaa huun! Likhney ki raftaar kuchh kam to zaroor huyi hai; par likhnaa 'jeewan' hai meyraa! Aap jaisey 'shubhchintatoun' ki 'duaa' sey khaasaa thheek-thhaak hoon, aur 'saamaanya' jeewan jii rahaa hoon! Aap likhtey raheyn; ham zaroor hi padhhney ki koshish mein raheyngey!
          - abd bundeli

Garg saahab,

aap ne thoda bohat apne baare me.n bataaya, jaan kar behad achcha laga aur aap is umr me.n bhi apne is josh ko banaaye huye hai.n, yeh behad khushii kii baat hai... meri pratahana hai ki bhagwaan aap ko lambi umr de aur aap yuu.n hi likhte rahe.n..

maine kuchh din pahle ek tarahi Ghazal kahi thii, agar aap waqt nikal kar tafseel se us par raa'ey de sake.n aur meri Ghaltiaan sudhaar de.n to baDi mehrbaani hogii. mai.n Ghazal isi section me.n post kar raha huu.n. is ummeed ke saath ki aap usay zaruur dekhe.nge..

divyam(Mayank)
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: February 22, 2009, 01:57:59 PM »

Mayank ji!
Mein aapki gazal zaroor hi padhhuungaa! You're welcome!
                                - abd bundeli
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: February 22, 2009, 02:08:18 PM »
Reply with quote
Bahoot hi khoob abd ji Thumbs UP
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: February 22, 2009, 02:34:08 PM »
Reply with quote
Bahoot hi khoob abd ji Thumbs UP
Thanks a lot, salma786 ji!
                - abd bundeli
Logged
MHussain
Guest
«Reply #11 on: June 29, 2009, 05:00:01 PM »
Reply with quote
Mr. Abdbundeli
Nice to know more about you and your age, I am too young to suggest.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: June 30, 2009, 03:51:50 AM »
Reply with quote
Mr. Abdbundeli
Nice to know more about you and your age, I am too young to suggest.
I'm obliged! But, here age is no bar! You've all the rights to speak! Waisey bhi 'Naye zaahidoun' keen baateyn barhee hee dilchasp hoteen hain! You're welcome!
                                - abd bundeli
       
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: June 30, 2009, 12:58:35 PM »
Reply with quote
Meizbaanee hai zaahid kee? Hairaan hoon!
Kyaa karoon saaqiyah? mein pareishaan hoon!!

Us kaa yeemaan hai! Woh, us kaa paaband hai!
Jab ki, mein eik adnaa hoon: insaan hoon!!

Eik hee meyree mahboobaa hai: jaan ley!
Rind hoon: may kaa aashiq hoon: yeemaan hoon!!

Meiney toubaa naheen kee hai: sun, shak na kar;
Us key weeraan ghar mein hoon: weeraan hoon!!

Teyrey pahloo mein beyfikra thaa; shaad thaa!
Ab yahaan hoon, to, zerey nigahbaan hoon!!

Tujh sey nazareyn milaaney ko beychain hoon!
Yeh qafas hai hadeedee: fansee jaan hoon!!

Mujh ko shak hai, ki, zindaa hoon, yaa mar chukaa?
Zibah honaa hai! lagtaa hai: haiwaan hoon!!

Jaa waheen: har bashar, jahaan aazaad hai!
Us kee nazaroun mein, mein eik hullaan hoon!!

Har taraf, sirf jallaad-o-saiyaad hain:
Jee rahaa hoon: haqeeqat mein beyjaan hoon!

Yeh zarooree naheen, ki, woh hai aadmee!
Tukhm-e-aadam hoon mein! apnee pahichaan hoon!!

Un kaa kahnaa hai: jannat key dar pai hoon mein!
Lamhey bhar mein, muqaam-e-paristaan hoon!!

Din mein kuchh? Raat mein kuchh alag hain? 'abd',
Mazhabaani mukeedat sey, anjaan hoon!!
                   *******
                                 - abd bundeli

abd ji kitni tareef ki jaye aapke kalaam ki? mashallah bhut khoob
Logged
mistufer
Guest
«Reply #14 on: June 30, 2009, 01:52:34 PM »
Reply with quote
abd ji
aapko aaj pahli baar padha bahut acha laga
aap yunhi likhte rahiye hume aapki ghazalon ka intazaar rahega
nira
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:39:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer