Jhuka ke dekh tu sajde me Sar Saliqe se ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on September 01, 2011, 06:43:46 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2497 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
Reply with quote
Aadab ,,,

Ahle bazm ko eid ki purkholos mubarak baad ,, Meri tazah ghazal ap sub hazraat ki nazr ..umid hai pasand aayegi ..

Diye jo maine parindon ko parr saliqe se
dikha rahe hain mujhi ko hunar saliqe se

Pighal hi jayenge pal bhar me moom ki manind
Mai pathron ko jo cho lon agar saliqe se

Ye ilteja hai zamane se baaghbaan ki abb
Samar pe maariye pathar magar saliqe se

Musibaton ke ye badal bhi chatt hi jayenge
Jhuka ke dekh tu sajde me sarr saliqe se

Qadeer tu khawb khayalon ke aasmaano se
Haqeeqaton ki zamin pe utar saliqe se

Qadeertoopchi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sari kainaat tere sajde by husain52 in Shayri for Khumar -e- Ishq
maa meri sajde mai rehti............ by abhishek tiwari in Occassion Specific Poetry
Kya Kahena us sajde ka anokhi bandagi hogi !! by abdulqadeer in Ghazals
SAJDE MAI by nath in Shairi - E - Zindagi
Haath uthakar sajde mein... by daljeet_faqeer in Ghazals
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: September 01, 2011, 07:11:49 PM »
Reply with quote
Qadeer Bhaijaan As salaam walekum!

Eid ki bahut bahut mubarakbaad Bhaijaan Usual Smile

Badi masarrat hoti hai jab aapki kalaam ko padhte haiN.. Usual Smile
Aur bhi jayada masarrat hoti hai jab aapko sunte haiN Usual Smile

Bhaijaan behad khubsurat gazal se bazm ko nawaaza hai aapne Usual Smile
bahut bahut khub sher kaheN hai saliqe se... Usual Smile

Masha Allaah bahut umdaa gazal rahi aur sahi sher bhi khub
rahe Usual Smile
Humari dili daad O mubarakbaad kabul kijiye Usual Smile

Likhate rahiye.. Aate rahiye... Usual Smile
Bhaijaan bazm ki ronak badhti hai aapse.. apna kuch jyada
waqt diya kijiye.. yehi ilteja hai aapse Usual Smile

Khush O aabaad rahiye Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         

Aadab ,,,

Ahle bazm ko eid ki purkholos mubarak baad ,, Meri tazah ghazal ap sub hazraat ki nazr ..umid hai pasand aayegi ..

Diye jo maine parindon ko parr saliqe se
dikha rahe hain mujhi ko hunar saliqe se

Pighal hi jayenge pal bhar me moom ki manind
Mai pathron ko jo cho lon agar saliqe se

Ye ilteja hai zamane se baaghbaan ki abb
Samar pe maariye pathar magar saliqe se

Musibaton ke ye badal bhi chatt hi jayenge
Jhuka ke dekh tu sajde me sarr saliqe se

Qadeer tu khawb khayalon ke aasmaano se
Haqeeqaton ki zamin pe utar saliqe se

Qadeertoopchi
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: September 01, 2011, 08:55:30 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut bahaut aur bahaut khoob Qadeer Sahab..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #3 on: September 02, 2011, 07:36:12 AM »
Reply with quote
Janab Abdul Qadeer Sahab,

Waah waah kya khoob ghazal kahi hai
maza aa gaya.

Har sher bahut bahut khoobsoorat hai.

Dili daad kubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #4 on: September 03, 2011, 07:34:10 AM »
Reply with quote
Aadab ,,,

Ahle bazm ko eid ki purkholos mubarak baad ,, Meri tazah ghazal ap sub hazraat ki nazr ..umid hai pasand aayegi ..

Diye jo maine parindon ko parr saliqe se
dikha rahe hain mujhi ko hunar saliqe se

Pighal hi jayenge pal bhar me moom ki manind
Mai pathron ko jo cho lon agar saliqe se

Ye ilteja hai zamane se baaghbaan ki abb
Samar pe maariye pathar magar saliqe se

Musibaton ke ye badal bhi chatt hi jayenge
Jhuka ke dekh tu sajde me sarr saliqe se

Qadeer tu khawb khayalon ke aasmaano se
Haqeeqaton ki zamin pe utar saliqe se

Qadeertoopchi

aadaab
ye kitnee baDee khushi ka moqaam hai ki aap ke fikree parwaaz roz bz roz maayel ba aasmaan hai abhi chand din pahley hi aap se mulaaqaat huyi jo ki aap ke kalaam ke zaryaa hi thee us waqt aor aaj me zameen aor aasmaan ka farq nazar aane lagaa gai
sachhai aor eimaandaaree se ki gayee mehnat bheeg bheeg ke rang laa rahee hai kalaam me nikhaar khiyaalaat me nudrat iblaagh me jiddat e taba har jaanib se ye uDaan shaandaar nazar aa rahee hai
main to bas yahee kahun gaa allaah nazr e bad se bachaay
masood hassaas 
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: September 03, 2011, 09:49:25 AM »

                  bahut cheekha humnein kisi ne na suni.
                  kahta hai usii baat ko tu magar saliqe se

kyaa khoob qadeer sahab

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

qadeer tu khawab-o-khyaalon ke aasmaan se.... maqta bhi khoob raha
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: September 03, 2011, 11:10:56 AM »
Reply with quote
Qadeer saheb,Khoobsurat ghazal ke liye mubarakbaad.Maqte ke misrai awwal ko shaayed nazar e saani ki zaroorat hai.Ho sakta hai meri kam ilmi ho.dekh lijiye ga.HASAN
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #7 on: September 03, 2011, 12:22:42 PM »
Reply with quote
Qadeer Bhaijaan As salaam walekum!

Eid ki bahut bahut mubarakbaad Bhaijaan Usual Smile

Badi masarrat hoti hai jab aapki kalaam ko padhte haiN.. Usual Smile
Aur bhi jayada masarrat hoti hai jab aapko sunte haiN Usual Smile

Bhaijaan behad khubsurat gazal se bazm ko nawaaza hai aapne Usual Smile
bahut bahut khub sher kaheN hai saliqe se... Usual Smile

Masha Allaah bahut umdaa gazal rahi aur sahi sher bhi khub
rahe Usual Smile
Humari dili daad O mubarakbaad kabul kijiye Usual Smile

Likhate rahiye.. Aate rahiye... Usual Smile
Bhaijaan bazm ki ronak badhti hai aapse.. apna kuch jyada
waqt diya kijiye.. yehi ilteja hai aapse Usual Smile

Khush O aabaad rahiye Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile         

Parwaz sahab aadab ,,

Ghazal pe apka tabsera faqr ka baaic bana ,,,Apne ghazal ki bharpoor pazeerai ki hai ,,,,,Is badle me sirf dua hi de sakta hun ,,Allah apko khush rakhe ..

Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #8 on: September 03, 2011, 12:23:47 PM »
Reply with quote
bahut bahut khub qadeer bhai... Shad o aabad rahiye shihab

Shihab bhai aadab ,,

Apko ghazal pasand aai ,,Jaankar khushi howi ,,Bhai kahan ho aaj kal nazar nahi aate ,,Allah apko khush rakhe..

Dua go
Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #9 on: September 03, 2011, 12:25:22 PM »
Reply with quote
Janab Abdul Qadeer Sahab,

Waah waah kya khoob ghazal kahi hai
maza aa gaya.

Har sher bahut bahut khoobsoorat hai.

Dili daad kubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Raqeeb sahab aadab ,,

Apse ahle ilm ko meri ghazal pasand aai ,,mere liye faqr ka maqam hai ,,Dad ke liye shukriyah ,, Allah apko khush rakhe ..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #10 on: September 03, 2011, 12:29:55 PM »
Reply with quote

aadaab
ye kitnee baDee khushi ka moqaam hai ki aap ke fikree parwaaz roz bz roz maayel ba aasmaan hai abhi chand din pahley hi aap se mulaaqaat huyi jo ki aap ke kalaam ke zaryaa hi thee us waqt aor aaj me zameen aor aasmaan ka farq nazar aane lagaa gai
sachhai aor eimaandaaree se ki gayee mehnat bheeg bheeg ke rang laa rahee hai kalaam me nikhaar khiyaalaat me nudrat iblaagh me jiddat e taba har jaanib se ye uDaan shaandaar nazar aa rahee hai
main to bas yahee kahun gaa allaah nazr e bad se bachaay
masood hassaas 

Masood bhai aadab ,,

Sub apki rahenumai ke sabab hai bhai ,,,Apse humne bahut sikha hai ,,aur Inshallah ta dam sikhte rahenge ,,Apko is bazm dekh ke acha laga ,,Ahebab se darkaust hai ke masood bhai ke maujodgi ka bharpoor faida uthaye.N,,Apki maujodgi yaqeenan bazm ki khushnaseebi hai bhai ,,, Apki ilmi shaqsiyat kissi taruf ki mahutaj nahi ,,,Umid hai ke ap apne kalamo se istefadah hasil karne ka mauqa dete rahenge ,,,Apki dad mere liye niyamat hai bhai ,,Apki dad ghazal ki kamiyabi pe dalalat karti hai ,,Allah apko umr-nuh ata kare..

Talib -e-ilm
Qadeertoopchi
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #11 on: September 03, 2011, 12:30:24 PM »
Reply with quote
Wah Qadeer Bhai Wah... !! Usual Smile Usual Smile

kya khoob kaha hai aapne,,,...

 Applause Applause Applause Applause
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #12 on: September 03, 2011, 12:36:01 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb,Khoobsurat ghazal ke liye mubarakbaad.Maqte ke misrai awwal ko shaayed nazar e saani ki zaroorat hai.Ho sakta hai meri kam ilmi ho.dekh lijiye ga.HASAN

Hassan Sahab Assalamwalekum ,,

Mujhe behad khushi howi ke apne meri ghazal ka tanqeedi jayeza liya ,,,Apse ahle ilm hazrat se bazm ki raunaq khayam hai ,,,Apne maqte me misra-e-oola ke mutaliq jo arz kiya hai mai usse zaroor dekh longa ,,Taham apse eak adban guzrish hai ke ap kiss jaanib ishara farma rahe hain ..Bhr ki janib ? ye Misre ki Bunnat ki Janib ? ya 1 wahid 2 jama ki jaanib ? agar app rahenumai farma den to maherbani hogi ,,Apko ghazal pasnad aai ye jaankar behad khushi howi ,, Dad ke liye mashkoor o mumnoo hon ,, Allah apko umr-e-nuh ata kare..

Khair andesh

Qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: September 03, 2011, 04:41:25 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb,Mera ishara bahr ki jaanib thha jis mein mujhe laga ki lafz TU nahin hona chaahiye.Main ummeed karta hoon aap ne bura nahiin maana hoga aur agar sahi hai to meri tasheeh bhi kar dijiye kyuunki mujhe bhi bahut zyaada ilm nahiin hai.Issi liye sirf shak zaahir kiya hai.HASAN
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #14 on: September 03, 2011, 07:25:07 PM »
Reply with quote
Mahutram Hassan Sahab  ,,,Apne tawajo dilwai uska shukriyah Wo typo eror hai ,,, Ap yahan Modify ka option hai nahi ,,,,Modrator sahibaan se guzarish hai ke Lafze tu hazaf kar den maherbaani hogi ..Eak baar phir apka shukriyah ..Allah apko khush rakhe ...

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:36:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.166 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer