Jo dil sey nikaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

by abdbundeli on December 19, 2008, 02:21:40 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2097 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Jo dil sey nikaltee hai, dard mein, wo gazal hai!
Shamma’a-see pighaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Yeh moosiqi hai dharhkanoun ki, guftgoo naheen;
Bin aag hi jaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Ham kyaa tumhain bataayen; sunaayen bhi kyaa tumhain?
Gaatee huyi chaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Ro leytey, par, uyoon mein baaqee kahaan hain ashk?
Buhraan mein paltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Man maantaa naheen hai manaaney sey baarhaa;
Tifloun-see machaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Ik barq arsh-e-zehn mein, har lamhey koundh kar,
Hookoun mein badaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Aashiq ki jaan, aatish-e-baatin sey pighal kar,
Aahoun mein ubaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Jab chain kaheen bhi naheen miltaa hai hijra mein;
Ahsaas-see dhhaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Har lafz mein nihaan ho jigar-o-dil ki jahaan baat,
Gas khaa key sambhaltee hai, dard mein, wo gazal hai!

Aatee naheen hai neend: ’abd’, jaagtey huye,
Khwaaboun mein tahaltee hai, dard mein, wo gazal hai!


                                       - abd bundeli
Janaab Prateek Mardia ji ki farmaaish par shabdaarth neechey likh rahaa hoon!
moosiqi = sangeet; guftgoo = antrang baatcheet; uyoon = aankheyn; Buhraan = kashmakash, beemaaree mein aaney waalaa achaanak badlaav;
baarhaa = baar-baar; Tifloun = bachchoun; barq arsh-e-zehn = Dimaag key aasmaan mein tarhit(bijlee); Hookoun = gahree teesoun; aatish-e-baatin = andar ki aag; hijra = wirah, wiyog; Ahsaas-see = samveidan, intense feeling; nihaan = chhupaa huaa.
                          - abd bundeli     
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil mein dard by zindagi_kal_ho_na_ho in Shayeri for Dard -e- Bewafai
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
GAZAL HAI DARD KA EK AUR CHEHRA by majid in Ghazals
Chalo, tumhain sunaauun eik gazal khalwat mein! by abdbundeli in Ghazals
Kaash, mein gaaun teyree eik bey-zabaan gazal!! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 19, 2008, 11:07:03 PM »
Reply with quote
Nice one Abd Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: December 20, 2008, 04:16:37 AM »
Reply with quote
Nice one Abd Ji
Thanks Rajesh Harish ji!
            - abd bundeli
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #3 on: December 20, 2008, 04:44:51 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

behtareen ghazal,umda panktiya.
Guzaarish---Ji,Abd ji...Main sirf 'waah waah kar ke nikal jau yahan se to baimaani hogi. Mujhey jitna samjh mein aaya utna behtareen laga. urdu ki kamazor pakad hone ke karaan kayi baar mehroom reh jaata hu,umda shaayri se. Kuch arth to kher, andaaz ko dekh kar bhaanp liye jaatey hein,pur kayi reh bhee jaate hein. Yeh ghazal mujhey vaakai vaapas padhne ki tammana hein, yadi samay aapko anumati de,to Kavita Jahan samapt hoti hein waha,urdu ke shabdon ke arth rakh dijiyega.shukriya.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #4 on: December 20, 2008, 05:46:05 AM »
Reply with quote
urdu shabdon ke arthon ke likhney ke liye koti koti dhanyawaad.
Yeh ghazal padh kar maano aaj ki subah hi ghazal ho gayi!
nisandeh-amazing quality work,khoobsurat panna,lajawaab alfaaz. Applause Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: December 20, 2008, 06:02:44 AM »
Reply with quote
urdu shabdon ke arthon ke likhney ke liye koti koti dhanyawaad.
Yeh ghazal padh kar maano aaj ki subah hi ghazal ho gayi!
nisandeh-amazing quality work,khoobsurat panna,lajawaab alfaaz. Applause Applause Applause Applause
Thanks you liked it! I'm happy!
                    - abd bundeli
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: December 20, 2008, 06:14:28 AM »
Reply with quote
wah wah wah janab kya bath hai abd ji !! shaheri pe acha control hai apka !!

ghazal kya hai eak alfaaz ka namona !!
ye hunnar hai samandar-a-jazbath ko eak kuze me band karna!!

qadeer toopchi

Dubai
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: December 20, 2008, 06:18:53 AM »
Reply with quote
wah wah wah janab kya bath hai abd ji !! shaheri pe acha control hai apka !!
ghazal kya hai eak alfaaz ka namona !!
ye hunnar hai samandar-a-jazbath ko eak kuze me band karna!!
qadeer toopchi
Dubai
Shukriyah aapko gazal pasand aayee! Aur, janaab, zarrah nawaazii key liye bhi shukraguzaar hoon!
                                   - abd bundeli
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #8 on: December 20, 2008, 06:28:11 AM »
Reply with quote
Noor haasil hua chehre pur,unko mohhabbat se,
aainey mein itartee he ,ishq mein,wo ghazal hai!

khaamosh lub,aur nigaaho se baat saari raat
subah sanam se jub bichadtee he,ishq mein, wo ghazal hai!

ub muskuraahate audhti hey, majboot dil samjhe hey sub
tanhaiyon mein bilakhtee he jub, ishq mein,wo ghazal hai!

katra katra mehfooz thaa,ghut gaya dil ki chaardiwaar mein
motiyon ki tarah bikhartee he,ishq mein,wo ghazal hai!

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: December 20, 2008, 07:04:41 AM »
Reply with quote
Noor haasil hua chehre pur,unko mohhabbat se,
aainey mein itartee he ,ishq mein,wo ghazal hai!

khaamosh lub,aur nigaaho se baat saari raat
subah sanam se jub bichadtee he,ishq mein, wo ghazal hai!

ub muskuraahat audhti thee, majboot dil samjhe they sub
tanhaiyon mein bilakhtee he, ishq mein,wo ghazal hai!

katra katra mehfooz thaa,ghut gaya dil ki chaardiwaar mein
motiyon ki tarah bikhartee he,ishq mein,wo ghazal hai!



Nice one Prateek Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: December 20, 2008, 07:54:54 AM »
Reply with quote
Prateek Mardia ji!
Sahee hai: aashiq ki gazal to us kee mahboobaa hi hai, jo us key muttahdah anaasir (samyukt mool tatwa, united basic elements that constitute the human-body) key har eik zarrey ko nirantar chhootee aur aandolit kartee hai! Sundar antarbhaawoun kaa sankalan prastut kiyaa hai aapney!
                                  - abd bundeli
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #11 on: December 20, 2008, 08:43:46 AM »
Reply with quote
Nice one Prateek Ji

aapka aabhaar,rajesh bhai.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #12 on: December 20, 2008, 08:47:26 AM »
Reply with quote
Prateek Mardia ji!
Sahee hai: aashiq ki gazal to us kee mahboobaa hi hai, jo us key muttahdah anaasir (samyukt mool tatwa, united basic elements that constitute the human-body) key har eik zarrey ko nirantar chhootee aur aandolit kartee hai! Sundar antarbhaawoun kaa sankalan prastut kiyaa hai aapney!
                                  - abd bundeli


ek gustaakhi ki thee maine aapki itni sundar ghazal ko padh kar bus raha nahi gaya,aur aatur ho gaya thaa kuch tukbandi karne ke liye. Aap ne is prayaas ka jo swaagat kiya ,uskey liye aabhaar.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: December 20, 2008, 09:51:38 AM »
Reply with quote
ek gustaakhi ki thee maine aapki itni sundar ghazal ko padh kar bus raha nahi gaya,aur aatur ho gaya thaa kuch tukbandi karne ke liye. Aap ne is prayaas ka jo swaagat kiya ,uskey liye aabhaar.
You're welcome! Likhye, aur khoob likhiye!
                             - abd bundeli
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: December 21, 2008, 04:33:42 AM »
Reply with quote
wah wah wah kaya baat hai bahoot khoob Abd ji and Prateek ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:33:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 20 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer