Jo lutf hai peene mein nazro.n se..........................IFTAKHAR

by Iftakhar Ahmad on June 12, 2012, 01:44:22 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1666 times)
Iftakhar Ahmad
Guest
Reply with quote
Zar-o-jaaydaad-o-Husn-o-shabab mein
Kya rakha hai aakhir iss habaab mein

Kyun zindagi se pyar hai, kyun muft beqarar hai
Kyun pada hai aakhir, tu iss haseen khwaab mein

Chalne ko sath qabr mein, maine lagai jab sada
Koi nahi  sathi  mila,  mujhe  apne ehbaab mein

Aashiq hain hum bhi tere, ho kuch nazar apni bhi taraf
Kabhi aa jaaya karo,  humaare  bhi khana-e-kharab mein

Jo  lutf hai peene  mein  nazro.n se mehboob ke
Wo  lutf  kaha.n   angoor   ki iss  sharab  mein

Jo  jaanni  hai  zindagi   to   ishq  karke  dekh lo
Warna kya rakha hai 'Iftakhar', sheikh ki kitab mein

Habaab: Paani ka bulbula
Sada: Aawaz
Ehbaab: Friends
Khana-e-kharab: Ujda hua ghar

Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #1 on: June 12, 2012, 01:50:37 PM »

Zabardast gazal ka agaaz hai Iftikhar ji bahut hi behtrien peskash par dheroN daad aur ek Ra bhi qabool kariye...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: June 12, 2012, 01:55:57 PM »
Reply with quote
Bahut khoob,Iftakhar sb.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #3 on: June 12, 2012, 01:56:52 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Pankaj jee.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #4 on: June 12, 2012, 01:57:22 PM »
Reply with quote
Bahut khoob,Iftakhar sb.
Shukriya Hasan saheb.
Logged
Qais
Guest
«Reply #5 on: June 12, 2012, 03:57:21 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
soudagar
Guest
«Reply #6 on: June 12, 2012, 04:24:16 PM »
Reply with quote
bahut badhiya khubsurat rachna....... dhero daad ahmad ji.....

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: June 12, 2012, 04:35:08 PM »
Reply with quote
Acchi koshish hai Iftakhar bhai
bas yun hi likhte rahiye.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #8 on: June 12, 2012, 05:04:22 PM »
Reply with quote
Applause Applause
Shukriya Qais saheb.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #9 on: June 12, 2012, 05:05:51 PM »
Reply with quote
Shukriya Saudagar jee.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #10 on: June 12, 2012, 05:21:41 PM »
Reply with quote
Acchi koshish hai Iftakhar bhai
bas yun hi likhte rahiye.
KOSHISH??? Main sirf likhta hun, koshish nahi karta.
Comments dene se pehle ye dekh lijiye k kisko kya comment de rahe hain.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #11 on: June 12, 2012, 06:13:16 PM »
Reply with quote
Zar-o-jaaydaad-o-Husn-o-shabab mein
Kya rakha hai aakhir iss habaab mein

Kyun zindagi se pyar hai, kyun muft beqarar hai
Kyun pada hai aakhir, tu iss haseen khwaab mein

Chalne ko sath qabr mein, maine lagai jab sada
Koi nahi  sathi  mila,  mujhe  apne ehbaab mein

Aashiq hain hum bhi tere, ho kuch nazar apni bhi taraf
Kabhi aa jaaya karo,  humaare  bhi khana-e-kharab mein

Jo  lutf hai peene  mein  nazro.n se mehboob ke
Wo  lutf  kaha.n   angoor   ki iss  sharab  mein

Jo  jaanni  hai  zindagi   to   ishq  karke  dekh lo
Warna kya rakha hai 'Iftakhar', sheikh ki kitab mein

Habaab: Paani ka bulbula
Sada: Aawaz
Ehbaab: Friends
Khana-e-kharab: Ujda hua ghar

GUD ONE IA
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: June 12, 2012, 06:57:12 PM »
Reply with quote
GUD ONE IA
Thnx KA
Logged
sarfira
Guest
«Reply #13 on: June 12, 2012, 06:59:26 PM »
Reply with quote
bahot khoob Ahmad sahab-
umda ghazal
sabhi aashar haqeekat ka aaina han--
daad kubul karen

khus rahen
muskurate rahen

janaab aapki post ka wait rahta hai hume
aate rahie
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #14 on: June 12, 2012, 07:06:11 PM »
Reply with quote
bahot khoob Ahmad sahab-
umda ghazal
sabhi aashar haqeekat ka aaina han--
daad kubul karen

khus rahen
muskurate rahen

janaab aapki post ka wait rahta hai hum
aate rahie

Tah-e-dil se aapka shukriya Subhas jee iss qadar hausla afzaai k liye.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:09:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer