JUB RUKH SE NAQAAB .................HASAN

by F.H.SIDDIQUI on December 10, 2011, 08:09:25 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2952 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: December 13, 2011, 05:18:50 PM »
Reply with quote
Hasan Saheb,

Dil to chahta tha ke iss be misaal nazm par kuch aisi bemisaal dad don aapko
magar PARWAZ saheb ke khubsurat Andaz-e tareef ke baad koi aur kia kehe.

Bahut alaa, Bahut hi umda matla
Bahut hi achi tareef e husn
Bahut hi acha manzar aap ne kheecha

Purjosh hazaron dad khubul kijeye

Abul Asad
Abul  Asad  saheb , Adaab . Aap ki zarranawazi ke liye bahut mamnoon  hoon.Aap ne sahi kaha Parwaaz saheb YO per  hum jaise tifl e maktab ki bahut hausla afzai karte hain . Ye aap hi sub doston ki badaulat hai ki kuchh likhne aur usse share karne ki himmat padti hai . Aap ki mohabbat ka ek baar phir bahut shukriya.Khush rahiye.Duago,Hasan  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
naqaab by tabassum shakeel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Naqaab hi naqaab hain yahaan qataaroun mein! by abdbundeli in Ghazals
NAQAAB by mohsin akhter in Shayari -e- Husn
RUKH E JAANA PE BUDHAPA NAHI LAANA YA RAB ........................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Naqaab by 92Sufyan in Shayari -e- Husn
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: December 13, 2011, 07:20:45 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob kahaa hasan bhai jab jab aapkee qalam chaltee hai ek shaandaar ghazal nikaltee hai beshumaar daad haajir hain
Saini  saheb , Hausla  afzai  ke  liye
bahut  bahut  shukriya . Duago , Hasan

Logged
Imdad
Guest
«Reply #17 on: December 13, 2011, 07:56:31 PM »
Reply with quote
Wah. bahut khoob.
Excellent composition hai.
Is me sab kuch hai. Mohobbat bhi hai. Dard bbhi hai. Shayerana mizaj hai aur thodi hasi bhi hai.
Kamaal hai
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #18 on: December 14, 2011, 07:57:11 AM »
Reply with quote
janaab hasan saheb aadaab
Aur to kya kahun ab aage gar kuch kahunga to aap kahoge ki bahut inkisaari se kaam leta hun
So zyada kuch nahi kahunga bas itna hi ki aapko
Parhne ka bas ek alag hi maza hai, jab bhi parhta
Hun bas dil khush ho jata hai, aur ek hi tamanna
Hoti hai ki kaash kaash hum bhi Kabhi aisa kuch likh paate par bas tamanna , tamanna hi reh jaati hai, khair bahut bahut aur bahut hi khub janaab is khoobsurat peshkash pe dili mubaraakbaad aur hazaaron daad ba aawaz e buland kabul karen...

ALLAH pak aapko chust, mast, aur swast rakhe

Shad o aabad rahiye...

shihab
Shihab mian,Bahut shukriya .Aap bahut
 mohabbat se naacheez ka kalaam
 padhte hain aur hausla afzai karte
 hain.Bahut bahut duayein.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #19 on: December 14, 2011, 02:47:36 PM »
Reply with quote
Wah. bahut khoob.
Excellent composition hai.
Is me sab kuch hai. Mohobbat bhi hai. Dard bbhi hai. Shayerana mizaj hai aur thodi hasi bhi hai.
Kamaal hai
Imdad saheb,adab. Shukrguzar hoon ki
aap  ne  ghazal  padhi  aur  saraahi.
Aage bhi aap ki qimti raai ka mutamaani
hoon.Hasan
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #20 on: December 14, 2011, 02:57:36 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley :clapping:hasan sahab  hazaroon daad ki haqdaar hai yeh aapki ,,,naayaab nazm ...yeh gulshan yun hi mahkate rahiye ..khuda hafiz,,,
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #21 on: December 15, 2011, 12:41:58 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley :clapping:hasan sahab  hazaroon daad ki haqdaar hai yeh aapki ,,,naayaab nazm ...yeh gulshan yun hi mahkate rahiye ..khuda hafiz,,,
Sunil  ji . Aap  ne  ghazal  padhi
aur  hausla  afzai  ki . Bahut
mamnoon  hoon . Hasan
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #22 on: March 31, 2012, 10:53:22 AM »
Reply with quote

Jub    rukh  se   Naqaab   unke  ,  dheere  se  sarakti   hai ,
Kya    roop   nikalta   hai  ,  kya    shaan   jhalakti   hai

Woh   sho'la - badan   to   bus   ek   baar  hi   guzra   thha
Abb   tak   mere   seene   meiN  ,  ek   aag   dahakti   hai

Utthne   ko   woh   Ghoonghat   hai  ,  aayegi   Qayamat   kya ,
KyuuN   jism   larazta   hai  ,  kyuuN   Aankh   phadakti   hai

Daulat  ke   ujaaloN   meiN  ,  kyuuN   Jaam   chhalakte   haiN  ,
Ghurbat   ke   andheroN   mein   jub   bhook   sisakti   hai

Woh   Khwaaab   se   uthh'te   haiN  , lete  huay   Angdaai  ,
Ya    baad - e - sahar    se   koi   Shaakh   lachakti   kai

Ghalti   ho   Siyasat   ki  ,  ya   Shaikh - o - Brahman   ki  ,
Sholay   naheeN   thamte   haiN  , jub   Aag   bhadakti   hai

Taareef   HaseenoN   ki  ,  karna   meri   Fitrat   hai  ,
Per   unnko  'Hasan'   meri  ,  yeh   baat   khatakti   hai


waaaaaaaaaaaaaaaaah Applause Applause Applause Applause
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 19 hours and 41 minutes.
Posts: 18617
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #23 on: March 31, 2012, 10:53:59 AM »
Reply with quote
bohut khub sidiqui sahab
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: April 05, 2012, 01:15:43 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaaaaaah Applause Applause Applause Applause
adil sahab.tah e dil se shukriya.Khush rahiye.Hasan
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:02:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer