Just for You !!! - Nahin Nahin Nahin ...

by Qutubuddin on March 01, 2008, 07:12:49 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1170 times)
Qutubuddin
Guest
Reply with quote

Teri Yaadon ke Bina koi Lamha Guzaara Nahin
Ek pal Nahin jab Tumhe Humne Pukaara Nahin
   
Meri Naakaamiyon Ka Itna Bhi Ghum Na Kijiye
Agar aap Jeete Hain to Main Haari Nahin
   
Ye Naqsh-e-Dard Kaise Utar Jaaye Chehre Se
Maine Abhi Aapka Ghum Dil se Utaara Nahin
   
Tere bin Youn Kat Rahi Dariya-e-Zindagi Mein
Kashti Bhi Hai Maajhi bhi hai,Kinaara Nahin
   
Kar Rakhaa Hai Jisne Saare Ghar Mein Ujaala
Aansu Hai Mera ye Koi Toota Hua Taara Nahin
   
Kisko Gale Lagaa Ke Rooyen Na-Muraad Hum
Is Bhari Duniya Mein Apna Koi Sahaara Nahin
   
Mareez-e-Ishq Hai Tamannai Khudkushi Ka ab
Gehre Hain Dil ke Zakhm,Aur Koi Chaara Nahin
   
Wo aa Ke Poonchh Den Aansu Hamari Aankhon se
Itna bhi Hamare Haq Mein Naseeb Hamara Nahin..

Ques...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
HUM Bhi Nahin by fakharenaveed in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
koi nahin by abeera in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tum jo nahin ho ....!!!! by Talat in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 6 7 »
Zarf ka koi naam nahin , Aansoo ka koi daam nahin by javedarshad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Nahin hai mujhe hosh mera Lekin mein madhosh nahin by Ricky in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 01, 2008, 09:25:51 PM »
Reply with quote
Nice Ghazal..Thanks for sharing Qutub ji !
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: March 02, 2008, 02:59:09 AM »
Reply with quote
Beautiful sharing Ques
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #3 on: March 02, 2008, 08:14:47 AM »
Reply with quote
Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
 
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan Jao Gi Bersaath Bohot Hay
 
Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zarori Hay
Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay
 
Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay

Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi 
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Hay
 
Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
SARI ZINDAGI TANHAYEE KE LIYE AAJ KI RAAT BOHOT HAY

Ques...
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: March 02, 2008, 08:24:54 AM »
Reply with quote
Wo Keh Ke Chalay Itni Mulaqat Bohot Hay
Main Nay Kaha Ruk Jao Abhi Raat Bohot Hay
 
Aansoo Mere Thum Jayein To Phir Shoq Say Jana
Aisay Main Kahan Jao Gi Bersaath Bohot Hay
 
Wo Keh Nay Lagi Jana Mera Bohot Zarori Hay
Nahi Chahti Dil Toron Tera Per Majboree Hay
 
Ger Hoi Ho Koi Khata To Maaf Ker Dena
Main Nay Kaha Hojao Chup Itni Kahi Baat Bohot Hay

Samajh Gaya Hon Sab Aur Kuch Kaho Zarori Nahi 
Bas Aaj Ki Raat Ruk Jao, Jana Itna Bhi Zarori Nahi Hay
 
Phir Kabhi Na Aaonga Tumhari Zindagi Mein Lot Ke
SARI ZINDAGI TANHAYEE KE LIYE AAJ KI RAAT BOHOT HAY

Ques...


Nice Sharing Ques ji... Yeh gazal mujhe bahut pasand hai.
Thanks once again for sharing.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #5 on: March 02, 2008, 08:32:40 PM »
Reply with quote
nice sharing Ques ji!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 02:33:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer