Kaafee naheen hai sirf raat, pyaar ke liye!

by abdbundeli on January 05, 2011, 01:41:30 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1425 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Kaafee naheen hai sirf raat, pyaar ke liye!
Har lamaha haqeeqee hai wasl-e-yaar ke liye!!

Mousam ko badalnaa hai, badaltaa hai roz-roz;
Ham kyoun rukeyngey yom-e-intizaar key liye?

Har simt, nigaahon mein hai qaraar hee qaraar;
Kuchh bhee naheen hai ahl-e-beyqaraar key liye!

Shaadaab sabzhkheyz zamin kah rahee hai roz:
Tashreef laayiye idhar, qaraar key liye!

Ham hain tabeeb aik-doosarey key khud; naheen
Laachaar kisee aur gamgusaar key liye!

Katm-e-adam sey aaj talak, ba'ad mein us paar;
Hamkhwaab ham baney hain baar-baar key liye!

Beychainiyaan chhuyengeen hamain kyoun bhalaa, 'abd',
Unkaa maqaam tay hai darkinaar key liye!

                         - abd bundeli

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: January 05, 2011, 06:04:38 PM »
Reply with quote
Abd Sahab Aadaab!

Kafi dino bad aapki kalaam se ruberu huye hai...
Achche ahsaas o khayaal bayaaN kiye hai aapne.

Quoted Ashar hume achche lage.. Daad kabool kijiye..

Likhate rahiye..
Aate rahiye......
Khush O Aabad rahiye...
Khuda Hafez..... Usual Smile         

SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #2 on: January 05, 2011, 06:08:43 PM »
Reply with quote
bahut khoob mazaa aa gaya.
bahut khoobsurat haqikat bayan karti hui.
 icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
nirala
Guest
«Reply #3 on: January 05, 2011, 06:21:29 PM »
Reply with quote
sahi baat ji.
bahut khubsurat
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #4 on: January 05, 2011, 08:16:34 PM »
Reply with quote
Kaafee naheen hai sirf raat, pyaar ke liye!
Har lamaha haqeeqee hai wasl-e-yaar ke liye!!

Mousam ko badalnaa hai, badaltaa hai roz-roz;
Ham kyoun rukeyngey yom-e-intizaar key liye?

Har simt, nigaahon mein hai qaraar hee qaraar;
Kuchh bhee naheen hai ahl-e-beyqaraar key liye!

Shaadaab sabzhkheyz zamin kah rahee hai roz:
Tashreef laayiye idhar, qaraar key liye!

Ham hain tabeeb aik-doosarey key khud; naheen
Laachaar kisee aur gamgusaar key liye!

Katm-e-adam sey aaj talak, ba'ad mein us paar;
Hamkhwaab ham baney hain baar-baar key liye!

Beychainiyaan chhuyengeen hamain kyoun bhalaa, 'abd',
Unkaa maqaam tay hai darkinaar key liye!

                         - abd bundeli

Subhan Allah,

Abd Sir Aapki Har Ghazal Mashallah Bohat Pyaare Ehsaason Se Bhari Hui Hoti Hai,.

Aur Is Ghazal Ka Matla, Bohat Hi Pyaara Hai,.

May Allah Bless You Sir,.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: January 06, 2011, 06:30:26 AM »
Reply with quote
Abd Sahab Aadaab!

Kafi dino bad aapki kalaam se ruberu huye hai...
Achche ahsaas o khayaal bayaaN kiye hai aapne.

Quoted Ashar hume achche lage.. Daad kabool kijiye..

Likhate rahiye..
Aate rahiye......
Khush O Aabad rahiye...
Khuda Hafez..... Usual Smile         

ParwaaZ ji, Namaskaar! Khushee huyee aap kaafee deyr ba'ad hi sahee, meyree aik gazal key roo-b-roo huye to! Aur, is ey ziyaadah ye khushee huyee ki aapko asha'ar pasand bhi aaye! Ummeed kartaa huun , ki, aap aagey bhi aap ki nazar-e-inaayat banee raheygee! Bahut-baht shukriyah!
Khush rahiye! Sehatmand rahiye!
Khudaa haafiz!

                - abd bundeli
                     
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: January 06, 2011, 06:32:15 AM »
Reply with quote
bahut khoob mazaa aa gaya.
bahut khoobsurat haqikat bayan karti hui.
 icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut-bahut shukriyah Suresh ji!

              - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: January 06, 2011, 06:33:47 AM »
Reply with quote
sahi baat ji.
bahut khubsurat
Bahut-bahut shukriyah Nirala ji!

              - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: January 06, 2011, 06:37:16 AM »
Reply with quote
Subhan Allah,

Abd Sir Aapki Har Ghazal Mashallah Bohat Pyaare Ehsaason Se Bhari Hui Hoti Hai,.

Aur Is Ghazal Ka Matla, Bohat Hi Pyaara Hai,.

May Allah Bless You Sir,.

Bahut-bahut shukriyah Azeem ji! Aapki duaaoun kaa hi to asar hai janab! Shukriyah!
May HE bless you & your family!

                - abd bundeli

              - abd bundeli
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #9 on: January 06, 2011, 11:43:22 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob ABDji......kya baat hai ji.... Applause Applause Applause Applause Applause

Kya baat kar rahe hain janaab Din-o-raat kee
Hume tou kam hai ye poora jeevan pyaar k liye
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: January 06, 2011, 12:59:06 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob ABDji......kya baat hai ji.... Applause Applause Applause Applause Applause

Kya baat kar rahe hain janaab Din-o-raat kee
Hume tou kam hai ye poora jeevan pyaar k liye

Bahut-bahut shukriyah, 'KOYAL46' ji!
Aapney sahee farmaayaa hai!

Rishtah hai yah prem kaa;
Janm-janm kaa saath!
Us din sey ham aik hain,
Jab sey paaye haath!

Guzaarish hai, ki, aap neechey likhaa sher dubaarah padhheyn! Jo aap chaahteen hain, wahee to ismein likhaa hai!!
Katm-e-adam sey aaj talak, ba'ad mein us paar;
Hamkhwaab ham baney hain baar-baar key liye!

                   - abd bundeli

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:58:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer