Kab sharbat-e-kousar sey, galaa kar sakoongaa tar?

by abdbundeli on August 26, 2008, 07:50:36 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2353 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Kis ko patah hai, baad hashra, kis ko kyaa miley?
 Behtar hai, rawaan hotey rahain, yoon hi, qaafiley!
 
 Jannat bhi eik khwaab hai: dozakh bhi khwaab hai:
 Ya khwaab-e-tasawwur hain! Hawaayee hain yeh kiley!!

 Hoon dafn qabra mein hazaar saal sey, huzoor!
 Kab tak chaleyngey aur, yeh khulboun key silsiley?
 
 Aayegee kab qayaamat-e-duniyaa? ae raahbar!
 Kab ba-wafaaiyoun key, mileyngey mujhey siley?

 Kab sharbat-e-kousar sey, galaa kar sakoongaa tar?
 Kab chaand-see hooroun key sunoogaa haseen giley?

 Kitney hazaar saal, aur hogaa intizaar?
 Kab aayengey dobaarah nazar gul, 'abd', khiley?

                                      - abd bundeli
 

 
  
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaj, kousar ki pilaa dey, ki, mazah aa jaaye! by abdbundeli in Ghazals
Aab-e-kousar key liye, intizar mahshar kaa? by abdbundeli in Kaifiyaat-ae-maye
Sharbat-e-ishq sey dil-o-dimaag hain labreiz! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Achcha Laga Tha.....( Mohib Kousar ) by musaafirhon in Ghazals
Khaalee hai, lagtaa hai, kousar-saa labreiz tah-e-maykhaanah! by abdbundeli in Ghazals
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: August 26, 2008, 07:59:10 AM »
Reply with quote
APNE LIYE KYA MANGU BADA GUNEHGAAR HAIN GHAYEL
PAR ITNI DUA HAI YA RAB JANNAT ABD KO MILE

                                        -SG-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: August 26, 2008, 09:46:45 AM »
Reply with quote
SAJID_GHAYEL JI,

 Bagair yaar key, jannat mujhey qubool naheen!
 Rind jaatey hain jahaan: mein to waheen jaaoongaa!
 Hazaar saal ki hoorein, unhain mubaarak houn:
 Jo wahaan un ko mileygaa: mein yaheen paaoongaa!!

                             - abd bundeli
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2008, 05:44:45 AM »
Reply with quote
Ahl-e
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: August 27, 2008, 07:47:31 AM »
Reply with quote
Muhammed sa'b!
Ishaarey mat karo, pooraa likho; mein jannat-o-dozakh ki haqeeqat sey ba-khabar hoon! Apney 'dil ko bahlaaney', yaa doosaroun key 'dil ko dahlaaney' key liye, jannat-o-dozakh ki khayaali taameer, eik lambey arsey sey, 'aslaah-e-khaas' banee huyee hai! Khudaa aap ko 'ahl-e-jannat' banaayey! Mein kisee 'dozakh' sey darney waalaa insaan naheen hoon! Mujhey, apney 'KHUDAA' ki insaaf pasandee par pooraa eitibaar-o-itmeenaan-o-fakhra hai; US ki jo marzee ho, wahaan mujhey rakhey, ya na rakhey!
Khuda haafiz!
                                               - abd bundeli
 
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: August 27, 2008, 10:16:06 AM »
Reply with quote
Bohot Khoob Abd Ji Applause

 Nice lines Sajid !
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: August 27, 2008, 10:21:20 AM »
Reply with quote
Superb  Applause
As usual bahut umda likha hai gazal aapne abd sb.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: August 27, 2008, 10:30:12 AM »
Reply with quote
Celmira ji / Roja ji,

Aap key jigar-o-zehn ki mahak sey mahkaa hoon;
Warnah dozakh ki hawaaoun mein chahaktaa hoon mein!

                               - abd bundeli

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #8 on: August 27, 2008, 11:06:45 AM »
Reply with quote
Abd babu...Main Kyon Jaaoon Jannat ?

Khdua Kasam ! Main Na Loon aisi Jannat.,
Ki Jisme Unse Milne Ki Na Nikle Koi Surat...!!!
         
           Jannat se Mera Waasta Kya kyon Le Jannat Ko ?

Khusrawee Achchhi Lagi Na Sarwaree Achchhe Lagi
Hum FaqeeroN Ko madine Ki Galee Achchhe Lagi

           Aur Jannat Hai Kya Chiz ?

Yeh Jannat To Nabi K Tukdo Par Palne waali ik Adna Si Chiz Hai

           Aur Jannat Ka Husn Kya Hai ?
 
Yeh Jannat To Dhundhlee si Tasweer Hai Shahr-e-Madina Ki

Abd babu..
Shayad ahl-e-Yakin Aur Zaahid Aur Fir Ahl-e-Rind Bhi " Jannat " K Pichhe Pade Huein Hai
Maloom Nahi padta Yaar !! Kya Rakha Hai Is Jannat Me
Main To Kabhi Kabhi Is Jannat Ke Khayal Se Bhi Darta Hun.
Thik Hai abd babu...

           aapko Mubaaraq Ho Jannat
           Muje Mile Nabi Ki Chukhat...!!!
                         
                          || Raza ||



Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: August 27, 2008, 11:11:17 AM »
Reply with quote
Celmira ji / Roja ji,

Aap key dil-o-zehn ki mahak sey mahkaa hoon;
Warnah dozakh ki hawaaoun mein chahaktaa hoon mein!

                               - abd bundeli



Bohot Khoob Abd Ji....!

Aap ka likja padh kar khushi hoti hai  icon_salut
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: August 27, 2008, 01:10:38 PM »
Reply with quote
Muhammed sa'b,
Aameen!

 Yeh yaar-ae-Muhammed ki lo'at hai bhaayee:
 Muhammed kaa mas'alah Muhammed hi jaaney!
 Naheen beech mein koyee aayegaa is key;
 Raheyngey hawaa mein hazaaroun fasaaney!!

                          - abd bundeli


Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: August 30, 2008, 03:05:45 AM »
Reply with quote
pata nahi muhammed jee aapko jannat se paroblem hain ya jannat banane wale khuda se problem hain baat jannat ya jahannam ki ho rahi thi aur apne jannat nabi se jod kar bina kisi wajah jannat ki itni beadbi kar di. meri har kisi se guzarish hain ke plz sher tak to theek hain par relegious matter ko is tarah discussion me na le. Aur abd jee aapne bilkul theek jawab diya the Muhammed ko unke ishare ka.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #12 on: September 01, 2008, 10:04:44 AM »
Reply with quote
Jee abd babu...

JIs din aapko reply denewala tha shayad Yoindia site highly Updation k liye process mein thi.aaj kuch waqt mila to hazeer ho liya aa k thread par

Muhammed k Mas'alah Ko Muhammed hi Jaane.,
"Pyaare Muhammed" ! ko Unka Rab Hi Jaane.,
Zahiri Surat-e-Bashri Mein To " Abd " Hai.,
"Abdhoo" ki Haqeeqat Ko Woh "Hoo" hi Jaane....!!!


Main apni baat to kuch is tarha samzaane ki chhotisi koshish karta hun

Abd “ =  k Mana To aap Jaante Hi Ho ki “ Banda”
“ Zahiri + Bashri “ = Bushra K Maane K Chehra Jo Zahir hi hota hai
Aub Kuch Lugvee va Sufi va shariyatee eithabar se
“ Abd “ wo He Jo Rabb Ka Intezaar Karta Hai……
“Abdhoo “ K Maane Ki Rabb Uska Intezaar Karta Hai..
“Abd “ Se Maraa’teeb Badhte Chale Gaye To Fir “ Abdhoo “ Taq Jaa Pahunche
“Abd “ Ko Milaya Hai Sufi Ki Zubaan Se “ hoo “ K Maane Par
“hoo “ ik Wird kahiye ya ik Sifatee I Think Ye Zaati Naam Pe Mashoor Hai
“hoo” Matlub ki “Khuda “ “Rab “  Sufi Hazraat “ Hoo “ Ka wird kiya krte hai
i.e  allaah hoo..allaah hoo. Haqq hoo aur  hoo hoo.
Aub Lugat-e-Firozee aur degar Lugat-e- Arabi Me “Hoo “
K Is huroof Me “H” ya Fir “He “ Kehte Hai Maana Ki Arabic Me Ye Hooruf “ Halaq “ Se Padhaa Jaayega
“ Halaq “ Ka Istemaal Arabic  Me “ Shah-e-Rag “ se bhi kareeb maano me liya gaya hai..
Aur Shah-e-Rag  ka Maana Hamesha “ Jaan “ K liye bhi kahe gaye hai 
Fir Abd  Banda Hai Who JIska Rab Intezaar Karta Hai Jo Jaan Se Jayda Bando K Nazdeeq Hai Jo Is Abdhoo yane KHaas banda “MUhammed “ K Zyada Jaan se kareeb Hai
Nahi Banda Zudah Nahi Khaliq Zudah
Abd = banda
Abdhoo= Khaas bandaa
Hoo= Khaliq

                   || RAZA ||

                 


 
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #13 on: September 01, 2008, 12:46:45 PM »
Reply with quote
Muhammed Sa'b!
Aap 'Arabian' aur 'Parsian' jubaanoun key khaasey taaleemyaaftaa shakhs hain! 'Quraan Pak' mainey, English / Hindi mein (Translated by westernized / enlightened Islaamic Authorities) padhee hai; par unkey nazariye, aur aapkey nazariye mein farq hai, choonki aap usey 'Khudaa Pak' kaa kalaam maantey hain, jis mein mujhey koyee uzra naheen hai, kyon ki, yeh aapkey 'faith' kaa mu'amlah hai! Ham bhi 'Vedoun ko' 'apourushheya' yaani 'vyakti' ki naheen, 'Brahma' ki 'rachnaa' maantey hain, yeh hamaarey 'faith' ka mu'amlah hai! Par, mein to, insaan key sabhi kalaamoun ko 'Brahma', yaa yoon kahiye 'Khuda', kaa hee kalaam maantaa hoon; choon ki,'Brahma, yaa Khudaa', aur us  ki har 'kruti' yaani taameer mein,  mein USEY hi, yaa us kee 'upasthiti' ko, mahsoos kartaa hoon! Aap 'khudaayee kalaam' ki har baat ko 'patthar ki lakeer' maantey hain, aur us mein koyee 'if or but' pasand naheen kartey; par, ham mein sey karorhoun, 'Ved' yaa 'Vedoun' ko 'Brahma ki kruti' naheen maantey; fir bhi ham  'Vaishnava, Shaivyaa yaa Shaakt' baney rahney 'heytu' poori tarah aazaad hain! Ham, Bhagwaan 'Krishna', 'Raam', 'Brahma' aadi devi/devtaaoun key tamaam un 'kaaryoun' ki khuley aam 'aalochnaa' kartey hain, jo, hamain 'uchit prateet' naheen hotey! Aap aisaa naheen kar saktey, na hi kisee ko aisaa karney dey saktey hain! Par, Science aur  Logic key is dahar mein, kayee Islaamic 'adhyetaa', ab, dabee jubaan sey hi sahee, tamaam mazhabee daastaanoun ko gour sey padhney/padhaaney lagey hain, aisaa mainey kabhi-kabhaar padhaa bhi hai!
'Abd' key ma'aanee, jo mujhey ma'aloom hain wah hain: ' INFINITE TIME; ETERNAL; INFINITY.
Mein 'Adab' aur 'Mazahab' mein 'ghaal-meil' naheen kartaa; choon ki, meyrey hisaab sey, 'Adab' dil-o-dimaag sey ta'alluq rakhtaa hai, jab ki, 'Mazhab' sirf dil sey (yaa yoon kahiye: 'Rooh sey')!
                                         - abd bundeli   
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #14 on: September 02, 2008, 07:36:15 AM »
Reply with quote
Jee abd babu...aap ne Jo Mana bataya "Abd" ka shayad bahut hi judah hai mujse

zyada waqt na loon aapka abd babu..
Kuch Ibarat-e-Arbi Likhta hun..Iske Taraajem va Tafaasir ho sake to dekh ligiyega ya Fir Koi Arabic lugat se dhoond ligiye ga
Mashoor-o-Ma'roof Kalemat Hai " va Ash'hadu ann'a Muhammedan Abdhoo va rasulohoo " aur " Subhan al lazi As'raa Be'abd hi Lay'lam..." [ surah : banei Israiel 15 parah : 1 ayat ] aur Infinite sirf Khuda hi Hai Jo wa-ahad-hoo Hai...Western auth. Tarajeem Mei scholars kuch arabic Huroof k Sahih Ma'no ki wajaahat se kassir Rahe Hai..i.e Allaah Ka Matlaub " GOD" [x DOG]nahi Hota..kuch ahl-e-Fiqh ne Apne saare Tarajeem Mei Western scholars ki 'GOD 'K Meaning Ko Lekar Radd-e-amal Kiya Hai usme Kuch ahl-e-Fiqh Misri va Philstini bhi shameel-e-Fehrist Hai.allaah Matlub allaah hi na' k GOD.
aur Shayad adab bhi Maine Shariyyat se sikha Hai
To Farq To Padega Aklo Demaag k Marateeb [ peshani:sajda ] bhi Maloom Hai aur Dil ki Rang-o-Sazi [ wajd ] Se bhi Ba-Khabar Hun 

Jee abd babu..aajkal Puraane Grantho ko va Maazi ke Ietihas ko syllabus me laya jaa raha hai lekin kuch baatein hai Jisko awaam k saamne laaya nahi gaya hai aur kuch wo hissa bhi kharij kardiya hai jo hona jaroori tha aur kuch aise bhi ki Transltion bhi galat ho raha hai aub................................... 


Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:22:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer