Kahe ankahe jazbaat ............!!!

by Talat on May 27, 2008, 06:52:45 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 8840 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #60 on: September 01, 2008, 08:47:29 PM »
Reply with quote

Khamoshiyan dard ki tarjumaan hain
Palken bhi khwaabon se veeran hain

Ashkon ka sailaab roke nahin rukta
Aankhain bhi khud se pashemaan hain

 Applause  Applause  Applause

+++++++++++
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~Kuch Khawab Ankahe se~~ by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
ahsaas ankahe pyar ka by Bikrol in Shayri for Khumar -e- Ishq
Bikhre Hue Jazbaat Kahe Aa Ja..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Ankahe Alfaaz... ...Asif faiz by asif faiz in Shairi - E - Zindagi
ankahe jazbaat by abhishek dayma in Share:Love Poetry
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #61 on: September 06, 2008, 11:58:40 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Applause Applause hello bahut achchhe!! Celmira ji!!

Ajeeb rang ka mausam chala hai kuchh din se!
Nazar pe Bojh hai aur dil Khafa hai kuchh din se!!

Woh aur tha jise tu jaanta tha barson se,
Main aur hoon jise tu mil raha hai Kuchh din se!

Ada hai, Shokhi hai, Jaadoo hai ya fareb koi,
Na jaane unki Nigaahon mein kya hai kuchh din se!

Ajal se tera Ta-arruf raha hai Husn-o-jamal,
Magar yeh dil mein jo hahshar barpa hai kuchh din se!

Shahar ka shahar Chala aata hai kashkol ba-dast,
suna hai deed ta dar waa hua hai kuchh din se!



(NM)
Logged
Talat
Guest
«Reply #62 on: September 20, 2008, 03:30:42 PM »
Reply with quote

Bohot khoob  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Talat
Guest
«Reply #63 on: September 20, 2008, 03:31:29 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Applause Applause hello bahut achchhe!! Celmira ji!!

Ajeeb rang ka mausam chala hai kuchh din se!
Nazar pe Bojh hai aur dil Khafa hai kuchh din se!!

Woh aur tha jise tu jaanta tha barson se,
Main aur hoon jise tu mil raha hai Kuchh din se!

Ada hai, Shokhi hai, Jaadoo hai ya fareb koi,
Na jaane unki Nigaahon mein kya hai kuchh din se!

Ajal se tera Ta-arruf raha hai Husn-o-jamal,
Magar yeh dil mein jo hahshar barpa hai kuchh din se!

Shahar ka shahar Chala aata hai kashkol ba-dast,
suna hai deed ta dar waa hua hai kuchh din se!



(NM)

Beautiful sharing Arunji Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #64 on: October 24, 2008, 03:00:34 PM »
Reply with quote
Applause  Applause  Applause

+++++++++++


Zakhmom main lipte hue dil-o-jaan hain
Aansuon main bheege hue kuch armaan hain

Sooni aankhain bolti hai, aur lab khamosh
Mohabbat main har dil pe guzri ye daastan hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #65 on: October 28, 2008, 04:31:24 AM »
Reply with quote
nice sharing AKS JI
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #66 on: November 16, 2008, 04:57:24 AM »
Reply with quote

Zakhmom main lipte hue dil-o-jaan hain
Aansuon main bheege hue kuch armaan hain

Sooni aankhain bolti hai, aur lab khamosh
Mohabbat main har dil pe guzri ye daastan hai


Zabardast jawab hai celmira ji..bohot khoob

++++++++++
Logged
Talat
Guest
«Reply #67 on: February 03, 2009, 02:16:51 PM »
Reply with quote
Shukriya Sayyid...aapne bhi bohot achcha likha hai...!!

Aansuon ke kitne rang, kya batayen tumhe
Haal-e-dil apna kaise ab sunaayen tumhe

Kabhi hum hanse hain, kabhi ro diye hain
Meherbaniyan ishq ki kya dikhaayen tumhe
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #68 on: February 03, 2009, 02:38:47 PM »
Reply with quote
Shukriya Sayyid...aapne bhi bohot achcha likha hai...!!

Aansuon ke kitne rang, kya batayen tumhe
Haal-e-dil apna kaise ab sunaayen tumhe

Kabhi hum hanse hain, kabhi ro diye hain
Meherbaniyan ishq ki kya dikhaayen tumhe


Bahoth bahoth qoob janab kya mahefil hai wah wah wah wah jawab ne shayaron ka is mahefil me !! hamare bas ke bahar mafil lagti hai janab !! allah ke kalamon ko miyari izzath de ameen !!

Qadeer Toopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #69 on: February 03, 2009, 05:50:21 PM »
Reply with quote
Shukriya Qadeer Ji...Aap bhi shaamil hote to is mehfil ki raunaq aur badh jati.
Logged
aaina
Guest
«Reply #70 on: February 14, 2009, 07:04:28 AM »
Reply with quote
Shukriya Sayyid...aapne bhi bohot achcha likha hai...!!

Aansuon ke kitne rang, kya batayen tumhe
Haal-e-dil apna kaise ab sunaayen tumhe

Kabhi hum hanse hain, kabhi ro diye hain
Meherbaniyan ishq ki kya dikhaayen tumhe


bhut khoob clemira ji...............apke in aasharo.n pe waseem barailvy sahab ke kuch aashaar yaad aa gaye

mohabbato.n ke dino ki yahi kharabi hai
ye rooth jayain to phir lot kar nhi aate

bisaat ek ishq mai padna kise nhi aata
ye aru baat ke bachne ge ghar nhi aate

jinhe saleeqa ho tehzeeb e gham samajhne ka
unhi ki aankhon mai aasnu nazar nhi aate
Logged
Talat
Guest
«Reply #71 on: February 15, 2009, 09:51:30 AM »
Reply with quote
bhut khoob clemira ji...............apke in aasharo.n pe waseem barailvy sahab ke kuch aashaar yaad aa gaye

mohabbato.n ke dino ki yahi kharabi hai
ye rooth jayain to phir lot kar nhi aate

bisaat ek ishq mai padna kise nhi aata
ye aru baat ke bachne ge ghar nhi aate

jinhe saleeqa ho tehzeeb e gham samajhne ka
unhi ki aankhon mai aasnu nazar nhi aate

Shukriya Aaina Ji.....Very nice sharing..bohot achche asha'ar hain ye..!!
Logged
aaina
Guest
«Reply #72 on: February 16, 2009, 12:57:47 PM »
Reply with quote
thnxxx celmira ji......................

jaati hai kisi jheel ki gehraaii kahan tak
aakhon mai teri doob ke daikhenge kisi din

khushboo se bhari shaam mai jugnoo ke qalam se
ek nazm tere waaste likhainge kisi din

soyenge terii aankh ki khalvat mai kisi raat
saaye mai terii zulf se jaagenge kisi din(poetry by amjad islaam amjad)
Logged
Talat
Guest
«Reply #73 on: February 24, 2009, 02:24:02 PM »
Reply with quote
Waah...Bohot hi Khoobsurat Sharing Hai, Aaina Ji
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #74 on: April 28, 2009, 01:02:06 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Celmira Ji
very nice
SARVESH RASTOGI
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 12:57:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.456 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer