kapDe badal badal kar

by zidd on September 15, 2010, 07:20:50 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4312 times)
zidd
Guest
Reply with quote
dosto ...aaj ek zara alag type ki ghazal sunata hu.. laughing4

iska inspiration tha aziz miyan ki gaayi qawaali
mareeze mahaabat unhi ka fasana sunata raha dum nikalte nikalte....
iska meter hai 122 122 122 122 122 122 122 122


safar hai muhabbat ka aasaan kitna,pahuch hi gaye hum tahalte tahalte
chalo aa gaye hum yaha tak sahi to,khayaalo me karwat badalte badalte


nighaahe jhuki unki jab ladkhadaaya,nazar jo uThi to hame hosh aaya
zamaana laga tha sambhalne me humko,ke phir ladkhadaaye sambhalte sambhalte


zaraa kah diya kya ke saj dhaj ke aana,padaa waar mera hi ulta hamipar
vo kahte hai choDo ye milna milana,thake hum to kapDe badalte badalte


kabhi to baraste hai aanko.n se shole,kabhi nazro.n se karte hai barfbari
na dekhaa karo mujko tum seedhe seedhe,kahi.n jam na jayen pigalte pighalte


unhe dekhkar khuun garma gaya hai,naqaab uTh'te fouran bukhar aa gaya hai
pakadnaa kabhi tum na meri kalai,uchal jayega khoon ubalte ubalte


[/color][/size]
[/color]
---------------------------------
aur ye sher ghazal se out...magar phir bhi suna deta hu
ghazal ke design se kuch jyada out hai sad11 Is it SO!

ajab baate.n karte hai vo bahki bahki,radeefo ka sar hai na paaoo beher ke
lagaate hai vo shayri ko bhi chuna,uTha laate hai qafiye bhalte bhalte laughing4

[/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
badal gaye...... by Namkeen in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tu Bhi Badal Falak by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
aap bhi jake badal lain main badal aya hoon... by Zamir Ka Qaidi in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Chehray badal badal ke mujhey mil rahay hain log by Satya.patel in Shayri for Khumar -e- Ishq
badal dya by nadia brohi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: September 15, 2010, 10:57:11 AM »
Reply with quote
bahut khoob.zidd ji.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower
azaz mian aapko bahut pasand hain .?
humen bhi unki kawwali bahut pasand hain. icon_flower
Logged
aaina
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2010, 03:58:34 PM »
Reply with quote
Zidd sahab khoob bhut khoob kya pakaD hai janaab waah......mubarak ho ek achi takhleeq ke liyN daad qubool keejiye



aslam
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: September 16, 2010, 05:38:52 AM »
Reply with quote
mast likha hai zidd ji aapne..halke fulke tarike se mast likha hai aapne.....
Logged
zidd
Guest
«Reply #4 on: September 16, 2010, 06:33:19 AM »
Reply with quote
bahut khoob.zidd ji.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower
azaz mian aapko bahut pasand hain .?
humen bhi unki kawwali bahut pasand hain. icon_flower

shukriya suresh ji.....halke andaaz me kahi thi ye ghazal cum qawaali....
thanks for ur time

regards
Logged
zidd
Guest
«Reply #5 on: September 16, 2010, 06:37:41 AM »
Reply with quote
Zidd sahab khoob bhut khoob kya pakaD hai janaab waah......mubarak ho ek achi takhleeq ke liyN daad qubool keejiye



aslam

jee aslam sahab.....pakaD wakai mazboot hai kisiki.hahahhaahh
aapki daad sar ankho par sahab
milte rahiye...

agar ye reply aap paden to ye zarur bataiyega ki kaun kaun sa sher jyada accha laga...

regards
Logged
zidd
Guest
«Reply #6 on: September 16, 2010, 06:39:52 AM »
Reply with quote
mast likha hai zidd ji aapne..halke fulke tarike se mast likha hai aapne.....


thanks alot kasak saahibaa...
koshish yahi thi ke ehbaab ke lab par smile aaye ....kuch soche nahi koi...

once again thanks....kabhi kabhi aisi ghazal ban jaati hai....is andaaz me

regards
Logged
cara
Guest
«Reply #7 on: September 16, 2010, 07:27:06 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI       ZIDD JI......

NA MARO TEER NAZRON KA YUN CHALTE CHALTE
RAHA NAHIN JAATA HAMSE MACHALTE MACHALTE
PASINA PASINA HOJATE HAIN PIGALTE PIGALTE
THAKK JAATE HAIN KAPDE BADALTE BADALTE...
Logged
zidd
Guest
«Reply #8 on: September 16, 2010, 03:15:13 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI       ZIDD JI......

NA MARO TEER NAZRON KA YUN CHALTE CHALTE
RAHA NAHIN JAATA HAMSE MACHALTE MACHALTE
PASINA PASINA HOJATE HAIN PIGALTE PIGALTE
THAKK JAATE HAIN KAPDE BADALTE BADALTE...


thanks cara sahab...
hausla afzaii ke liye shukriya
milte rahiye

regards
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: September 16, 2010, 03:41:00 PM »
Reply with quote
Zidd Sahab Aadaab!

Kia baat hai janab ...... bazm ko lut liya aapne bahut umdaa gazal se nawaza hai daad daad hazaroN daad.... kafi ronamtic se khayaal hai dil ko lag gaye.......

Likhate rahiye.....
Khush rahiye........
Aate rahiye.......
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: September 17, 2010, 10:17:17 AM »
Reply with quote
Mohtaram Zidd Saheb ! Aadaab !

Main is ghazl ki kin alfaazon mein taareef karooN, samajh meiN nahiN aa rah hai, lafz kam paR rahe haiN janab. Is ghazl mein jo rawaani aur chaashni hai who kamaal ki hai. Aisi nadir-o-naayaab takhleeque bahut kam paRhne ko milti hai. Ghazal ke judaagaana andaaz ne kaafi mutaccir kiya aur is ghazal ki apni infradiyat ke elaawah jo ramziat hai uske bayaan mein main ye kahunga ki ghazal ko paRhkar aik khaas qism ka lateef ehsaas dil meiN jaaNguzeeN ho jaata hai aur bahut der tak ashaaroN ke sahr se nikalna mumkin nahiN hota hai. Mohtaram is sehrangez ghazal ke liye aap mubaarakbaad ke mustahaq hain aur saath hi saath meri jaanib se hazaaron daad qubul kijiye.

(Waquif Ansari)


dosto ...aaj ek zara alag type ki ghazal sunata hu.. laughing4

iska inspiration tha aziz miyan ki gaayi qawaali
mareeze mahaabat unhi ka fasana sunata raha dum nikalte nikalte....
iska meter hai 122 122 122 122 122 122 122 122


safar hai muhabbat ka aasaan kitna,pahuch hi gaye hum tahalte tahalte
chalo aa gaye hum yaha tak sahi to,khayaalo me karwat badalte badalte


nighaahe jhuki unki jab ladkhadaaya,nazar jo uThi to hame hosh aaya
zamaana laga tha sambhalne me humko,ke phir ladkhadaaye sambhalte sambhalte


zaraa kah diya kya ke saj dhaj ke aana,padaa waar mera hi ulta hamipar
vo kahte hai choDo ye milna milana,thake hum to kapDe badalte badalte


kabhi to baraste hai aanko.n se shole,kabhi nazro.n se karte hai barfbari
na dekhaa karo mujko tum seedhe seedhe,kahi.n jam na jayen pigalte pighalte


unhe dekhkar khuun garma gaya hai,naqaab uTh'te fouran bukhar aa gaya hai
pakadnaa kabhi tum na meri kalai,uchal jayega khoon ubalte ubalte


[/color][/size]
[/color]
---------------------------------
aur ye sher ghazal se out...magar phir bhi suna deta hu
ghazal ke design se kuch jyada out hai sad11 Is it SO!

ajab baate.n karte hai vo bahki bahki,radeefo ka sar hai na paaoo beher ke
lagaate hai vo shayri ko bhi chuna,uTha laate hai qafiye bhalte bhalte laughing4

[/b]
Logged
zidd
Guest
«Reply #11 on: September 18, 2010, 06:26:51 AM »
Reply with quote
Zidd Sahab Aadaab!

Kia baat hai janab ...... bazm ko lut liya aapne bahut umdaa gazal se nawaza hai daad daad hazaroN daad.... kafi ronamtic se khayaal hai dil ko lag gaye.......

Likhate rahiye.....
Khush rahiye........
Aate rahiye.......
Khuda Hafez..... Usual Smile         



parwaaz sahab aadaab....

mujhe pta tha apko meri koi ghazal acchi lage na lage ye zarur pasand ayegi....hahahhahahah

akhir idea to apse hi ayaa hai kapde badalne ka...yaad hai na?
salwar ka sleeve bada ya chato...bada...phir aur chota  phir aur chota Huh? and and and.....hahahhah

ghazal ko pasand karne ka shukriya....

milte rahiye....

regards

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #12 on: September 18, 2010, 06:55:56 AM »
Reply with quote
dosto ...aaj ek zara alag type ki ghazal sunata hu.. laughing4

iska inspiration tha aziz miyan ki gaayi qawaali
mareeze mahaabat unhi ka fasana sunata raha dum nikalte nikalte....
iska meter hai 122 122 122 122 122 122 122 122


safar hai muhabbat ka aasaan kitna,pahuch hi gaye hum tahalte tahalte
chalo aa gaye hum yaha tak sahi to,khayaalo me karwat badalte badalte


nighaahe jhuki unki jab ladkhadaaya,nazar jo uThi to hame hosh aaya
zamaana laga tha sambhalne me humko,ke phir ladkhadaaye sambhalte sambhalte


zaraa kah diya kya ke saj dhaj ke aana,padaa waar mera hi ulta hamipar
vo kahte hai choDo ye milna milana,thake hum to kapDe badalte badalte


kabhi to baraste hai aanko.n se shole,kabhi nazro.n se karte hai barfbari
na dekhaa karo mujko tum seedhe seedhe,kahi.n jam na jayen pigalte pighalte


unhe dekhkar khuun garma gaya hai,naqaab uTh'te fouran bukhar aa gaya hai
pakadnaa kabhi tum na meri kalai,uchal jayega khoon ubalte ubalte


[/color][/size]
[/color]
---------------------------------
aur ye sher ghazal se out...magar phir bhi suna deta hu
ghazal ke design se kuch jyada out hai sad11 Is it SO!

ajab baate.n karte hai vo bahki bahki,radeefo ka sar hai na paaoo beher ke
lagaate hai vo shayri ko bhi chuna,uTha laate hai qafiye bhalte bhalte laughing4

[/b]

Zidd Sahab .. is ghazal ko jitni baar bhi padhtaa hoon... Waha waha hi nikalta hai... main isse aapki aur likhi umdaa ghazal me sabse upar maanta hoon... Very Impressive Creation...SuperB Creation.... tahe dil se daad hazir hai ...qubuul farmayeN...

aise hi behtar kalaam ke saath humeshaa aate rahen... Bazm ki raunak badhaate rahen....khush rahen...

duaaon ke saath...

 
 
Logged
zidd
Guest
«Reply #13 on: September 18, 2010, 07:37:22 AM »
Reply with quote
Mohtaram Zidd Saheb ! Aadaab !

aadaab ansaari sahab..

Main is ghazl ki kin alfaazon mein taareef karooN, samajh meiN nahiN aa rah hai, lafz kam paR rahe haiN janab.

tareef ke liye behad shukrguzaar hu.........mujhe bhi samjh nahi aa raga hai kin lafzo me shukriya adaa karu

 Is ghazl mein jo rawaani aur chaashni hai who kamaal ki hai.

itni bariki koi ala ilm ka malik hi dekh sakta hai....wakai is ghazal ke last sher ne jaan nikal di...pahle 4 sher to turunt ho gaye ,adaa karne se last wale ke liye taktee ka sahara lena pada....last sher ko convincigly bandhne me jaan nikli hai poora adha ghante....phir 3-4 peg lagaye..jab jakar us sherka  bhonda pana nikla (mere khayaal se)....
haye...rana sahab ne sahi kaha hai...

hamne lafz baratne me lahuu thuk diya
aap to sirf ye dekhnge ghazal kaisi hai....hahahahha


 Aisi nadir-o-naayaab takhleeque bahut kam paRhne ko milti hai. Ghazal ke judaagaana andaaz ne kaafi mutaccir kiya aur is ghazal ki apni infradiyat ke elaawah jo ramziat hai uske bayaan mein main ye kahunga ki ghazal ko paRhkar aik khaas qism ka lateef ehsaas dil meiN jaaNguzeeN ho jaata hai aur bahut der tak ashaaroN ke sahr se nikalna mumkin nahiN hota hai. Mohtaram is sehrangez ghazal ke liye aap mubaarakbaad ke mustahaq hain aur saath hi saath meri jaanib se hazaaron daad qubul kijiye.

apki daad sar ankho par sahab....
koi ye sab bat samjh len to shayar ka dil phula nahi samata...
aapne jo tohfa diya hai aaj beshkeemti hai...
mere liye medal ke samaan hai...jaise param vir chakra jeet liya ho...
apka teh e dil se shukriya

(Waquif Ansari)

regards
zidd
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #14 on: September 18, 2010, 08:17:07 AM »
Reply with quote
Well main to bas wahi repeat karuga jo Waquif saheb ne kaha hai.................waise Zidd saheb isse behatar daad chahiye to tabla aur harmonium ka intezaam karna hoga yeh Qawwali aapko ga kar sunata..........tab sahi mayno me aapko pata chalta aapne kya oocha karnama anjaam diya hai....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:23:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.172 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer