Khaab-e-Zulekha (by vb)

by vb on November 07, 2013, 09:26:58 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3065 times)
vb
Guest
Reply with quote



Us ki khata thi koi na mera qasoor tha
RaahoN men raahiyoN ne bicharna zaroor tha

Mujhko junoon-e-aashqi pay naaz tha buhat
Wo bhe tha husn-e-taam usay bhe gharoor tha

Shola nigaah, rukh pe dhuli chandni ka aks
Soorat say aaftaab, badan maah-noor thaa

HontoN ki silvatoN men muzmahil thay do-jahaaN
Lab haayay asl-e-khuld-o-badan misl-e-hoor tha

Aariz pay us k til, mataa-e-husn k liyay
Jaisay koi darbaan wahan maamoor tha

Meray lahoo main ghul sa gaya tha wo ake shakhs
Seenay main dharakta tha nigaahon say door tha

Moosa nahi tha main, na taab-e-deed pashemaN
Na wo Khuda tha, na ye jigar Koh-e-Toor tha

Dushvaar raah dekh k yaad aa gaya wo shakhs
Wo tha tu zindagi ka safar pur-saroor tha

Likhta tha meray haath say wo ake ake lafz
Meri sukhan-gari pay usi ko aboor tha

Kuch dushmanoN ki bhe tu nazar lag gai hameN
Kuch chaahnay walon k bhe dil men fatoor tha

Us ki bhe manziloN ka sahaara tha qaafila
Main bhe thaka huva tha badan choor choor tha

Kaisay bawaqt-e-hijr usay roktay ye lab
Us shakhs ka jo faisla tha, manzoor thaa

Kya aur kareN tum say zikr-e-khaab-e-Zulekha
Yusuf tha waqt ka wo shakhs, majboor tha


*-------------------------*


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
khayaal-o-khaab ki duniya mai.n saath chalte hoo by khalidrawat in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
RAAT KE KHAAB(poet taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
Mujhy ek khaab likhna hai by Dr Maqsood Hasni in Shairi - E - Zindagi
~.. khaab ki tabeer hone se rahi by janumanu in Ghazals
ख़ाब /Khaab.............................SAINI by sksaini4 in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: November 07, 2013, 09:31:36 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: November 07, 2013, 09:36:38 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah bahut hi khoob janaab, ye ash'aar bahut pasand aaye:

Us ki khata thi koi na mera qasoor tha
RaahoN men raahiyoN ne bicharna zaroor tha

Shola nigaah, rukh pe dhuli chandni ka aks
Soorat say aaftaab, badan maah-noor thaa

HontoN ki silvatoN men muzmahil thay do-jahaaN
Lab haayay asl-e-khuld-o-badan misl-e-hoor tha

Meray lahoo main ghul sa gaya tha wo ake shakhs
Seenay main dharakta tha nigaahon say door tha


Lekin baad meN behr toot gai.
Logged
Saman Firdaus
Guest
«Reply #3 on: November 07, 2013, 09:38:18 PM »
Reply with quote
Veryy niceee..
Logged
vb
Guest
«Reply #4 on: November 07, 2013, 09:41:19 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob

shukriya aap ka...
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: November 07, 2013, 09:45:15 PM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah bahut hi khoob janaab, ye ash'aar bahut pasand aaye:

Us ki khata thi koi na mera qasoor tha
RaahoN men raahiyoN ne bicharna zaroor tha

Shola nigaah, rukh pe dhuli chandni ka aks
Soorat say aaftaab, badan maah-noor thaa

HontoN ki silvatoN men muzmahil thay do-jahaaN
Lab haayay asl-e-khuld-o-badan misl-e-hoor tha

Meray lahoo main ghul sa gaya tha wo ake shakhs
Seenay main dharakta tha nigaahon say door tha


Lekin baad meN behr toot gai.

shukriya aap ka Iftakhar Ahmad sahab!

aap ne kaha k beher toot gai tu yaqeenan toot gai ho ge... hum waqe'atan ramooz haayay-sukhan-gari wa ilm-e-arooz say naa-balad hen.... aisay he agar hamaari tas'hee hoti rahi tu may be hum bhi kuchh behtar likh saken...
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: November 07, 2013, 09:53:01 PM »
Reply with quote
Veryy niceee..

thanx... :]
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: November 07, 2013, 10:06:54 PM »
Reply with quote
Us ki khata thi koi na mera qasoor tha
RaahoN men raahiyoN ne bicharna zaroor tha

Mujhko junoon-e-aashqi pay naaz tha buhat
Wo bhe tha husn-e-taam usay bhe gharoor tha

Shola nigaah, rukh pe dhuli chandni ka aks
Soorat say aaftaab, badan maah-noor thaa

HontoN ki silvatoN men muzmahil thay do-jahaaN
Lab haayay asl-e-khuld-o-badan misl-e-hoor tha

Aariz pay us k til, mataa-e-husn k liyay
Jaisay koi darbaan wahan maamoor tha

Meray lahoo main ghul sa gaya tha wo ake shakhs
Seenay main dharakta tha nigaahon say door tha

Moosa nahi tha main, na taab-e-deed pashemaN
Na wo Khuda tha, na ye jigar Koh-e-Toor tha

Dushvaar raah dekh k yaad aa gaya wo shakhs
Wo tha tu zindagi ka safar pur-saroor tha

Likhta tha meray haath say wo ake ake lafz
Meri sukhan-gari pay usi ko aboor tha

Kuch dushmanoN ki bhe tu nazar lag gai hameN
Kuch chaahnay walon k bhe dil men fatoor tha Applause Applause wah wah wah VB jee

Us ki bhe manziloN ka sahaara tha qaafila
Main bhe thaka huva tha badan choor choor tha

Bahut badhiya VB jee
Logged
sidra04
Guest
«Reply #8 on: November 07, 2013, 10:38:28 PM »
Reply with quote
Kya aur kareN tum say zikr-e-khaab-e-Zulekha
Yusuf tha waqt ka wo shakhs, majboor tha


bahot acchii peshkash hai.. waaahhhh


 Applause Applause Applause Applause
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #9 on: November 07, 2013, 10:44:39 PM »
Reply with quote
bas alfaaz nahi tareef ke liye, bemisaal lagi hamen aapki peshkash...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: November 07, 2013, 10:48:23 PM »
Reply with quote
Behad khubsurat ghazal hai . kya kya mazmoon nazm kar diye . waah waah . Qafiyon aur bahr mein chook ke bawujood yeh eik qabil e fakhr takhleeq hai . Yaqeenan ramooz ke dayere mein aa jaaye to eik shaahkaar hai ye ghazal .vb saheb aapko bahut mubarakbaad aur dheron daad.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #11 on: November 08, 2013, 03:06:05 AM »
Reply with quote
Laajawaab !!!!!! Baakamaal!!!! Pur-fusoon!!!!

 Is beintehaayee khoobsurat ghazal par sad-hazaar-laakh daad aap ko VB ji ....behr ka zikr ho chuka hai jo ki ek waajib baat hai ... par in aashaar ka takhayyul aisa karishmaatee hai ki padhnewaalaa usmein kho sa jaata hai !

Ek baar phir aap ko dher saaree daad

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
vb
Guest
«Reply #12 on: November 08, 2013, 02:12:25 PM »
Reply with quote
Us ki khata thi koi na mera qasoor tha
RaahoN men raahiyoN ne bicharna zaroor tha

Mujhko junoon-e-aashqi pay naaz tha buhat
Wo bhe tha husn-e-taam usay bhe gharoor tha

Shola nigaah, rukh pe dhuli chandni ka aks
Soorat say aaftaab, badan maah-noor thaa

HontoN ki silvatoN men muzmahil thay do-jahaaN
Lab haayay asl-e-khuld-o-badan misl-e-hoor tha

Aariz pay us k til, mataa-e-husn k liyay
Jaisay koi darbaan wahan maamoor tha

Meray lahoo main ghul sa gaya tha wo ake shakhs
Seenay main dharakta tha nigaahon say door tha

Moosa nahi tha main, na taab-e-deed pashemaN
Na wo Khuda tha, na ye jigar Koh-e-Toor tha

Dushvaar raah dekh k yaad aa gaya wo shakhs
Wo tha tu zindagi ka safar pur-saroor tha

Likhta tha meray haath say wo ake ake lafz
Meri sukhan-gari pay usi ko aboor tha

Kuch dushmanoN ki bhe tu nazar lag gai hameN
Kuch chaahnay walon k bhe dil men fatoor tha Applause Applause wah wah wah VB jee

Us ki bhe manziloN ka sahaara tha qaafila
Main bhe thaka huva tha badan choor choor tha

Bahut badhiya VB jee


mkv jee... buhat shukriya aap ka..
Logged
vb
Guest
«Reply #13 on: November 08, 2013, 02:14:16 PM »
Reply with quote
Kya aur kareN tum say zikr-e-khaab-e-Zulekha
Yusuf tha waqt ka wo shakhs, majboor tha


bahot acchii peshkash hai.. waaahhhh


 Applause Applause Applause Applause

shukriya aap ka sidra04 jee! k is khasta haal beher k qaabil-e-aetraz sher ki bhe taareef farma gaeen aap...
Logged
vb
Guest
«Reply #14 on: November 08, 2013, 02:15:00 PM »
Reply with quote
bas alfaaz nahi tareef ke liye, bemisaal lagi hamen aapki peshkash...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

shukriya Iqtedar jee aap ki hosla afzaai ka..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:41:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer