KhezaaN se pahle mitaa di bahaar ki soorat...Sadiq Rizvi

by Sadiq Rizvi on January 21, 2012, 12:19:39 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1257 times)
Sadiq Rizvi
Guest
Reply with quote
Parwaaz saheb aap ke hukm ke bamojib Roman meiN Ghazal haazir hai

Yahi hai kaifiyatey rozgaar ki soorat
Ke paidaa ho na koi khalfeshar ki soorat

Zamane waaloN ne loota hai haathoN hath mujhe
KhezaaN se pahle mitaa di bahaar ki soorat

Naqaab usne uthayaa na aankheiN chaar hoiN
Magar basi hai nigahoN maiN yaar ki soorat

Woh husn kitna hai pakeezah jo gunaah lagey
Zaraa bhi socheiN jo boso-kanaar ki soorat

Lahoo to dil ka bahut ho ke bah gayaa pani  
Magar na ashk girey aabshaar ki soorat

Wo Ishq Ishq nahiN hai hawus ka pardah hai
Agar na usmeiN ho koi weqaar ki soorat

Her aik chehrey pe 'Sadiq' hai doosra chehra
Ghuroor ko hai pasand inkesaar ki soorat
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #1 on: January 21, 2012, 05:54:13 PM »
Reply with quote
Ghazal hai janab sirf aur sirf Ghazal hai........Ghazal ke siwa kuch bhi nahi.....har sher motiyo ki tarah chamak raha hai.....yeh Yoindia ki khushkismati hai ke aisi Ghazal kehne wala shayer Yoindia ka hissa hai.......mujh haqeer ki taraf se mubarakbaad kabool kare is shaandaar Ghazal ke liye.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: January 21, 2012, 06:59:24 PM »
Reply with quote
waah Sadik sahab--
iss behtareen Ghazal ke lie aapko hazaaron daad
ye ghazal behad anmol h--

aapka sukriya ki aapne apni ye ghazal yhan post ki
be happy always
Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: January 22, 2012, 07:06:22 AM »
Reply with quote
rizvi sahab aadaab o salaam ! 

janab is haqeer ki baat ko hukm kahkar sharminda na kijiye...
dar asal hum abhi apne ghar se beghar haih so computor se login nahi kar pate hai... aur is pyaari site se bhi nahi rah sakte.. so mobile se online aa rahe hai..Usual Smile

aapka bahut bahut sukriya jo aapne is khub o umdaa kalaam ko roman me pesh kiya..

waqai gazab ke ashaaron se sajaya hai aapne gazal ko ..
sabhi ashaaron par dili daad o mubarakbad kabul kijiye..

likhate rahiye mehfil sajate rahiye..
khush o aabad rahiye..
khuda hafez...
Logged
usha rajesh
Guest
«Reply #4 on: January 22, 2012, 03:41:09 PM »
Reply with quote
Bahut sundar gazal kahi hai Sadiq Saheb. Daad hazir hai
 Applause Applause Applause Applause
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: February 22, 2012, 08:44:41 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb aap ke hukm ke bamojib Roman meiN Ghazal haazir hai

Yahi hai kaifiyatey rozgaar ki soorat
Ke paidaa ho na koi khalfeshar ki soorat

Zamane waaloN ne loota hai haathoN hath mujhe
KhezaaN se pahle mitaa di bahaar ki soorat

Naqaab usne uthayaa na aankheiN chaar hoiN
Magar basi hai nigahoN maiN yaar ki soorat

Woh husn kitna hai pakeezah jo gunaah lagey
Zaraa bhi socheiN jo boso-kanaar ki soorat

Lahoo to dil ka bahut ho ke bah gayaa pani 
Magar na ashk girey aabshaar ki soorat

Wo Ishq Ishq nahiN hai hawus ka pardah hai
Agar na usmeiN ho koi weqaar ki soorat

Her aik chehrey pe 'Sadiq' hai doosra chehra
Ghuroor ko hai pasand inkesaar ki soorat








VERI NAAAAAAAAAAAAAICE SR

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 04:11:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer