KHOOBSURAT HAI , KHOOB SEERAT HAI .................HASAN

by F.H.SIDDIQUI on November 24, 2012, 07:37:30 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 4449 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #30 on: November 28, 2012, 10:35:50 AM »
Reply with quote
Qais saheb , bahut shukriya .
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Seerat~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
Hamari Seerat,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Meri seerat mange.....( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Shishe si saaf apni seerat hai.........mann by mann.mann in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
DASTAAN-E-DIL KE UNWAAN KHOOB HAIN ......................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #31 on: November 30, 2012, 09:40:16 AM »
Reply with quote
Mahutram FH Siddiuee Saheb ....Aadab

Apki ghazal ne dil loot liya ...har sher me juda mazmoon hai juda qasidarkari ek ek sher makhtaba-e-fikr ki hasiyat rakhta hai ....kissi ik sher intekhaab karna mushkil ho chala hai ghazal sar sa pa aapni misaal aap hai ghazal me duniya jahan ke mauzu ko ek jaa kiya giya hai is lihaz se apki ye ghazal dad o taheen ki mahutaj nahi balke salame aqeedat ki mustaheq hai ....Ghazal hai ke ankhon ke raaste dil ki zameen per apne wajood tukhm rezi kar rahi hai .....Salam apki karigari ko ...Wah Wah........Matle ke mutaliq bus itna arz karna hai ke lafz wahm ghalat jaga pe baith giya hai usko aap lafz hai se pahele bitha den uski sahi jagah wahi hai ....agar aap ko maujoda suraat me koi ayeb nazar nahi aata to meri rahenumai farmaye'n aur mazeed sikhne ka mauqa inayat farmaye'n ....Ek baar phir is pur maghaz ghazal pe beshumaar dad o mubarakbaad qubool kare'n ...Allah apko duniya jahan ki barkaton se malamal kare...

Khair andesh

Qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #32 on: November 30, 2012, 02:30:59 PM »

Qadeersaheb,AOA.Bahut achha laga arse baad aapko Yoindia Shayariadab per dekh kar .Aapne ghazal pe waqt diya iske liye shukriya.Aapka aitraz aur salaah bilkul durust hai aur main bakhushi matle ko tabdeel kar ke 'Wahm hai ya koi haqeeqat hai '..kar raha hoon.Main Urdu ke aksar alfaaz ke talaffuz aur istemaal se waqif hoon .Lekin main ,shayed apni kam ilmi hi ki wajah se,is baat se convince nahi ho paata ki kuchh deegar alfaaz ki tarah jin mein chhoti / badi awaazon ki bahr ki munasibat se tabdili jaiz hai wahm , shahr , zahr etc. ko zaroorat ke mutabiq biltarteeb waham , zahar , shaher ki tarah kyun nahi istemaal kiya ja sakta hai jub ki aksar urdudaan hazraat bhi in alfaz ko aise hi bolte hain.Aapka sahi mashwire aur hausla afzai ke liye shukriya.

Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #33 on: December 01, 2012, 02:41:54 AM »
Reply with quote

waah bahut khoobsurat. Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #34 on: December 01, 2012, 04:08:14 PM »
Reply with quote
waah bahut khoobsurat. Applause Applause
Deepakji , Bahut  shukriya . kahaan rahe itne dinon ? dua karta hoon aap khairyat se hon.
Logged
shara63
Guest
«Reply #35 on: December 13, 2012, 07:37:20 AM »
Reply with quote
Ye qattaie waham nahi, haqeeqat hai
har kisi ko aap hee se muhabbat hai
iss mahfil ki shaan-o-izzat haiN aap
baakhuda, mere qaul me sadaaqat hai!!

sar-e-tasleem-e-kham janab Hasan sb,    wallah..kya Khoob lubhawni ghazal hai..dheroN dher daad-o-mubaarakbaad!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #36 on: December 13, 2012, 10:00:02 AM »
Reply with quote
Ye qattaie waham nahi, haqeeqat hai
har kisi ko aap hee se muhabbat hai
iss mahfil ki shaan-o-izzat haiN aap
baakhuda, mere qaul me sadaaqat hai!!

sar-e-tasleem-e-kham janab Hasan sb,    wallah..kya Khoob lubhawni ghazal hai..dheroN dher daad-o-mubaarakbaad!
sar e tasleem ( ghalti se ) okhli  mein   de  chuka hoon .
Ab jo bhi  mizaaj e yaar mein  aaye ....
 
'Tanz  ke teer  bhi  gawaara  hain ,
Haasil e Zakhm  gar  shahadat  hai'

Ghazal padhne ke liye bahut shukriya.
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003

View Profile
«Reply #37 on: December 28, 2012, 09:25:52 AM »
Reply with quote
Congratulations,

Your work has been featured in Dec-2012 Yoindia Shayariadab newsletter.

You can visit link given above to get more information about it.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #38 on: February 06, 2014, 03:58:47 PM »
Reply with quote
Congratulations,

Your work has been featured in Dec-2012 Yoindia Shayariadab newsletter.

You can visit link given above to get more information about it.
Belated though , Thanks a lot.
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:30:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer