Khoon mazloom ka her daur me baha kyon hai

by Syed Mohd Mahzar on December 24, 2012, 12:57:13 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3332 times)
Syed Mohd Mahzar
Guest
Reply with quote
Tumhare ghar me, yeh shoor sa macha kyon hai
koi taqreeb nahi hay, to ghar saja kyon hai.

marne wale ka jab, koi bhi nahi tha waris
lahad pa uski yeh chiragh, eyk jala kyon hai

aaloda dahar ki fiza na ho, iska hay jawab
woh samunder,kahi'n dasht,yeh sahra kyon hai

fasley barh gaye itne, ki simatna hay mohaal
bichar ke mujhse, bahut dour woh gaya kyon hai

anjaam hay wahi marna, yeh janta hay bashar
maut ke khauf se, ta umr yeh dara kyon hay

khilaaf e zulm sadayein huein buland magar
khoon mazloom ka her daur me baha kyon hai

hay yaqee'n jab, ki nahi koi aane wala hay
ho gayi raat, ab darwaza yeh khula kyon hai

kashish zameen ki, tahqeeq ka sabab yeh bana
peyr se phal, su e zameen hi gira kyon hai
 
              .........S.M.Mahzar
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Baha main by lovely_amez in Shayri for Khumar -e- Ishq
ek aansu baha by NABROY in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Khoon hee khoon hai insaan kaa har taraf, deykho! by abdbundeli in Shayri-E-Dard
Aaj ke is daur mein aye dost yeh manzar kyon hai! by Deepati in Shairi - E - Zindagi
Mat baha ashq.... Raaj by Sunil Malhotra in Shayeri for Dard -e- Bewafai
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2012, 01:07:39 PM »
Reply with quote
Tumhare ghar me, yeh shoor sa macha kyon hai
koi taqreeb nahi hay, to ghar saja kyon hai.

marne wale ka jab, koi bhi nahi tha waris
lahad pa uski yeh chiragh, eyk jala kyon hai

aaloda dahar ki fiza na ho, iska hay jawab
woh samunder,kahi'n dasht,yeh sahra kyon hai

fasley barh gaye itne, ki simatna hay mohaal
bichar ke mujhse, bahut dour woh gaya kyon hai

anjaam hay wahi marna, yeh janta hay bashar
maut ke khauf se, ta umr yeh dara kyon hay

khilaaf e zulm sadayein huein buland magar
khoon mazloom ka her daur me baha kyon hai

hay yaqee'n jab, ki nahi koi aane wala hay
ho gayi raat, ab darwaza yeh khula kyon hai

kashish zameen ki, tahqeeq ka sabab yeh bana
peyr se phal, su e zameen hi gira kyon hai
 
              .........S.M.Mahzar


gr888888888888888888888888888,sir
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: December 24, 2012, 01:24:55 PM »
Reply with quote
Mazhar Sahaab Aadaab!



Bahut khoob janab badi hi achchi kalaam kahi hai aapne...
Behad khoob ashaar rahe... aur khoobusrat adaygi rahi..

Is umdaa kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad
kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Saraab
Guest
«Reply #3 on: December 24, 2012, 01:31:19 PM »
Reply with quote
nice creation
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: December 24, 2012, 01:42:19 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
mkv
Guest
«Reply #5 on: December 24, 2012, 02:48:51 PM »
Reply with quote
Tumhare ghar me, yeh shoor sa macha kyon hai
koi taqreeb nahi hay, to ghar saja kyon hai.

marne wale ka jab, koi bhi nahi tha waris
lahad pa uski yeh chiragh, eyk jala kyon hai

hay yaqee'n jab, ki nahi koi aane wala hay
ho gayi raat, ab darwaza yeh khula kyon hai

ye ashaar behad bhaaye mujhe..

poori ghazal par purzor daad aur mubarakbaad qubool kareN

likhte rahiye

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: December 24, 2012, 03:12:38 PM »
Reply with quote
Bahut khoob , Mazhar saheb . Bahut bahut mubarak ho.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: December 24, 2012, 03:17:45 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
very nice
Logged
Aarish
Guest
«Reply #8 on: December 25, 2012, 12:46:47 AM »
Reply with quote
wah wah wah wah kya umda ghazal kahi hai mahzar saheb, jitni taareef ki jaye kam hai; sabhi ashaar lajwab rahe, aur matalaa to kamaal raha mubarakbaaad qubool kareN
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #9 on: December 25, 2012, 06:40:43 AM »
Reply with quote

gr888888888888888888888888888,sir
Many many Thanks.................
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #10 on: December 25, 2012, 06:44:08 AM »
Reply with quote
Mazhar Sahaab Aadaab!



Bahut khoob janab badi hi achchi kalaam kahi hai aapne...
Behad khoob ashaar rahe... aur khoobusrat adaygi rahi..

Is umdaa kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad
kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Parwaz saheb,
        Aapka shukrguzar oon ki aapko kalaam pasand aaya, hausla afzai ka mamnoon hoon.
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #11 on: December 25, 2012, 06:46:40 AM »
Reply with quote
wah wah wah wah kya umda ghazal kahi hai mahzar saheb, jitni taareef ki jaye kam hai; sabhi ashaar lajwab rahe, aur matalaa to kamaal raha mubarakbaaad qubool kareN
Aarish saheb,
 kalam itna achaa nahi tha jitni aapne tareef ki, hausla afzai ka bahut bahut shukriya.
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #12 on: December 25, 2012, 06:48:16 AM »
Reply with quote
nice creation
many thanks......
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #13 on: December 25, 2012, 06:49:55 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
very nice
aqsh saheb, shukriya......................
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #14 on: December 25, 2012, 06:52:15 AM »
Reply with quote
Bahut khoob , Mazhar saheb . Bahut bahut mubarak ho.
F.H.Siddiqi saheb, tareef aur mubarakbad ka shukrguzar hoon.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:06:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer