Khuda Sunta Hai Fariyaad Uss Shaks Ki....

by khwaish on July 26, 2009, 11:01:41 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3385 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Kuch Yuh Gardish-e-Halaat Se Maat Kha Raha Tha,
Ke Sar Par Ab Aasman Tak Bhi Nahi..

Door Kisi manzil Ki Talaash Mein Chal Raha Hoon Main!!
Par Door-Door Tak Koi Mukaam Tak Bhi Nahi....

Naa Lo Mera Naam Ab Iss Mehfil Mein!!
Woh Parinda Be-Maut Hi Marr Jaata Hai,
jiski Koi Udaan Tak Bhi Nahi....

Kuch Zakhm Zamaane Ko Dikh Jaate To Yakeen Ho Jata Ke Main Bhi Zakhmi Hoon!!!
Par kaise Dikhte Woh Zakhm Jiske Nishaan Tak Bhi Nahi....

Dar-Badar Bathakta Raha Main Zindagi Bhar!!!
Par Phir Bhi Log Puchte Hai Ke,
"Khwaish" Tere Chehre Par Aakhir Kyon, Koi Thakaan Tak bhi Nahi???

Badhti Umar Ke Saath Insaan Ka Roop Rang badalte Hai Par Uski Soch Aur Sachai Nahi!!
Jo Baat-Baat Par Apni Soch Ko hi Badle,Meri Nazar Mein Woh Insaan Tak Bhi Nahi....

Kuch Karz Hai Zindagi Ka Mujh par Isliye Main Abhi Zinda Hoon!!!
Woh Baat Aur Hai Ke Mere Chehre Par Koi Muskaan Tak Bhi Nahi....

"Khwaish" Bhi Jaanta Hai Fark Apne Aur Gairo Mein!!!
Par Kuch naa Puch Mujhse!! Yeh Brahm Mein hi Jeene De.
Ke Mujh Mein Koi Zubaan Tak Bhi Nahi....

Bin Mushakat Ke Kabhi Kuch Haasil Nahi Hota!!!
Khuda Sunta Hai Fariyad Uss Shaks Ki Jo Mehnat Karta Ho,
Bin Mehnat Ke Sab Kuch Mil Jaaye, Khuda Itna Meharbaan Tak Bhi Nahi...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda ho Gaya Woh Shaks......! by sharmaarunkumar in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
khuda bhi sunta nahi dua koi by adrin in Shayri-E-Dard
Tune jo na kaha main wo sunta raha...! by DhavalRami in Songs & Lyrics
khuda kabhi fariyaad nahi sunta by Rahi2001 in Shayri-E-Dard
Ae Khuda Kar De Us Shaks K Hawaley Mujko by awais_007 in Miscellaneous Shayri
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: July 26, 2009, 11:14:36 AM »
Reply with quote
Wah wah Khwaish ji,excellent,very nice and wonderful creation.
last verse is mindblowing.keep it up. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #2 on: July 26, 2009, 11:23:00 AM »
Reply with quote
bahut khuuuub Khwaish ji.......hamesha aap bahut gehri baaton ko hamare samne late hai..bahut behtrin Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
        
 baat-baat par apni soch badle jo,wo insaan tak bhi nahi....
bahut gehri baat kahi hai aapne.... icon_salut

Bin mehnat k khuch nai pa sakte hum khuda se...
Jaane gum pane k liye hamne kaun si mehnat ki thi.......
Logged
punam
Guest
«Reply #3 on: July 26, 2009, 11:27:30 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Khwaish ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: July 26, 2009, 11:36:53 AM »
Reply with quote
Wah wah Khwaish ji,excellent,very nice and wonderful creation.
last verse is mindblowing.keep it up. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thankyou Soooooooooo Much Dear!!!

Thanks A Lot For Always Reading And Appreciating My Work!! icon_flower
Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: July 26, 2009, 12:07:50 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ...KHWAISH JI.....

NIKAL PAR TU RAHA MAIN APNI MANZIL KI TALAASH MEIN,
YEH MAT SOCH,KYUN DOOR-DOOR TAK MUKAAM DIKHTA TAK NAHIN.

DAR BADAR KI TOKHREN KHAANE KA MATLAB YEH NAHIN,
KI MAALIK TERI FARIYAAD SUNTA TAK NAHIN.

KYUN THAKAAN DIKHATA HAI DUNIYA KO,RAHA CHALTEY TU APNI,
JAB KHUDA HI HAR KHAWISH PURI KARNEWALLA  HAI APNI.

KHUDA JARUR SUNTA HAI FARIYAAD USS SHAKS KI,JO MAHENAT KARTA HAI,
KHUDA JARUR PAHUNCHATA HAI MANZIL PAR US SHAKS KO,JO MAHENAT SE JAATA  HAI.

Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: July 26, 2009, 12:11:40 PM »
Reply with quote
Bahut badhiya khwaish bhai, Aapne bahut acchi rachna ki.

kabhi palkey bina giraaye dekhtey they ek doosrey ko
Aaj nazre jub mili,aise firi, jaise pehchaan tuk bhi nahi!

vaada kiya ki dil mein basaayenge,sajaayenge hume woh umra bhur
unka gharonda bus gaya aur hum rahe mehmaan tuk bhi nahi!

waqt badla, hum bhee badle , pur raftaar apni tez thee,
bahut mila mash-hoor hona, pur bacha imaan tuk bhi nahi!

kaise pahuche log mujh tuk,uljhane ke rahe yeh silsiley
kuch bhee hunar nahi hai hum-me aur badnaam tuk bhi nahi!


Prateek



Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: July 26, 2009, 12:27:02 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Bahut Khoob Prateekji..Har Ashaar Mein Nazrein Rukh Si gayi..Bahut Gehre Jazbaat Pesh kiye Hai Aapne..

Bahut Khooob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aarzoo Ka Koi Nishaan tak Bhi Nahi,
Teri nazrein Jo Phiri Mujhse,Ab Dil mein Koi Armaan Tak bhi Nahi...

Dil Ko Jhooti tasaali Dene Ke Liye Ab main Bhi keh Deta Hoon!!!
Ab Tujh Par Mera Koi Dhyaan tak bhi nahi....

Loot Gaya Hai Safar Mein mere Jo kuch bhi Tha!!!
Main Jaanta Hoon,Tere Dil mein Mere Liye Koi Makaan Tak bhi Nahi...

Kehte Hai log Ke Din Mein Suraj Apni Dhoop Bikherta Hai!!!
Par Itna Andhera Hai Inn Aankhon Mein,
Ke Mujhe Ab Roshni ka Koi Gumaan Tak Bhi Nahi....

Tujhse Kya Shikayat  Karega Woh shaks!!!
Jiske Mooh Mein Koi Zubaan Tak Bhi nahi....

Kuch Yuh Khud Ko Kho Baitha hai "Khwaish" Iss Gard-e-safar Mein,
Ke Ab Mehsoos Hota Hai kuch yuh,Ke Baaki Ab Koi Naam-0-Nishaan Tak Bhi Nahi...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: July 26, 2009, 12:43:35 PM »
Reply with quote
bahut khuuuub Khwaish ji.......hamesha aap bahut gehri baaton ko hamare samne late hai....bahut behtrin Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
        
 baat-baat par apni soch badle jo,wo insaan tak bhi nahi....bahut gehri baat kahi hai aapne.... icon_salut

Bin mehnat k khuch nai pa sakte hum khuda se...
Jaane gum pane k liye hamne kaun si mehnat ki thi.......


Thanks A Million Pooja... icon_flower

Aapko Yeh Ghazal Pasand Aayi,Yeh Jaankar bahut Khushi Hui hai..

Aur Aapne Bhi Bahut Acha Kahan Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: July 26, 2009, 02:56:24 PM »
Reply with quote
Kuch Yuh Gardish-e-Halaat Se Maat Kha Raha Tha,
Ke Sar Par Ab Aasman Tak Bhi Nahi..

Door Kisi manzil Ki Talaash Mein Chal Raha Hoon Main!!
Par Door-Door Tak Koi Mukaam Tak Bhi Nahi....

Naa Lo Mera Naam Ab Iss Mehfil Mein!!
Woh Parinda Be-Maut Hi Marr Jaata Hai,
jiski Koi Udaan Tak Bhi Nahi....

Kuch Zakhm Zamaane Ko Dikh Jaate To Yakeen Ho Jata Ke Main Bhi Zakhmi Hoon!!!
Par kaise Dikhte Woh Zakhm Jiske Nishaan Tak Bhi Nahi....

Dar-Badar Bathakta Raha Main Zindagi Bhar!!!
Par Phir Bhi Log Puchte Hai Ke,
"Khwaish" Tere Chehre Par Aakhir Kyon, Koi Thakaan Tak bhi Nahi???

Badhti Umar Ke Saath Insaan Ka Roop Rang badalte Hai Par Uski Soch Aur Sachai Nahi!!
Jo Baat-Baat Par Apni Soch Ko hi Badle,Meri Nazar Mein Woh Insaan Tak Bhi Nahi....

Kuch Karz Hai Zindagi Ka Mujh par Isliye Main Abhi Zinda Hoon!!!
Woh Baat Aur Hai Ke Mere Chehre Par Koi Muskaan Tak Bhi Nahi....

"Khwaish" Bhi Jaanta Hai Fark Apne Aur Gairo Mein!!!
Par Kuch naa Puch Mujhse!! Yeh Brahm Mein hi Jeene De.
Ke Mujh Mein Koi Zubaan Tak Bhi Nahi....

Bin Mushakat Ke Kabhi Kuch Haasil Nahi Hota!!!
Khuda Sunta Hai Fariyad Uss Shaks Ki Jo Mehnat Karta Ho,
Bin Mehnat Ke Sab Kuch Mil Jaaye, Khuda Itna Meharbaan Tak Bhi Nahi...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~


Dard-e-dil ki beyzubaaniyat kaa yah bayaan-e- asliyat tah-e-dil tak ko jhakjhor gayaa! Bahut khoob khwaish ji!

Kahtey-kahtey thak gayaa:
Lafz na niklaa eik!
Aankhoun mein ghultey rahey,
Sabhee tasawwur neik!!

              - abd bundeli

Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: July 27, 2009, 09:37:40 AM »
Reply with quote
Kuch Yuh Gardish-e-Halaat Se Maat Kha Raha Tha,
Ke Sar Par Ab Aasman Tak Bhi Nahi..

Door Kisi manzil Ki Talaash Mein Chal Raha Hoon Main!!
Par Door-Door Tak Koi Mukaam Tak Bhi Nahi....

Naa Lo Mera Naam Ab Iss Mehfil Mein!!
Woh Parinda Be-Maut Hi Marr Jaata Hai,
jiski Koi Udaan Tak Bhi Nahi....

Kuch Zakhm Zamaane Ko Dikh Jaate To Yakeen Ho Jata Ke Main Bhi Zakhmi Hoon!!!
Par kaise Dikhte Woh Zakhm Jiske Nishaan Tak Bhi Nahi....

Dar-Badar Bathakta Raha Main Zindagi Bhar!!!
Par Phir Bhi Log Puchte Hai Ke,
"Khwaish" Tere Chehre Par Aakhir Kyon, Koi Thakaan Tak bhi Nahi???

Badhti Umar Ke Saath Insaan Ka Roop Rang badalte Hai Par Uski Soch Aur Sachai Nahi!!
Jo Baat-Baat Par Apni Soch Ko hi Badle,Meri Nazar Mein Woh Insaan Tak Bhi Nahi....

Kuch Karz Hai Zindagi Ka Mujh par Isliye Main Abhi Zinda Hoon!!!
Woh Baat Aur Hai Ke Mere Chehre Par Koi Muskaan Tak Bhi Nahi....

"Khwaish" Bhi Jaanta Hai Fark Apne Aur Gairo Mein!!!
Par Kuch naa Puch Mujhse!! Yeh Brahm Mein hi Jeene De.
Ke Mujh Mein Koi Zubaan Tak Bhi Nahi....

Bin Mushakat Ke Kabhi Kuch Haasil Nahi Hota!!!
Khuda Sunta Hai Fariyad Uss Shaks Ki Jo Mehnat Karta Ho,
Bin Mehnat Ke Sab Kuch Mil Jaaye, Khuda Itna Meharbaan Tak Bhi Nahi...

                 ~~~~~Khwaish~~~~~


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Humesha ki tarah bohot sachcha aur bohot achcha likha hai Dost...Seedha dil se nikla hua....aur dil ko chhoota hua.....Bohot bohot khoob Khwaish
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 28, 2009, 04:17:12 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Khwaish ji...

Thanks A Lottttt Punam.. icon_flower
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: July 28, 2009, 04:22:15 PM »
Reply with quote
Awesome excellent mind blowing poetry Khwaish ji.. Dono hi sachna behad khub likha hai bahoot bahoot khoob! ..Bahoot Khoob!

Pooja ji , Haresh Ji or Prateek ji.. aap sab mea bahoot bahoot lajawaab likha hai .. bahoot Bahoot khoob!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 28, 2009, 05:03:46 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI ...KHWAISH JI.....

NIKAL PAR TU RAHA MAIN APNI MANZIL KI TALAASH MEIN,
YEH MAT SOCH,KYUN DOOR-DOOR TAK MUKAAM DIKHTA TAK NAHIN.

DAR BADAR KI TOKHREN KHAANE KA MATLAB YEH NAHIN,
KI MAALIK TERI FARIYAAD SUNTA TAK NAHIN.

KYUN THAKAAN DIKHATA HAI DUNIYA KO,RAHA CHALTEY TU APNI,
JAB KHUDA HI HAR KHAWISH PURI KARNEWALLA  HAI APNI.

KHUDA JARUR SUNTA HAI FARIYAAD USS SHAKS KI,JO MAHENAT KARTA HAI,
KHUDA JARUR PAHUNCHATA HAI MANZIL PAR US SHAKS KO,JO MAHENAT SE JAATA  HAI.



Bahut Bahut Khoob Caraji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mujhe Aapka Yeh Andaaz Bahut Pasand Aata Hai..Maine Humesha Dekha Hai ke Aap Har ek Saath dete Ho,Apni poetry Ki Zariye..I Salute Your Contributions.. icon_salut

And Thankyou Soooooooo Much For Your Appreciation.. Usual Smile
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: July 29, 2009, 03:26:36 AM »
Reply with quote
Very nice and beautiful lines Prateek ji ,Cara ji ,Abd ji and Pooja ji. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:bahut khoob likha aap sabhi ne.
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:57:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer