Khwaab Ki Diiwaar Giraa Dii Humne ... ! NARESH MEHRA

by Anshumali on January 07, 2011, 12:50:47 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2353 times)
Anshumali
Guest
Reply with quote
Raat Jaagh Ke Beetaa Dii Humne
Khwaab Ki Diiwaar Giraa Dii Humne ...

Andhere Kamre MeN Aa Ke
Bujhi Roshni Jalaa Dii Humne ...

Jab Aaii Woh Yaad Akele MeN
HasiiN Tasveer Banaa Dii Humne ...

Kabhi Dukhaa Ke Dil Us Kaa
Khud Ko Bahut Sazaa Dii Humne ...

Liye AankhoN MeN Sawaal KhaDhi Thii
PaDh Ke Har Baat Samjhaa Dii Humne ...

Jab Leke Gaii Saari Nishaani " Naresh "
Hizr Ke Aansoo Se Duaa Dii Humne ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ke Tum Mujhe Pasand Ho... ! By : NARESH MEHRA by Anshumali in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Kis HuQ Se ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Yeh ! Nimantran ... !!! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Dil Ke Paas Ho Tum ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Ghazals « 1 2  All »
Happy Lohri ... ! NARESH MEHRA by Anshumali in Chit - Chat & General Discussion
Radhika_2
Guest
«Reply #1 on: January 07, 2011, 01:15:33 PM »
Reply with quote
Jab Aaii Woh Yaad Akele MeN
HasiiN Tasveer Banaa Dii Humne ...

Kabhi Dukhaa Ke Dil Us Kaa
Khud Ko Bahut Sazaa Dii Humne ...


Ji ... Bahut Khoob ...... Naresh Ji !

dilee daad .....
Applause Applause Applause Applause
Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: January 07, 2011, 01:37:02 PM »
Reply with quote
wah Anshumali ji wah.
khubsurat nagma
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: January 07, 2011, 07:16:26 PM »
Reply with quote
bahut acche

Raat Jaagh Ke Beetaa Dii Humne
Khwaab Ki Diiwaar Giraa Dii Humne ...

Andhere Kamre MeN Aa Ke
Bujhi Roshni Jalaa Dii Humne ...

Jab Aaii Woh Yaad Akele MeN
HasiiN Tasveer Banaa Dii Humne ...

Kabhi Dukhaa Ke Dil Us Kaa
Khud Ko Bahut Sazaa Dii Humne ...

Liye AankhoN MeN Sawaal KhaDhi Thii
PaDh Ke Har Baat Samjhaa Dii Humne ...

Jab Leke Gaii Saari Nishaani " Naresh "
Hizr Ke Aansoo Se Duaa Dii Humne ...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: January 07, 2011, 07:28:54 PM »
Reply with quote
Naresh Jee Aadaab!

Kafi gehre khayaal kahe hai aapne...
Gazal ka matla aur maqta dono hi khoob lage hume..

Chaliye Gazl par aate hai.. Usual Smile          




Raat Jaagh Ke Beetaa Dii Humne
Khwaab Ki Diiwaar Giraa Dii Humne ...

Waqai beintehaaN khoob gehri baat kahi hai janab.. Daad          


Andhere Kamre MeN Aa Ke
Bujhi Roshni Jalaa Dii Humne ...

Achcha sher hai.. aur behtar hona chahiye tha..          


Jab Aaii Woh Yaad Akele MeN
HasiiN Tasveer Banaa Dii Humne ...

Hmmm Achcha hai janab.. Usual Smile          


Kabhi Dukhaa Ke Dil Us Kaa
Khud Ko Bahut Sazaa Dii Humne ...

Kia baat hai janab.. behad khoob daad..          


Liye AankhoN MeN Sawaal KhaDhi Thii
PaDh Ke Har Baat Samjhaa Dii Humne ...

Achha khayaal hai ... Kafiye per Gaor kijiyeNga.. Usual Smile          


Jab Leke Gaii Saari Nishaani " Naresh "
Hizr Ke Aansoo Se Duaa Dii Humne ...


Maqta bhi behad khoob raha janab daad Usual Smile          



Aise hi umdaa kalaam ke saath aate rahiye..

khush o aabad rahiye..
khuda Hafez... Usual Smile          

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2011, 05:38:51 AM »
Reply with quote
Jab Aaii Woh Yaad Akele MeN
HasiiN Tasveer Banaa Dii Humne ...

Kabhi Dukhaa Ke Dil Us Kaa
Khud Ko Bahut Sazaa Dii Humne ...


Ji ... Bahut Khoob ...... Naresh Ji !

dilee daad .....
Applause Applause Applause Applause

Radhika Ji ... koshish ko saraahane .. aapki dilee daad aur hauslaa afzaai ka bahut bahut shukriya ... khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #6 on: January 08, 2011, 06:48:54 AM »
Reply with quote
naresh ji apka likhi lagbhag sab post pdta hu sab ek se badkar ek he.........apke likna ka adaaj bahot khub he dil me sidha utar jata he har shbd.........bht bht sweet likha he sahab....
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: January 08, 2011, 06:53:25 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Naresh jee!gazal ke matle par hazaaroN daad!!!! bahut khoob!


neend khwaaboN kaa aashiyaanaa hai
toot jaaye to ik fasaanaa hai

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: January 08, 2011, 07:19:27 AM »
Reply with quote
Badi achhi kavita hai aapki Naresh ji.... Applause Applause Applause Applause Applause

Aankho he aankhon mai Prshn sab padh lete ho
Phir ishaaron- ishaaron me samjha bhi dete ho

Kis jahaan se aaye ho Kaise tum jaadugar ho
Jahaan se bhi gujarte ho roshnee failaate ho
Raat Jaagh Ke Beetaa Dii Humne
Khwaab Ki Diiwaar Giraa Dii Humne ...

Andhere Kamre MeN Aa Ke
Bujhi Roshni Jalaa Dii Humne ...

Jab Aaii Woh Yaad Akele MeN
HasiiN Tasveer Banaa Dii Humne ...

Kabhi Dukhaa Ke Dil Us Kaa
Khud Ko Bahut Sazaa Dii Humne ...

Liye AankhoN MeN Sawaal KhaDhi Thii
PaDh Ke Har Baat Samjhaa Dii Humne ...

Jab Leke Gaii Saari Nishaani " Naresh "
Hizr Ke Aansoo Se Duaa Dii Humne ...
Logged
manjum
Guest
«Reply #9 on: January 08, 2011, 07:22:07 AM »
Reply with quote
bahut bahut daad kubool karen Nareshji....

bahut khub..
 Applause Applause Applause
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #10 on: January 08, 2011, 11:26:07 AM »
Reply with quote
wah Anshumali ji wah.
khubsurat nagma


Bahut bahut shukriya ..... Nirala Ji ! aapki pasandegi ka !

khush rahen ...

duaaon ke saath ... !
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #11 on: January 08, 2011, 11:27:32 AM »
Reply with quote
nice creation
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #12 on: January 08, 2011, 02:46:09 PM »
Reply with quote
bahut acche


Manoj Ji ... aapki pasandegi aur hausla afzaai ka bahut bahut shukriya ... khush rahen ...

duaaon ke saath ... !
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #13 on: January 08, 2011, 06:15:40 PM »
Reply with quote
ParwaaZ Ji .. Aadaab !

Aapke humeshaa Saath aur dil kholke koshish ko saraahane ki aadat ne mujhe har baar likhne ki nayi prernaa di hai ... iske liye main humeshaa aapka shukrguzaar rahunga ...

shukriya ....... aapki pasandegi ... itnii ijzat afzaai aur hausla afzaai ka !

khush rahen ...
apnaa theek se khayal rakhen ...
duaaon ke saath ... !
Logged
Radhika_2
Guest
«Reply #14 on: January 09, 2011, 01:51:50 AM »
Reply with quote
Ji .. Shurkriya  icon_flower
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:42:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer