Kisey yuun khojtaa hoon mein?

by abdbundeli on February 22, 2009, 01:31:15 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1234 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Tumhain jab deykhtaa hoon meim, mujhey lagtey ho pahichaaney!
Magar tum koun ho meyrey: wahee samjhey, wahee jaaney!!

Ajab yah beykhudee meyree; ajab yah beyqaraaree hai!
Ajab yah raastey meyrey; ajab yah mulk anjaaney!!

Kisey yuun khojtaa hoon mein? Kisey hai justajoo meyree?
Na jaaney kitney saaqee hain; na jaaney kitney maykhaaney?

Kisee katm-e-adam mein they jurhey rishtey, na jaaney kab?
Na jaaney kitney apney hain; na jaaney kitney beygaaney?

Idaarey hain yahaan laakhon, jahaan insaan biktey hain!
Khareedaaroun ki mahfil mein, kharhey hain laakh deewaaney!!

Gaye tum: ham ney kar lee dukhtar-e-angoor sey toubaa!
Naheen ab kaam kaa koyee; bharey hon laakh paimaaney!!

Sunaa jab sey tumhaarey noor kaa jalwah mureedoun sey;
Tabhi sey paas shama’a key phataktey naheen parwaaney!!

Qasam hai tum ko, ab aanaa naheen aagosh mein dilbar;
‘Abd’ key saath zindah hain na jaaney kitney afsaaney?

                                        - abd bundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sochti hoon mein aksar tanhai mein by Arifa in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3 4 5 »
Teyri haseen shakhsiyat mein kho gaya hoon, mein! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khwaab mein jaa kisey jagaayengey? by abdbundeli in Ghazals
Andheyroun mein hijaaboun key, yuun na ghutiye beywajah! by abdbundeli in Ghazals
Yahee to fark hai: shaayar kisey ro ley, kisey gaa ley? by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
divyam
Guest
«Reply #1 on: February 22, 2009, 04:38:17 PM »
Reply with quote
Garg saahab,

aap ki har Ghazal ki tarah yeh Ghazal bhi behad achchhi lagii, aur mujhe khushi hai ki mujhe sab se pahle daad dene  ka mauqa mil raha hai, to daad haazir hai qubul keejiye...Usual Smile

aur ek baat me.n aap se puuchhana chaahta huu.n, agar aap ijaazat de.n to mai.n aap ki kuchh ko Ghazalo.n ko ba-izzat aap ke naam ke saath kuchh ek forum me.n post karna chaahu.ngaa. taa'ki log aap ko paDh sake.n, (aur itni khuub-suurat Ghazal baa.nTane ke liye thodi bohat daad  to mujhe bhi mil jaayegii )to, aap ke jawaab ka intazaar rahegaa.. Usual Smile

ab chalta huu.n, aap ke jawaab ka intazaar rahega,  apna khayaal rakhiye..

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: February 22, 2009, 05:30:31 PM »

Thanks you a lot! You're at full liberty to post them! I'll let you know more through a PM.
             - abd bundeli
Logged
divyam
Guest
«Reply #3 on: February 23, 2009, 07:48:52 AM »
Reply with quote
Thanks you a lot! You're at full liberty to post them! I'll let you know more through a PM.
             - abd bundeli

Garg saahab,

pranaam,

aap ne ijaazat di, is ke liye tah-e-dil se shukriya..mai.n aaap ka aabhaari huu.n.....  mujhe aap ke PM ka bhii intazaar rahegaa.. apna khayaal rakhiye...

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: February 23, 2009, 12:21:02 PM »
Reply with quote
Garg saahab,
pranaam,
aap ne ijaazat di, is ke liye tah-e-dil se shukriya..mai.n aaap ka aabhaari huu.n.....  mujhe aap ke PM ka bhii intazaar rahegaa.. apna khayaal rakhiye...
You're welcome! I'll write you today!
                         - abd bundeli
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: February 23, 2009, 06:24:58 PM »
Reply with quote
Tera kaha "ABD" koi mane ya na mane
Tu muje maan GHAYEL tujhe mane

-SG-
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: February 24, 2009, 05:53:41 AM »
Reply with quote
Tera kaha "ABD" koi mane ya na mane
Tu muje maan GHAYEL tujhe mane

-SG-

Na maantaa to hijra mein na yuun ghaayal hotaa!
Na maantaa to sarey bazm na maayil hotaa!
Na maantaa to bhalaa itney faasiley par rah,
Kis tarah Sajidii Ghayel mujhey haasil hotaa? 

                              - abd bundeli

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: February 24, 2009, 11:27:10 AM »
Reply with quote
waah Abd ji behad achi ghazal... Applause Applause

so wonderful n wid lots of feeling... Clapping Smiley

hume har ghazal achi lagti hai aapki...

pehle bhi aapko padhte the..great creation...

Bahut-bahut shukriyah!
             - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2009, 02:22:54 PM »
Reply with quote
Tumhain jab deykhtaa hoon meim, mujhey lagtey ho pahichaaney!
Magar tum koun ho meyrey: wahee samjhey, wahee jaaney!!

Ajab yah beykhudee meyree; ajab yah beyqaraaree hai!
Ajab yah raastey meyrey; ajab yah mulk anjaaney!!

Kisey yuun khojtaa hoon mein? Kisey hai justajoo meyree?
Na jaaney kitney saaqee hain; na jaaney kitney maykhaaney?

Kisee katm-e-adam mein they jurhey rishtey, na jaaney kab?
Na jaaney kitney apney hain; na jaaney kitney beygaaney?

Idaarey hain yahaan laakhon, jahaan insaan biktey hain!
Khareedaaroun ki mahfil mein, kharhey hain laakh deewaaney!!

Gaye tum: ham ney kar lee dukhtar-e-angoor sey toubaa!
Naheen ab kaam kaa koyee; bharey hon laakh paimaaney!!

Sunaa jab sey tumhaarey noor kaa jalwah mureedoun sey;
Tabhi sey paas shama’a key phataktey naheen parwaaney!!

Qasam hai tum ko, ab aanaa naheen aagosh mein dilbar;
‘Abd’ key saath zindah hain na jaaney kitney afsaaney?

                                        - abd bundeli

A Beautiful Creation, Abd Ji, like always...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: February 24, 2009, 03:16:27 PM »
Reply with quote
A Beautiful Creation, Abd Ji, like always...
Shukriyah Celmira ji!
It appears to me that you're elevating me much higher than what  in fact I'm!! Naturally, your evaluations do delight me a lot!
                                               - abd bundeli
   
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:49:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer