Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti

by A K Khan on September 21, 2004, 01:56:43 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 4208 times)
A K Khan
Guest
Reply with quote
Mohtram dosto kafi dinooN bad eik ghazal le kar aap ki khidmat maiN pesh ho raha hooN aapki raye ka intzar rahe ga
 
 
Duago  
AZHAR



Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti  
Zara sa dil to dukhta he magar shidat nahiN hoti  
 
Bohat khud ko jalata hooN ye barsoN ki riazat he
Mire andar ki lekin door ye zulmat nahiN hoti  
 
Ye dukh he ke kisi ne bhi hamiN dil se nahiN chaha  
Zara sa piyar mil jata to ye halat nahiN hoti  
 
Zamin-o-aasmaaN maiN ik tauluk to he sadyooN se  
magar peda kahiN bhi rabt ki soorat nahiN hoti  
 
Ajab hi falsfa he ye ameeri aur gharibi ka  
ke umraiN sarf ho jati haiN kam ghurbat nahiN hoti  
 
Bohat se khoob chehray haiN bohat si dilruba nazraiN  
Tire hone se hoti thi jo kefi^at nahiN hoti  
 
Hawala jab talak tera na aa jaye kahiN in maiN  
mire sheroN maiN peda tab talak jiddat nahiN hoti  
 
Tire gumnaam mer janay maiN AZHAR kya buraie he
ke her insaan ki kismat maiN to shohrat nahiN hoti
 
AZHAR  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kisi ki bewafai by A K Khan in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
Kisi ki bewafai by husain52 in Shayri-E-Dard
sirf dekhke kisi ko dil ki baat nahi hoti by captain in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Kisi Ki Bewafai Bais-E-Herat Nahi Hoti by ishu_singh10 in Miscellaneous Shayri
beWafai agar usne ki hoti to khayal kuch hota by mrigank in Shayri for Khumar -e- Ishq
waheed
Guest
«Reply #1 on: September 28, 2004, 02:34:24 PM »
Reply with quote
very nice azhar miyan.      bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona
        aadmee ko bhee muyassar naheeN  insaaN hona

        [ dushwaar = difficult, muyassar = possible ]

2.      giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki
        dar-o-deevaar se  Tapke  hai bayaabaaN   hona

        [ giriyaaN = weeping, kaashaana = house, bayaabaaN = wilderness ]

3.      waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko
        aap jaana udhar aur aap  hee  hairaaN  hona

4.      jalva  az_bas  ki taqaaza-e-nigah  karta hai
        jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona

        [ az = from/then/by, jauhar = skill/knowledge, mizhgaaN = eyelid ]

5.      ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna  mat pooch
        id-e-nazzaara  hai shamsheer  ka uriyaaN hona

        [ ishrat = joy/delight, shamsheer = sword, uriyaaN = naked/bare ]

6.      le gaye KHaak meiN ham daaGH-e-tamanna-e-nishaat
        too  ho  aur  aap  ba_sad_rang-e-gulistaaN  hona

        [ nishaat (or nashaat) = enthusiasm/happiness, sad_rang = hundred
          colours ]

7.      ishrat-e-paara-e-dil,  zaKHm-e-tamanna_KHaana
        lazzat-e-reesh-e-jigar GHarq-e-namakdaaN hona

        [ ishrat = joy/delight, paara = fragment/piece, lazzat = taste,
          reesh = wound, GHarq = drown/sink, namakdaaN = container to
          keep salt ]

8.      kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba
        haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona

        [ jafa = oppression, zood = quickly, pashemaaN = ashamed/
          embarrassed ]

9.      haif  us chaar girah kapDe  ki qismat 'GHalib'
        jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona

        [ haif = alas!, girah = one sixteenth of a yard, girebaaN = collar ]
(gg)
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #2 on: October 02, 2004, 09:13:19 AM »
Reply with quote
Bohat Shukria Junab Waheed Sahib
Aap ne bhi chacha ghalib ki aci ghazal sunai  he

Shukria qabool farmaiye
AZHAR
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #3 on: October 02, 2004, 09:13:49 AM »
Reply with quote
Bohat Shukria Junab Waheed Sahib
Aap ne bhi chacha ghalib ki aci ghazal sunai  he

Shukria qabool farmaiye
AZHAR
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #4 on: October 09, 2004, 05:33:01 AM »
Reply with quote
Use bhi apni mohabbat pe aetbaar nahiN
Hamin bhi dar he kahiN bewafa na ho jaiN
Logged
waheed
Guest
«Reply #5 on: October 09, 2004, 12:39:12 PM »
Reply with quote
thanks bhai miyan
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #6 on: October 11, 2004, 03:13:37 PM »
Reply with quote
Log kehtay haiN ke dil se hi bhula do us ko

Jis ki tasweer na kamre se hataii jaye
Logged
Yashank
Guest
«Reply #7 on: April 11, 2011, 06:52:25 AM »
Reply with quote
Bhule hain rafta rafta unhe muddaton k baad,
ki kistoon kistoon me khud khushi ka maza koi humse pooche.

Yash
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: April 14, 2011, 07:58:53 AM »
Reply with quote
Mohtram dosto kafi dinooN bad eik ghazal le kar aap ki khidmat maiN pesh ho raha hooN aapki raye ka intzar rahe ga
 
 
Duago 
AZHAR



Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti 
Zara sa dil to dukhta he magar shidat nahiN hoti 
 
Bohat khud ko jalata hooN ye barsoN ki riazat he
Mire andar ki lekin door ye zulmat nahiN hoti 
 
Ye dukh he ke kisi ne bhi hamiN dil se nahiN chaha 
Zara sa piyar mil jata to ye halat nahiN hoti 
 
Zamin-o-aasmaaN maiN ik tauluk to he sadyooN se 
magar peda kahiN bhi rabt ki soorat nahiN hoti 
 
Ajab hi falsfa he ye ameeri aur gharibi ka 
ke umraiN sarf ho jati haiN kam ghurbat nahiN hoti 
 
Bohat se khoob chehray haiN bohat si dilruba nazraiN 
Tire hone se hoti thi jo kefi^at nahiN hoti 
 
Hawala jab talak tera na aa jaye kahiN in maiN 
mire sheroN maiN peda tab talak jiddat nahiN hoti 
 
Tire gumnaam mer janay maiN AZHAR kya buraie he
ke her insaan ki kismat maiN to shohrat nahiN hoti
 
AZHAR 



LAJAWAAB AZHAR SAHAB
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #9 on: June 09, 2011, 07:51:52 AM »
Reply with quote
bahut khoob  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #10 on: June 09, 2011, 09:08:28 AM »
Reply with quote
Janab A K Khan Saheb! Salam o Rahmat!

Bahut hi khoobsurat ghazal hai ye aapki. Is ghazal ko paRhkar mujhe aisa laga k aapka mashq e sukhan kaafi puraana hai aur aapke ashaar meiN salasat hai rawaani hai ramziyat hai, naghmagi hai jo qaari ko apni taraf khainchne ki poori taaqat rakhti hai. MaiN aapki shayari se kaafi mutaccir hua k aapne jis tarah ke ashaar kahe haiN wo aajkal kamyaab haiN. Apni is meyaari ghazal k liye dili mubarakbaad k saath saath hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

Mohtram dosto kafi dinooN bad eik ghazal le kar aap ki khidmat maiN pesh ho raha hooN aapki raye ka intzar rahe ga
 
 
Duago 
AZHAR



Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti 
Zara sa dil to dukhta he magar shidat nahiN hoti 
 
Bohat khud ko jalata hooN ye barsoN ki riazat he
Mire andar ki lekin door ye zulmat nahiN hoti 
 
Ye dukh he ke kisi ne bhi hamiN dil se nahiN chaha 
Zara sa piyar mil jata to ye halat nahiN hoti 
 
Zamin-o-aasmaaN maiN ik tauluk to he sadyooN se 
magar peda kahiN bhi rabt ki soorat nahiN hoti 
 
Ajab hi falsfa he ye ameeri aur gharibi ka 
ke umraiN sarf ho jati haiN kam ghurbat nahiN hoti 
 
Bohat se khoob chehray haiN bohat si dilruba nazraiN 
Tire hone se hoti thi jo kefi^at nahiN hoti 
 
Hawala jab talak tera na aa jaye kahiN in maiN 
mire sheroN maiN peda tab talak jiddat nahiN hoti 
 
Tire gumnaam mer janay maiN AZHAR kya buraie he
ke her insaan ki kismat maiN to shohrat nahiN hoti
 
AZHAR 

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: July 09, 2011, 02:26:25 PM »
Reply with quote
Azhar saheb,aaj iss ghazal ki pehli line per nazar padi aur be akhtiar poori ghazal padhne ko dil chaaha.Iss khoobsoorat ghazal ko padh kar musarrat ka ehsaas hota hai ki Yoindia ki taareekh aur iss ko likhne waale dono hi qaabil e ehtiraam rahe hai.n.Aaj iss web se judne ki khushi dobaala hogai.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: August 16, 2011, 08:03:47 PM »
Reply with quote
Mohtram dosto kafi dinooN bad eik ghazal le kar aap ki khidmat maiN pesh ho raha hooN aapki raye ka intzar rahe ga
 
 
Duago 
AZHAR



Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti 
Zara sa dil to dukhta he magar shidat nahiN hoti 
 
Bohat khud ko jalata hooN ye barsoN ki riazat he
Mire andar ki lekin door ye zulmat nahiN hoti 
 
Ye dukh he ke kisi ne bhi hamiN dil se nahiN chaha 
Zara sa piyar mil jata to ye halat nahiN hoti 
 
Zamin-o-aasmaaN maiN ik tauluk to he sadyooN se 
magar peda kahiN bhi rabt ki soorat nahiN hoti 
 
Ajab hi falsfa he ye ameeri aur gharibi ka 
ke umraiN sarf ho jati haiN kam ghurbat nahiN hoti 
 
Bohat se khoob chehray haiN bohat si dilruba nazraiN 
Tire hone se hoti thi jo kefi^at nahiN hoti 
 
Hawala jab talak tera na aa jaye kahiN in maiN 
mire sheroN maiN peda tab talak jiddat nahiN hoti 
 
Tire gumnaam mer janay maiN AZHAR kya buraie he
ke her insaan ki kismat maiN to shohrat nahiN hoti
 
AZHAR 



KYA KHOOB KAHA KHAN SAHAB AAPNE....


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: August 16, 2011, 08:05:49 PM »
Reply with quote
Mohtram dosto kafi dinooN bad eik ghazal le kar aap ki khidmat maiN pesh ho raha hooN aapki raye ka intzar rahe ga
 
 
Duago 
AZHAR



Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti 
Zara sa dil to dukhta he magar shidat nahiN hoti 
 
Bohat khud ko jalata hooN ye barsoN ki riazat he
Mire andar ki lekin door ye zulmat nahiN hoti 
 
Ye dukh he ke kisi ne bhi hamiN dil se nahiN chaha 
Zara sa piyar mil jata to ye halat nahiN hoti 
 
Zamin-o-aasmaaN maiN ik tauluk to he sadyooN se 
magar peda kahiN bhi rabt ki soorat nahiN hoti 
 
Ajab hi falsfa he ye ameeri aur gharibi ka 
ke umraiN sarf ho jati haiN kam ghurbat nahiN hoti 
 
Bohat se khoob chehray haiN bohat si dilruba nazraiN 
Tire hone se hoti thi jo kefi^at nahiN hoti 
 
Hawala jab talak tera na aa jaye kahiN in maiN 
mire sheroN maiN peda tab talak jiddat nahiN hoti 
 
Tire gumnaam mer janay maiN AZHAR kya buraie he
ke her insaan ki kismat maiN to shohrat nahiN hoti
 
AZHAR 



Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Waah Waah Waah..Bahut Bahut Khoooob Azhar Ji
Logged
masoodhassaas
Guest
«Reply #14 on: August 16, 2011, 10:03:09 PM »
Reply with quote
aadaab
mashallaah kiya akahney aap ke ashaar eyk naye zaaveye ka ishaariyah hi nahi balki daakhlee karb ke ghammaaz bhi hain alfaaz ki dar o bast kamaal hai us ki salaasat apne aoj pe hai kamaal dar kamaal hai mobaarak ho
masood
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 04:36:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer