KITNI MEETHI ZUBAAN HAI URDU...Hasan

by F.H.SIDDIQUI on July 07, 2011, 04:32:54 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4472 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

  Aashiqaan-e-Urdu ki aawaaz,
 iss haqeer (Hasan)ke andaaz mein :

Kitni meethi Zubaan hai Urdu,
Shaan-e-Hindostaan  hai Urdu

Iss mei.n boo her zubaa.n  ke phoolo.n ki,
Ek hasee.n  Gulsitaan hai Urdu

Pyaar kee boli , pyaar kee bhasha,
Aashiqo.n  kee  zubaan hai Urdu

Baat Mehboob se Ghazal mei.n  karei.n,
Shaairo.n  kee to  jaan hai Urdu

Jo bhi sunn le,khincha chalaa aaye,
Aisi dilkash  Azaan  hai  Urdu

Iss ko Dair-o-Haram  se kya lena,
Phir bhi dono.n ki jaan hai Urdu

Mere munh se bhi phool jhadte hai.n,
Kyoonki  meri  zubaan  hai Urdu

Logged
khujli
Guest
«Reply #1 on: July 07, 2011, 05:24:57 AM »
Reply with quote

  Aashiqaan-e-Urdu ki aawaaz,
 iss haqeer (Hasan)ke andaaz mein :

Kitni meethi Zubaan hai Urdu,
Shaan-e-Hindostaan  hai Urdu

Iss mei.n boo her zubaa.n  ke phoolo.n ki,
Ek hasee.n  Gulsitaan hai Urdu

Pyaar kee boli , pyaar kee bhasha,
Aashiqo.n  kee  zubaan hai Urdu

Baat Mehboob se Ghazal mei.n  karei.n,
Shaairo.n  kee to  jaan hai Urdu

Jo bhi sunn le,khincha chalaa aaye,
Aisi dilkash  Azaan  hai  Urdu

Iss ko Dair-o-Haram  se kya lena,
Phir bhi dono.n ki jaan hai Urdu

Mere munh se bhi phool jhadte hai.n,
Kyoonki  meri  zubaan  hai Urdu





 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: July 07, 2011, 06:10:16 AM »
Reply with quote
mere muh se bhi phool jhadte hai kyoki meri jubaan hai urdu.
bahu khoob mia, bahut khoob
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #3 on: July 07, 2011, 06:15:55 AM »
Reply with quote
Aik qaabile-tehseen peshkash. Mubarakbad k saath saath hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)


  Aashiqaan-e-Urdu ki aawaaz,
 iss haqeer (Hasan)ke andaaz mein :

Kitni meethi Zubaan hai Urdu,
Shaan-e-Hindostaan  hai Urdu

Iss mei.n boo her zubaa.n  ke phoolo.n ki,
Ek hasee.n  Gulsitaan hai Urdu

Pyaar kee boli , pyaar kee bhasha,
Aashiqo.n  kee  zubaan hai Urdu

Baat Mehboob se Ghazal mei.n  karei.n,
Shaairo.n  kee to  jaan hai Urdu

Jo bhi sunn le,khincha chalaa aaye,
Aisi dilkash  Azaan  hai  Urdu

Iss ko Dair-o-Haram  se kya lena,
Phir bhi dono.n ki jaan hai Urdu

Mere munh se bhi phool jhadte hai.n,
Kyoonki  meri  zubaan  hai Urdu


Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: July 07, 2011, 10:21:27 AM »
Reply with quote
Khujli ji,Shukriya.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: July 07, 2011, 11:21:12 AM »
Reply with quote
Janab Siddiqui Sahaab Aadaab!


Waah janab kia kahne aapke bahut achchi aur
Umdaa kalaam kahi hai aapne.... Usual Smile


Urdu ke kia kahne ...... waqai behad pur asar
aur achche andaaz e bayaaN meiN aapne Urdu ko
nikhaara hai... Dil se daad O mubarak baad kabul
kijiye..... Usual Smile

Likhate rahiye.....
Shaad O aabaad rahiye....
Khuda hafez Usual Smile          






Iss mei.n boo her zubaa.n  ke phoolo.n ki,
Ek hasee.n  Gulsitaan hai Urdu

Kia kahne waaH bahut khoob daad Usual Smile          

Pyaar kee boli , pyaar kee bhasha,
Aashiqo.n  kee  zubaan hai Urdu

Waah jee waah bahut umdaa sher kaha hai daad daad daad Usual Smile          

Baat Mehboob se Ghazal mei.n  karei.n,
Shaairo.n  kee to  jaan hai Urdu

Kia kahne janab bahut achche Usual Smile behad sahiN farmaya aapne daad Usual Smile          

Jo bhi sunn le,khincha chalaa aaye,
Aisi dilkash  Azaan  hai  Urdu

Waah waah waah bahut khoob bahut umdaa Usual Smile          

Mere munh se bhi phool jhadte hai.n,
Kyoonki  meri  zubaan  hai Urdu

Gazab janab gazab bahut khoob Bahut achche janab Usual Smile          

Kuch adhure ahsaas Humne bhi likhane ki koshish ki
thi aapki peshe nazar kar raheN hai .. Usual Smile         




Baad Ghalib ke lafzoN ki youN khushbu rah gayi
Aab o hawaa e zahen meiN fasii Urdu rah gayi

Parwaaz woH chale gaye door had o nigaaH se
Jaane kyuN phir woH misri se guftagu rah gayi
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: July 07, 2011, 11:31:44 AM »
Reply with quote
Beshaq bahut  khoob qabile daad

Dr. S.K.Saini
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: July 07, 2011, 02:16:44 PM »
Reply with quote
mkv ji,shukriya.aayenda bhi taawwun ki guzarish hai.Hasan
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: July 07, 2011, 03:31:20 PM »
Reply with quote

  Aashiqaan-e-Urdu ki aawaaz,
 iss haqeer (Hasan)ke andaaz mein :

Kitni meethi Zubaan hai Urdu,
Shaan-e-Hindostaan  hai Urdu

Iss mei.n boo her zubaa.n  ke phoolo.n ki,
Ek hasee.n  Gulsitaan hai Urdu

Pyaar kee boli , pyaar kee bhasha,
Aashiqo.n  kee  zubaan hai Urdu

Baat Mehboob se Ghazal mei.n  karei.n,
Shaairo.n  kee to  jaan hai Urdu

Jo bhi sunn le,khincha chalaa aaye,
Aisi dilkash  Azaan  hai  Urdu

Iss ko Dair-o-Haram  se kya lena,
Phir bhi dono.n ki jaan hai Urdu

Mere munh se bhi phool jhadte hai.n,
Kyoonki  meri  zubaan  hai Urdu


[/b]

Bahut bahut Khoob F.H Siidiqui Ji..

Bahut Hi Khoobsurat Kalaam Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aur Vakai Bahut Hi Meethi Zubaan Hai Urdu.. Thumbs UP
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: July 07, 2011, 04:36:14 PM »
Reply with quote
shukriy khwaish ji,Hum sabhi Yoindians issi pyari Zubaan ke meethe rishto.n se judey huve hai.n.Khuda kare hum aap isski khidmat bhi pyaar se karte rahein. Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: July 08, 2011, 05:13:19 AM »
Reply with quote
Waquif Saheb,hausla afzaai ke liye tah-e-dil se shukriya.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: July 08, 2011, 10:23:05 AM »
Reply with quote
Dr.Saini saheb,Bahut bahut Shukriya.Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: July 08, 2011, 10:29:04 AM »
Reply with quote
Parwaaz saheb,Meri adnaa si koshish ko saraahne aur iss silsile ka eik khoobsoorat she'r ataa karne ke liye bahut bahut shukriya...FHSiddiqui
Logged
GUMboy
Guest
«Reply #13 on: July 09, 2011, 04:43:42 AM »
Reply with quote
bahut khub hasan saab..
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: July 09, 2011, 08:57:09 AM »
Reply with quote
GUMboy saheb,Shukriya.Urdu khushnuma - haseen,khoobsurat dikhne wale phoolo.n ka guldasta hai.Hindi,Sanskrit,Farsi,Arbi,Angrezi aur na jaane kitni zubaano.n ke phool iss mein mil jaate hai.n. iss ki mithhaas ki yehi wajah hai aur issi wajah se hum aur aap iss se pyaar karte hai.n .Meri koshish ko saraahne ke liye bahut shukriya.Duao.n ke saath..Hasan
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:57:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer