koi aur ho ga, wo main nahi (by vb)

by vb on November 13, 2013, 09:50:00 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1242 times)
vb
Guest
Reply with quote


Wo jo misl-e-manba-e-noor tha, koi aur ho ga, wo main nahi
Jo naseeb-e-jalva-e-Toor tha, koi aur ho ga, wo main nahi

Main tu sur hoon panchivaaN raag ka, meri maalkauNs men jaa nahi
So yahan jo wajh-e-saroor tha, koi aur ho ga, wo main nahi

Meri shayari ki na baat kar, ye sukhan-gari tu fareb hay
Jisay shaayari pe aboor tha, koi aur ho ga, wo main nahi

Sar-e-sheher jis ki mohabbaten, kisi naazneeN ne ujaar deen
Gham-e-hijr jis ka qasoor tha, koi aur ho ga, wo main nahi

Meray dil main shikva-e-ishq hay, usay zu’um-e-qoovat-e-ishq tha
Jisay khud pay itna gharoor tha, koi aur ho ga, wo main nahi

Wo divaana jaaN say guzar gaya, jisay log kehtay thay vb jee
Wo jo bazm meN mashehoor tha, koi aur ho ga, wo main nahi



*---------------------------*



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kabhiya nahi khana ka main tum sa pyar nahi karta (personal) by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
main nahi by komalpreet kaur in Pain in Love : Punjabi poetry « 1 2  All »
SAKOON-E-DIL BHI NAHI,PEHLOO MAIN DILBAR BHI NAHI by nazar ghouri in Ghazals
Main usko bhula dun nahi ji nahi (Riyaz) by riyaz106 in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4  All »
!!!..Wo main nahi..!!! by nashwani in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
mkv
Guest
«Reply #1 on: November 13, 2013, 10:32:52 PM »
Reply with quote


Wo jo misl-e-manba-e-noor tha, koi aur ho ga, wo main nahi
Jo naseeb-e-jalva-e-Toor tha, koi aur ho ga, wo main nahi  ApplauseMasha allah..bahut khoobsurat matla hai

Main tu sur hoon panchivaaN raag ka, meri maalkauNs men jaa nahi
So yahan jo wajh-e-saroor tha, koi aur ho ga, wo main nahi laajavaab..aala sher hai..innovative bhi..jitni bhi daad dee jaaye kam hai

Meri shayari ki na baat kar, ye sukhan-gari tu fareb hay
Jisay shaayari pe aboor tha, koi aur ho ga, wo main nahi is sher pe to purzor daad banti hai

Sar-e-sheher jis ki mohabbaten, kisi naazneeN ne ujaar deen
Gham-e-hijr jis ka qasoor tha, koi aur ho ga, wo main nahi kya baat hai  ..bahut umda

Meray dil main shikva-e-ishq, usay zu’um-e-qoovat-e-ishq tha
Jisay khud pay itna gharoor tha, koi aur ho ga, wo main nahi  Thumbs UPkya baat hai. bahut khoob kaha

Wo divaana jaaN say guzar gaya, jisay log kehtay thay vb jee
Wo jo bazm meN mashehoor tha, koi aur ho ga, wo main nahi  Thumbs UP Thumbs UP



*---------------------------*




bahut yaad aayenge aap VB jee
sach..aap jaise sukhanvar ko padhna..naseeb ki baat hai..
taaliyon ki goonz ne bahut se shayron ki aawaaz daba dee hai..
afsos..
khair is ghazal ko padhkar aapki kahee baat yaad aa gayee..
aap kyon likhna kam karna chaahte hain?
chalte chalte eik baar phir se meri taraf se tah e dil se mubarakbaad qubool karen.
duaayen..khush rahiye
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: November 13, 2013, 10:39:57 PM »
Reply with quote
Waaqai meN aapki shayari ek fareb hai, aapke likhne ka andaaz maayaavi hai jismeN insaan kho jaae. Jitni daad ji jaae kam hai janaab, aate rahiye aur bazm ko chaar chaaNd lagaate rahiye.
Logged
sidra04
Guest
«Reply #3 on: November 13, 2013, 10:48:54 PM »
Reply with quote
sabse pehle to mubaarakbaad is khoobsurat kalaam ke liye... baad iske ye kehnaa chahungee ki aapki kalaam me waaqai koi jaadu hai.... radeef ka intekhaab bahot acchaa hai aur ghazal ko bakhubi nibhaay ahai aapne..... bahot saari daad aapke liye..

Sidra
Logged
sidra04
Guest
«Reply #4 on: November 13, 2013, 10:50:29 PM »
Reply with quote
bahut yaad aayenge aap VB jee


mkv ji.. aapke is misre se kyaa muraad hai, main samajh nahi paa rahi hoon, kyaa aap zara tafseel me bataaeNge pleeeesssss....
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: November 13, 2013, 10:57:21 PM »
Reply with quote

mkv jee! hum aap k khaloos k shukar guzaar hen lekin ake guzaarish karen gay k is qadar taareefi kalemaat sun kar hamara haal kuchh aisa ho jaata hay, jaisa saar-e-baazaar kisi paagal ka jisay bachay pather maar rahay hon...
so guzaarish ye hay k hamari sadaa ka chand taaliyon ki goong main dab jana behtar hay...

--------------------------------
aap in geeton, in nazmon k
maghmoom fasanay kya jaanen?
in chikni chupri baton k
chaalaak bahaanay kya jaanen?

hum aashiq, shaair kuch bhe nahi
so taareefon ko rehnay dain
ye zakhm, hamaara jeevan hain
inhen holay holay behnay dain

or waisay bhe is duniya main
ye geet na hum ko raas huvay
ik aawara say shaair hain
hum konsay 'tulsi-daas' huvay?

kuch roze yahan par thehray hain
phir hum ne yahan say jaana hay
vb ka kon thikaana hay... Huh??
--------------------------------
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: November 13, 2013, 10:59:22 PM »
Reply with quote
Waaqai meN aapki shayari ek fareb hai, aapke likhne ka andaaz maayaavi hai jismeN insaan kho jaae. Jitni daad ji jaae kam hai janaab, aate rahiye aur bazm ko chaar chaaNd lagaate rahiye.

buhat shukar guzaar hen hum aap k.... Iftakhar Ahmad sahab!

such kaha aap ne..
sub dhalti phirti chhaya hay...
sub maayaa hay..
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: November 13, 2013, 11:01:12 PM »
Reply with quote
sabse pehle to mubaarakbaad is khoobsurat kalaam ke liye... baad iske ye kehnaa chahungee ki aapki kalaam me waaqai koi jaadu hai.... radeef ka intekhaab bahot acchaa hai aur ghazal ko bakhubi nibhaay ahai aapne..... bahot saari daad aapke liye..

Sidra


Buhat shukriya sidra04 jee aap ka, k pasand kiya and comments chhoray....
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: November 13, 2013, 11:03:06 PM »
Reply with quote
mkv ji.. aapke is misre se kyaa muraad hai, main samajh nahi paa rahi hoon, kyaa aap zara tafseel me bataaeNge pleeeesssss....

sidra04 jee! sawal jin say hay wohi behter jawab den gay, but may be... un ka ishara hamaray is puraanay sher ki taraf hay


"soen gay ab tu phir nahi uthna hamen kabhi"
kartay ho roze waada, nibha ku nahi detay


Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: November 13, 2013, 11:21:00 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
vb
Guest
«Reply #10 on: November 13, 2013, 11:44:33 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

Thanx...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #11 on: November 14, 2013, 12:53:14 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waaaaaaaaah waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah vb ji
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #12 on: November 14, 2013, 12:58:55 AM »
Reply with quote
Waah , bahut khoob vb saheb . Aapki is haseen ghazal ko kai baar padha aur eik ajab kaif o suroor ka aalam zahn pe chhaya raha . Khubsurat bahr aur khubsurat andaaz e bayaan ne woh sher yaad dila diya  " wo jo hum me tum me qaraar thha , tumhe yaad ho ki na yaad ho ...". Khubsurat Ghazal k liye tah e dil se daad aur mubarakbaad.
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #13 on: November 14, 2013, 01:19:34 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
wah wah wah bohut khub
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #14 on: November 14, 2013, 01:29:47 AM »
Reply with quote
Wah wah wah wah wah wah !!!!! is had se zyada khoobsurat rawaan dilkash aur shaandaar qalaam par beshumaar daad aap ko VB ji !!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:15:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer