Koi puchhe mere baare me to...........

by vipul kumar on February 23, 2011, 04:00:05 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1290 times)
vipul kumar
Guest
Reply with quote
Koi puchhe mere baare me to yu.n kahnaaa.....


Masiiha tha ik shaidaa_ii sa tha..
Bhari bazm me aalam-e-tanhaayi sa tha...
Na wasl tha usko na firaaq uskaa,
Ajiib dilkash tha mijaaz uskaa...

Aankho.n me aansuo.n se tasviire.n banata tha...
Lafjo.n se kaagzo.n ki taqdiire.n banata tha...
Kabhi aanchal, kabhi kaajal to kabhi rang-e-hiina,
Yu.n husn-e-jaana par tahriire.n banata tha...


Dasht-e-khwab ka baashinda,              [Dasht-e-khwab=Desert of Dreams}
Khayaalo.n ka rahnumaa tha wo...
Meri chaahato.n ka rahbar,
Meri hasrato.n ka khudaa tha wo...
Dam-e-iisa thi uski nazme.n,             [Dam-e-iisa=That gives life to dead]
Kalam me masihaa_ii rakhtaa tha...
Use dekhne waale na bhule rastaa fir kabhi,
Yu.n aankho.n me rahnumaa_ii rakhtaa tha...



Koi puchhe mere baare me to yu.n kahnaaa.....

Jo bhi mujhme tum dekhte ho, Sab mujh me aqs hai usi ka...
Ye baate.n meri sher jaisi, Ye lahjaa mera saadgi ka.....

Yu.n bhi kahnaa k haar gayaa hai ab,
Kabhi duniya jiitne nikla tha jo...
Uski hasrate.n kha gayi usi ko...
Har kadam khud hi Rahnumaa tha jo.

Wo raato.n ki syaahi sa gumnaam shayar,
Ret par khayaalo.n ki lakiire.n banata tha...
Apni umr ki sarhad se kahii.n gahraa,
Lafjo.n pe Nazmo.n ki janjiire.n banata tha........

Koi puchhe mere baare me to yu.n kahnaaa.....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Koi Mere Dil Se Puchhe.... by angel4u in Shayri-E-Dard
~~Kabhi Puchhna Ho Mere Baare Mein...~~ by angel4u in Shayri-E-Dard
Koi puchhe mere baare me to................... by vipul kumar in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere Baare by ishu_singh10 in Love Poetry in Punjabi
Ameer Hasan Malik :- Kuch mere Baare mei... by Ameer Hasan Malik in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
nirala
Guest
«Reply #1 on: February 23, 2011, 05:53:23 PM »
Reply with quote
vipul sir ---
pahle to aapko sorry kahta hu kuki mai Facebook par jada nhi jaata.uska bhi ek reason hai--issliye aapko waha nhi parh pata sad5
aapka ye Ghazal beshkimti nagma hai sir. as usual bahut khubsurat aur umda ghazal.
yahan bhi aa jaya kijiye Vipul ji.
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #2 on: February 23, 2011, 06:01:02 PM »
Reply with quote
OK Nirala ji. Main yahi soch raha tha. Wahan sabhi yoindians kam hi jaate hai... Actually problem ye hai k mujhe chaar jagah post karna padta hai. Kuchh din orkut par post nahi kiya to readers ke msg aane lage ki aap plz yahan post kijiye....
I ll try to manage it. Main yahan bhi post kar diya karunga....
Thanks for reading and liking the poem:D
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #3 on: February 23, 2011, 06:03:48 PM »
Reply with quote
Good sharing.....vipulji
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #4 on: February 23, 2011, 06:10:07 PM »
Reply with quote
Shukriya Anaam ji......
Logged
nirala
Guest
«Reply #5 on: February 23, 2011, 06:25:27 PM »
Reply with quote
ohh aapko itni mehnat karni parti hai hmn.
lekin sach kahun ek mobile reader hone ke naate YO me parhne me bahut sahuliyat hoti hai. facebook me side se kuch word cut ho jate hain.
bas kabi kabi ek ghazal post kar dia karen
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #6 on: February 23, 2011, 06:32:19 PM »
Reply with quote
Koi baat nahi... Main puri koshish karunga Mera kalaam aap dosto tak pahuchaane ki....!!
Thanks
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: February 23, 2011, 07:18:17 PM »
Reply with quote
Aadab Janaab !

Masha AllaH aap to janaab bade gehre shayar hai...
Kafi umdaa kalaam se nawaaza hai... Dil shaad kar diyaa
janaab aapki is kalaam ne... Usual Smile

Is khubsurat kalaam par dil se sekdoN daad kabool kijiye..

Likhate rahiye...
Aate rahiye...

Khush O aabaad rahiye.....
Khuda Hafez ... Usual Smile         

Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #8 on: February 23, 2011, 08:57:53 PM »
Reply with quote
Bahut Khub
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #9 on: February 24, 2011, 07:14:54 AM »
Reply with quote
Kya baat hai Vipul saheb.......ek zamane baad Yoindia par koi superb original Nazm padhi hai wah wah maza aa gaya......Yoindia ki is mehfil ko aapki bohat zarurat hai.

Bohat achcha laga aapko padhkar aur ab aage bhi aapko barabar padhne ki tamanna hai isi bahane hum bhi kuch seekh jayege aapse mere bhai......Usual Smile
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #10 on: February 24, 2011, 11:52:34 AM »
Reply with quote
Shukriya Parwaz ji, Rishi ji and Sajid ji......,
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:05:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer