~~"Koi To Mujhse Mohabbat Rakhta"~~by Shally.

by k.shael on September 01, 2009, 09:49:44 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2045 times)
k.shael
Guest
Reply with quote


Jab apno ne na samjha mujhko kabhi to
Begano se kya chahat rakhta…

Sab ke sab nikle hai rakhne kaante chun ke
Koi to mere liye rahat rakhta…

Jaane diya mujhe gammo ki taraf roka nahi
Koi to sawalo ki rukawat rakhta…

Zindagi bhar ke andhere diye tune khuda
Ek din ki to muskurahat rakhta…

Har koi rakhta hai nafrat ka rishta Shally
Kaash Koi to mujhse mohabbat rakhta…

Shally.
[/font]

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"KHUD KO RULAYA MAINE"~~ Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3 4 »
~~"CHEHRE SE PARDA UTHAO ZARA"~~ by Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2 3  All »
~~"Hame Bhi Jaam Pilaya Gaya"~~By Shally. by k.shael in Ghazals « 1 2  All »
~~"Avval-Avval Ki Mohabbat"~~by Shally. by k.shael in Ghazals
"Khwaish" Ko Mohabbat Hai Mohabbat Se.... by khwahish in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
salil2002
Guest
«Reply #1 on: September 01, 2009, 10:01:47 AM »
Reply with quote
bahutt bahut achche shally
khob andaaz hai yeh aapka.......jis tarah se shikayat aapne kari hai waise shayad hi ko aur karta


dil main chubhan toh sabne mehsoos kii
koi aankhon main bhi toh taravat rakhta

yaadon main toh aaj sabk maine dastak di
koi dil main bhi toh mere liye lagawat rakhta

ooth k aa gaye sab maiyyat mein meri faqeer ban k
aakhir jalsa tha koi toh kabra par sajawat rakhta
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: September 01, 2009, 10:11:06 AM »
Reply with quote
Wow Shally ji bahut khoob,really touching and mindblowing creation.
beautifull lines  by Saahil ji.excellent icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #3 on: September 01, 2009, 10:59:16 AM »
Reply with quote
bahut khoob yaar good work ji.

aaye hain sabhi wafa ki muraat bankar.
par koi toh wafa ki surat rakhta.
kharhe hain mehfil mein bhali shaurhat liye
par koi toh dil mein bhali seerat rakhta.

keep writing....
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #4 on: September 01, 2009, 11:15:19 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Shally Ji

Aapki ghazal aur meri is Ghazal me kafi similarity lag rahi hai

DEKHTE RAHE KALESH UMRA BHAR BADE BADE
MIL SAKA NA HAQ HAME KABHI KAHIN BINA LADE

DOSTON KE SAR PE NASIBON NE CHHATRA-CHHAON KI
HUM GHAMON KI DHOOP ME TAPTE RAHE KHADE KHADE

DO DINON KE BAAD WOHI HUMSE LADNE AA GAYE
AAJ JINKE VASTE INSAAF KI KHATIR LADE

UNCHA UTHKE HUMKO HIKARAT SE DEKHATE RAHE
JO HAMARE KANDHON PE RAKH PAAON SIDIYAN CHADHE

ZINDAGI BASAR HUI SANGHARSH HI SANGHARSH ME
MAUT KE LIYE KAHIN SANGHARSH NA KARNA PADE

SARVESH RASTOGI
sarveshrastogi1960@yahoo.co.uk
Phone 9810391523
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: September 02, 2009, 04:53:08 AM »
Reply with quote
bahutt bahut achche shally
khob andaaz hai yeh aapka.......jis tarah se shikayat aapne kari hai waise shayad hi ko aur karta


dil main chubhan toh sabne mehsoos kii
koi aankhon main bhi toh taravat rakhta

yaadon main toh aaj sabk maine dastak di
koi dil main bhi toh mere liye lagawat rakhta

ooth k aa gaye sab maiyyat mein meri faqeer ban k
aakhir jalsa tha koi toh kabra par sajawat rakhta


Shukriya Salil Aur Bahut Khoob Likha hai aapne, zald hi reply dene ki koshish hogi..

Shally.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: September 02, 2009, 06:06:38 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Sarvesh ji beautiful gazal. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #7 on: September 02, 2009, 06:08:30 AM »
Reply with quote
Waah... waah... Shally ji bohot umda, yun hi likhte rahiye..
++++++++
                         -Sayyid Randeri
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #8 on: September 02, 2009, 06:11:02 AM »
Reply with quote
bahut khoob yaar good work ji.

aaye hain sabhi wafa ki muraat bankar.
par koi toh wafa ki surat rakhta.
kharhe hain mehfil mein bhali shaurhat liye
par koi toh dil mein bhali seerat rakhta.

keep writing....

Khoob..  Applause
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #9 on: September 02, 2009, 06:15:50 AM »
Reply with quote

DEKHTE RAHE KALESH UMRA BHAR BADE BADE
MIL SAKA NA HAQ HAME KABHI KAHIN BINA LADE

DOSTON KE SAR PE NASIBON NE CHHATRA-CHHAON KI
HUM GHAMON KI DHOOP ME TAPTE RAHE KHADE KHADE

DO DINON KE BAAD WOHI HUMSE LADNE AA GAYE
AAJ JINKE VASTE INSAAF KI KHATIR LADE

UNCHA UTHKE HUMKO HIKARAT SE DEKHATE RAHE
JO HAMARE KANDHON PE RAKH PAAON SIDIYAN CHADHE


ZINDAGI BASAR HUI SANGHARSH HI SANGHARSH ME
MAUT KE LIYE KAHIN SANGHARSH NA KARNA PADE



Bohot hi khoob rastogi ji.  Applause
Logged
cara
Guest
«Reply #10 on: September 02, 2009, 06:17:34 AM »
Reply with quote


Jab apno ne na samjha mujhko kabhi to
Begano se kya chahat rakhta…

Sab ke sab nikle hai rakhne kaante chun ke
Koi to mere liye rahat rakhta…

Jaane diya mujhe gammo ki taraf roka nahi
Koi to sawalo ki rukawat rakhta…

Zindagi bhar ke andhere diye tune khuda
Ek din ki to muskurahat rakhta…

Har koi rakhta hai nafrat ka rishta Shally
Kaash Koi to mujhse mohabbat rakhta…

Shally.
[/font]


KYA BAAT HAI  SHALLY JI.........

KOI TOH APNA, APNE DIL MEIN MERE LIYE THODI JAGAH RAKHTA,
TOH YEH DIL KAHIN, IDAR UDAR NAHIN BATAKTA.


HAR EK NE DIYE HAI MERE DAMAN MEIN KANTE HI KANTE,
TOH HAM KIS SEY, PHOOLON KI UMEED RAKHTA.

SAB NE TOH DAKELAA HAI MUJHE, GAMMON KE ANDHERON MAIN,
KIS KE NAAM KI BANDHUN PAYAL, APNE PAIRON MAIN.

ZAMAANA TOH BAHUT,MUJHE RULAAKE RAKHTA,
KHUDA BHI KAHAN MUJHE, KHUSHIYAN DETA.

HAR EK KI RAAH MEIN, NAFRAT HI NAFRAT MILI HAI "SHALLY",
KOI EK TOH RAKHTA MOHABBAT KI, MERE LIYE IK CHOTI SI GALLY.


Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2009, 06:29:36 AM »
Reply with quote
BAHUT BADHIYA Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #12 on: September 02, 2009, 07:19:18 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Sarvesh ji beautiful gazal. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut shukriya Madhuwesh Ji
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #13 on: September 02, 2009, 07:21:44 AM »
Reply with quote

Bohot hi khoob rastogi ji.  Applause


Bahut bahut shukriya Randeri Saheb
Aur aapke likhe ashar bhi khub kamaal ke hain,
wah wah, tabiet khush ho gai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: September 02, 2009, 10:52:40 AM »
Reply with quote
Bo0hat Khoob,.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:51:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer