koi toh aaye.......

by ranjana on July 07, 2006, 05:02:29 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2813 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
din veerna thaa ,raat meri sunsaan thee
bojhil si beh rahi kuch hawa bhi aaj thee

dil ko yeh zid thee ki tu aajaye khawabo mein
aur aankho mein tere bina neend na aaye

der tak aankho mein chubati rahi taaro ki roshni
na tum aaye na hi mere pass khawab aaye

sulagta raha mera tan mann teri yaado se
tarsa kiya dil ki kahi se teri ek jhalak mil jaaye

bahut dur se ek awaz deti rahi sada mujhko
koi toh ja ke meri ruthi hui neendo ko mana laaye.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
satane aaye by nishita in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 8 9 »
jab aaye gimaut hami by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Sajjan Chete Aaye Ne by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
* Aaye Hai Hum * by Roja in Shayri-E-Dard
Tu Aaye Na Aaye...........................Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
Shikha12
Guest
«Reply #1 on: July 07, 2006, 06:40:53 AM »
Reply with quote
Wow......Great....Ranju di....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: July 09, 2006, 02:54:54 AM »
Reply with quote
shukriya Shikha dear.........
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #3 on: July 09, 2006, 04:59:54 AM »
Reply with quote
very nice ranjana,superbly done............(i m not gud in ghazals but .........let me try.)

raah chalte hue mudkar dekhta hoon main aksar
ki kabhi to aayega nazar ,mujhe mera humsafar

chalta rehta hoon veerano mai akele akele
sajata rehta hoon dil mai chahat-e-wafa ke mele
rakhta hoon har pal hontho pe muskurahat bhi
ki kabhi to aakar woh ise mere labo se le le

per na aata hai woh ,na aati hai uski khabar.............
raah chalte hue mudkar dekhta hoon main aksar
ki kabhi to aayega nazar ,mujhe mera humsafar

din dhalte hai intzaar mai,raat viraha mai kat-ti hai
chandni ki roshni ab meri nigaah mai chubti hai
lagta hai has rahi hai kudrat naseeb pe mere
uske bina ye zindagi bhi maut ki sada si lagti hai

ban gayi hai ishq-e-khudayi hi jaise meri kabar............
raah chalte hue mudkar dekhta hoon main aksar
ki kabhi to aayega nazar ,mujhe mera humsafar

.................@fahi@....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: July 09, 2006, 08:33:47 AM »
Reply with quote
shukriya and  bhaut khoob fahi ......bahut sunder koshish hai yeh .........main bhi abhi is mein likhna sikh rahi hun............ Usual Smile neeche jo gazal hai yeh meri pehli koshish thee............. Usual Smile

waqt aaj yeh kis mukaam per le aaya hai
mujhe apno ne hi kyu begaana banaya hai

dikhata nahi hai yahan ab koi apna sa kyu koi
ek sanaata sa rishto ke darmeeyaan aaya hai

dikhta hai gum hee gum charro taraf
masoom sa mera dil apne zhakhamo ko dikhane se ghabarya hai

saath chal ke chaar kadam chor diya apno ne
mere apno ko shayad garo.n ne behakayaa hai

dard aaj fir chalak pada hai aankho se paimaane ki tarah
aaj fir yeh dil ko kaun sa hadasa yaad aaya hai

samjhe they hum ki bhul chuke hain sab  kuch
per aaj bhi kyu unke naam ko apne dil ki dharkano mein paaya hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2006, 08:58:25 AM »
Reply with quote
koshish ki kasish se kismat ke kamal ko khila kar kehna ki kabhi kori koshish kara karte the kamal hai. ............bahut achi koshish hai aapki ranjana ..............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: July 09, 2006, 10:26:28 AM »
Reply with quote
shukriya  fahi .......waise is koshish ko samjhane mein time laga....... :wink:  :D ..........likha nahi ...... Puzzled !

zaidagi ke kai haadse hamne hans ke jeeye
har dard ko sehate rahe khamoshi se lab siiye

woh aaynge jarur yeh vishwaas thaa mere dil ko
hum beetaate rahe bas umar yahi ek aas liye

zindagi ab tak jee hai hamne kuch aise
ki hum umarqadi ho jaise umar bhar ke liye

ab dete bhi toh kya dete hai hum tujhko
tu salamat rahe bas yahi dua hai mere dil ki tere liye
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005

View Profile
«Reply #7 on: July 28, 2006, 01:23:48 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
din veerna thaa ,raat meri sunsaan thee
bojhil si beh rahi kuch hawa bhi aaj thee

dil ko yeh zid thee ki tu aajaye khawabo mein
aur aankho mein tere bina neend na aaye

der tak aankho mein chubati rahi taaro ki roshni
na tum aaye na hi mere pass khawab aaye

sulagta raha mera tan mann teri yaado se
tarsa kiya dil ki kahi se teri ek jhalak mil jaaye

bahut dur se ek awaz deti rahi sada mujhko
koi toh ja ke meri ruthi hui neendo ko mana laaye.........

wah ranjana ji bahut khoob........
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005

View Profile
«Reply #8 on: July 28, 2006, 01:25:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
very nice ranjana,superbly done............(i m not gud in ghazals but .........let me try.)

raah chalte hue mudkar dekhta hoon main aksar
ki kabhi to aayega nazar ,mujhe mera humsafar

chalta rehta hoon veerano mai akele akele
sajata rehta hoon dil mai chahat-e-wafa ke mele
rakhta hoon har pal hontho pe muskurahat bhi
ki kabhi to aakar woh ise mere labo se le le

per na aata hai woh ,na aati hai uski khabar.............
raah chalte hue mudkar dekhta hoon main aksar
ki kabhi to aayega nazar ,mujhe mera humsafar

din dhalte hai intzaar mai,raat viraha mai kat-ti hai
chandni ki roshni ab meri nigaah mai chubti hai
lagta hai has rahi hai kudrat naseeb pe mere
uske bina ye zindagi bhi maut ki sada si lagti hai

ban gayi hai ishq-e-khudayi hi jaise meri kabar............
raah chalte hue mudkar dekhta hoon main aksar
ki kabhi to aayega nazar ,mujhe mera humsafar

.................@fahi@....................

wah fahi ji.. dua yahi hai hamari mil jaaye tumhe woh tumhara humsaafar...
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #9 on: July 29, 2006, 06:15:53 AM »
Reply with quote
sukriya ...........per humsafr ki talaash hi meri manzil hai .use paana nahi.
Logged
RamSagar
Guest
«Reply #10 on: July 29, 2006, 07:04:05 AM »
Reply with quote
hey....

purani_jeans_aur_gitar Ji....
(naam bahot lambha kiya hai aapne dost........ye to batao.....ye gitar ko dhun denewale ka naam kya hai........) and ranjana ji.....

kaam se thodi usant mili to aaap logone likhi shayari..gazal padta hoon...
koi koi gazale ....shayari ...bahot achi likhate ho.....
its really good art......sabko nahi aata..

so keep posting .....good thoughts throught shayari......(Jo shayari ka dusara ang bhi mana jata hai.........such shayari never die......)

heyy dosto..kuch jyada hi bol gaya......
muze sher karnewalonse dar lagata hai.......
kahi ulta sher nahi mar de...... :lol:
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: July 30, 2006, 03:41:01 AM »
Reply with quote
shukriya Ramsagar ji ....... Usual Smile

yeh zindagi kuch yun basar ho  rahi hai
jaise koi shama shaam-O-seher jal ke raakh ho rahi hai

jin rasto per chale they tum saath mere
woh raha abhi tak nishaan dhoond rahi hai

faasle itne badenge yeh kabhi socha na thaa
aaj meri har saans jaise ghut ke dam  tod rahi hai

na jaane kab milenge ab hum apni zinadagi se
abhi toh ek aas thee woh bhi meri aankho ke saath nam ho rahi hai

yeh zindagi kuch yun basar ho rahi hai
jaise koi shama shaam-O-seher jal ke raakh ho rahi hai
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #12 on: August 01, 2006, 12:36:44 PM »
Reply with quote
Bahut hi yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai
  Woh tera paas na hona bahut mujh ko rulaata hai
 
  Woh mera teri aankhon ke samandar main utar jaana
  Aur teri muskurahat ke bhanwar main doobte jaana
 
  Teri awaaz ke seher se na nikal paana
  Tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana
 
  Bahut chaaha in guzre hue lamhon ko na sochun
  Na teri yaad mein reh ke tere saath ka sochun
 
  Bhula doon saari yaadon ko ke  jin se Dil tarapta hai
  Ke jin se tais utthti hai ke jin se dard hota hai
 
  Magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai
  Tere hi khuwaab hote hain teri hi baat hoti hai
 
  To tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhula dena
  Teri yaad mein rehna tujhe hi sochte rehna
 
  Tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai
  Woh tera paas na hona bahut mehsoos hota hai

Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: August 02, 2006, 03:52:15 AM »
Reply with quote
apni neendo ko hum wapas bulaaye kaise
jagana hai jinki kismat mein woh khawab aankho mein laaye kasie

tere siva ab koi aur kuch bhi yaad nahi rehata hamko
ab yun hi beqarari ki zinadagi ab hum beetaaye kaise

kar liya hai aaj ishq ki hawao ne rukh fir se idhar ka
ab apne is behakate dil ko hosh mein laaye kaise

kash ek lamaha  mil jaaye mujhe unke saath zindagi jeene ka
par yeh apne dil ki baat ab hum unko baataaye kaise

bana rahe hain sahyad hum rait mehel sa koi
ab apne in sapano ko tutane se bachhaaye kaise

bahte rehte hain har pal meri aankho se asq unke liye
ab apne is dard ko unko hum dikhaaye kasie....
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #14 on: August 04, 2006, 11:05:06 AM »

bahut khoob likha hai aapne ranjana ji

dil ke daryaa mein utar ke dekho
tum muhabbat mujh se kar ke dekho

phir tumhein meri talab ho shaayad
tum kabhi mujh se bichar ke dekho

ishq ka saaghar bohat hai gehraa
Doob kar khud bhi ubhar ke dekho

dunya phir lagne lagegi dilkash
isko tum meri nazar se dekho

pyaar kehte hain kise,zaraa tum
meri baahon mein bikhar ke dekho

mera gham mehsoos karna ho to
meri raahoN se guzar ke dekho

kya asar hota hai berukhii ka?
meri chaahat se mukar ke dekho

jo mohabbat ne hai dekha,tum bhii
uski aankhon mein sanwar ke dekho
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:15:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer