koi toh aaye.......

by ranjana on July 07, 2006, 05:02:29 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2790 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: August 05, 2006, 02:25:35 AM »
Reply with quote
baut khoob samir  .....

tujhse bichar kar hum chain se na reh paayenge
ab toh hum tujhse pyaar kiye bina na reh paayenge

badh chuki hain betabiyaan ab mere dil ki itni
apne dil ka sakun ab teri hi bahaon mein hum paayenge

sulag raha hai jism mera ab tere hi ehasaso se
teri pyaar bhari nazaro mein ab toh kho jaayenge

dekha hai teri aankho mein ek sagar sa hamne gehra
aaj hum toh bas usmein dub ke reh jaayenge

kis kadar pyaar hai hame tujhse yeh ab kaise baataye tujhko
tere bil ab ek pal bhi hum chain se na jee paayenge
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
satane aaye by nishita in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 8 9 »
jab aaye gimaut hami by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Sajjan Chete Aaye Ne by is.love.painfull in Love Poetry in Punjabi
* Aaye Hai Hum * by Roja in Shayri-E-Dard
Tu Aaye Na Aaye...........................Kash by Sanjeev kash in Miscellaneous Shayri
harashmahajan
Guest
«Reply #16 on: September 09, 2006, 02:43:42 AM »
Reply with quote
bahoot hi oomda Ghazal ke ashars hain ranjana ji......kho jaati hain apne aap se ranjish main...hame lagta hai ki  kahin beh na jaayein apne apne ansuo ki lo main ....

Dikhta hai Gum hi Gum charo taraf
kyuin mera dil zakhmon ko dikhane se ghabraya hai.



Quote from: "ranjana"
shukriya and  bhaut khoob fahi ......bahut sunder koshish hai yeh .........main bhi abhi is mein likhna sikh rahi hun............ Usual Smile neeche jo gazal hai yeh meri pehli koshish thee............. Usual Smile



waqt aaj yeh kis mukaam per le aaya hai
mujhe apno ne hi kyu begaana banaya hai

dikhata nahi hai yahan ab koi apna sa kyu koi
ek sanaata sa rishto ke darmeeyaan aaya hai

dikhta hai gum hee gum charro taraf
masoom sa mera dil apne zhakhamo ko dikhane se ghabarya hai

saath chal ke chaar kadam chor diya apno ne
mere apno ko shayad garo.n ne behakayaa hai

dard aaj fir chalak pada hai aankho se paimaane ki tarah
aaj fir yeh dil ko kaun sa hadasa yaad aaya hai

samjhe they hum ki bhul chuke hain sab  kuch
per aaj bhi kyu unke naam ko apne dil ki dharkano mein paaya hai
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 01:20:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer