Koun yuun bahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

by abdbundeli on April 10, 2010, 12:15:28 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1128 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Door koyee gaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!
Aasmaan muskaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Kisliye yeh gul khiley hain baag mein: kis sey kahoon?
Abra rah mahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Jag rahey hain parindey bhi aaj, kiskee chaah mein?
Wasl unhain jagaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Kabhee meiney dooriyoun ko dooriyaan samjhaa na thaa:
Hijra bahut sataa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Baahuoun mein ghir na jaaney kyoun chhitak kar door ho?
Koun yuun bahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Shab andheyree thee, nazar aataa nahin thaa kuchh kaheen;
Shafaq raah dikhaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Saath ley raana'aiyoun ko, yah fazah-e-khushnumaa,
Baar-baar manaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Aaj bhi, gar, mil na paaye, kal na jaaney hon kahaan?
Yaar, 'abd' bulaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

                                 - abdbundeli

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
:: hello darling hello idhar to mudke dekh :: by myheart_ursonly in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
Idhar Bhi Hai Udhar Bhi...(NM) by maya01 in Shayri-E-Dard
Jo tujhey pukaar bulaa rahaa, mujhey kyaa patah, ki, wo koun hai? by abdbundeli in Ghazals « 1 2  All »
Yaadoun mein, goki, uskey siwaa, kab rahaa hai koun? by abdbundeli in Ghazals
Wo idhar hain; udhar rahaa huun main! by abdbundeli in Ghazals
riyaz106
Guest
«Reply #1 on: April 10, 2010, 05:55:46 PM »
Reply with quote
Wah wah Abd ji bahot khoobsurat creation hai ye aapki. Padhkar mazaa aa gaya. Do ashaar aapki nazr hain:

Abr mein chaand niha.n raat hai tanha tanha
Aaj ho jaao ayaa.n raat hai tanha tanha
Koi saaya nahi, dastak nahi, aahat bhi nahi
Dil nahi lagta yahaa.n raat hai tanha tanha
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: April 10, 2010, 06:45:58 PM »
Reply with quote
Door koyee gaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!
Aasmaan muskaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Kisliye yeh gul khiley hain baag mein: kis sey kahoon?
Abra rah mahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Jag rahey hain parindey bhi aaj, kiskee chaah mein?
Wasl unhain jagaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Kabhee meiney dooriyoun ko dooriyaan samjhaa na thaa:
Hijra bahut sataa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Baahuoun mein ghir na jaaney kyoun chhitak kar door ho?
Koun yuun bahkaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Shab andheyree thee, nazar aataa nahin thaa kuchh kaheen;
Shafaq raah dikhaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Saath ley raana'aiyoun ko, yah fazah-e-khushnumaa,
Baar-baar manaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

Aaj bhi, gar, mil na paaye, kal na jaaney hon kahaan?
Yaar, 'abd' bulaa rahaa hai aaj fir: aaou idhar!

                                 - abdbundeli



Bahut khoob likha hai aap ne Abd Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: April 10, 2010, 06:47:03 PM »
Reply with quote
Wah wah Abd ji bahot khoobsurat creation hai ye aapki. Padhkar mazaa aa gaya. Do ashaar aapki nazr hain:

Abr mein chaand niha.n raat hai tanha tanha
Aaj ho jaao ayaa.n raat hai tanha tanha
Koi saaya nahi, dastak nahi, aahat bhi nahi
Dil nahi lagta yahaa.n raat hai tanha tanha


AAp ne bhi achchha likha hai Riyaz Ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: April 11, 2010, 06:20:20 AM »
Reply with quote
Wah wah Abd ji bahot khoobsurat creation hai ye aapki. Padhkar mazaa aa gaya. Do ashaar aapki nazr hain:

Abr mein chaand niha.n raat hai tanha tanha
Aaj ho jaao ayaa.n raat hai tanha tanha
Koi saaya nahi, dastak nahi, aahat bhi nahi
Dil nahi lagta yahaa.n raat hai tanha tanha


Shukriyah riyaz106 ji!
Kyaa baat hai janaab!!
"Aaj ho jaao ayaa.n raat hai tanha tanha"
Baaqayi bahut hee khoob!

Ab mein thahraa ikahattar-saalaa; aur aap hain khaasey noujawaan-e-surkhuroo! Bas itnaa hi farq hai! Waisey, shayaroun kaa dil to martey dam tak noujawaan hi banaa rahtaa hai: yah to aapney bhi zaroor hi sunaa hogaa!!


Baahuoun mein qayaam-e-khwaab tum miley ho mujhey:
Shafaq sey shaam huyi hai, mizaaj hai taazah!
Raat aaney ko hai, khushboo-e-badan lahree hai;
Neend aaye to kahoongaa, ki, dobaarah aajaa!!

                       - abd bundeli

  

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: April 11, 2010, 06:25:36 AM »
Reply with quote
Bahut khoob likha hai aap ne Abd Ji

Thanks Rajesh ji!

      - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: April 11, 2010, 06:29:02 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Abd Babu.....
Aur Riyaz Bhai Aapke Ashaar Bhi Achche Rahe....

Yun Hi Bazm Ko Roshan Karte Rahiye...

Khush Rahiye...

~Shihab~


Thanks shihab ji! Aap bhi 'sapariwaar' tandurust rahiye, khush rahiye!

                                                 - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:33:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer