KOYEE KINARE LE CHALE.............................MKV

by mkv on May 24, 2013, 08:43:08 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2397 times)
mkv
Guest
Reply with quote
Ab to munsif bhi pareshaN haal mera kya karey
Aashiqi kee de saza ya chhor de yuN hi mujhe

Meri fard-e-jurm ki tahreer aakhir hai kahaN
Ark peshani pe hai farmaan aakhir kya karey

Shama ka maqsad juda hai log chaahe kuch kaheN
Roop badle laakh isne aaj bhi ghar ghar jaley

Nakhuda ne bhi kinara kar liya kashtee se ab
Ab maiN huN majhdhaar meN koyee kinare le chale

Ho musarrat ya ho gham, fikr-e-qanaat wasf hai
Aalm-e-maanee huaa, imaan-o-deeN haasil tere

MuddatoN ki tishnagee maykhana le aayee ‘Chiragh’
MaykashoN ke beech baitha jitna chaahe tuu piye


Musarrat - Happiness
fikr-e-qanaat - satisfaction
wasf - character, quality
aalm-e-maanee - spiritual
Nakhuda - sailor
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #1 on: May 24, 2013, 09:01:23 PM »
Reply with quote
Ab to munsif bhi pareshaN haal mera kya karey
Aashiqi kee de saza ya chor de yuN hi mujhe
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Meri fard-e-jurm ki tahreer aakhir hai kahaN
Ark peshani pe hai farmaan aakhir kya karey
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Shama ka maqsad juda hai log chaahe kuch kaheN
Roop badle laakh isne aaj bhi ghar ghar jaley
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Nakhuda ne bhi kinara kar liya kashtee se ab
Ab maiN huN majhdhaar meN koyee kinare le chale
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Ho musarrat ya ho gham, fikre-qanaat wasf hai
Aalme-maanee huaa, imaan-o-deeN haasil tere

MuddatoN ki tishnagee maykhana le aayee ‘Chiragh’
MaykashoN ke beech baitha jitna chaahe tuu piye


Mukesh bhai, aap to ghazab dhaa rahe haiN aajkal. Ye aapki lagaataar doosri ghazal hai jispe maiN soch meiN pad gaya ki kaise taa'reef karuN. Ek se badh kar ek she'r aur kya andaaz hai kehne ka. Laajwaaaaab aur bemissaaaaaaaaal. Meri dheroN mubarakbaad aur ek Rau bhi qubool kareiN meri taraf se.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: May 24, 2013, 09:20:20 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Awesome mukesh ji. har sher khoob hai kiski tareef karoon aur kise chhod doon. bas tareef ke liye alfaaz nahi mil rahe. bahut bahut mubarak ho aapko.
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #3 on: May 24, 2013, 10:03:37 PM »
Reply with quote
WAAH WAAH WAAH MUKESH JI...
BAHUT BAHUT BAHUT UMDAA.. BAHUT KHOOB... Usual Smile

Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: May 24, 2013, 10:42:54 PM »
Reply with quote
Ab to munsif bhi pareshaN haal mera kya karey
Aashiqi kee de saza ya chor de yuN hi mujhe

Meri fard-e-jurm ki tahreer aakhir hai kahaN
Ark peshani pe hai farmaan aakhir kya karey

Shama ka maqsad juda hai log chaahe kuch kaheN
Roop badle laakh isne aaj bhi ghar ghar jaley

Nakhuda ne bhi kinara kar liya kashtee se ab
Ab maiN huN majhdhaar meN koyee kinare le chale

Ho musarrat ya ho gham, fikre-qanaat wasf hai
Aalme-maanee huaa, imaan-o-deeN haasil tere

MuddatoN ki tishnagee maykhana le aayee ‘Chiragh’
MaykashoN ke beech baitha jitna chaahe tuu piye



 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Khooob Mukesh Ji..Bahut Hi khoobsurat Ghazal..

Aur Har Ashaar Mein Gehrai Nazar Aayi..
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #5 on: May 24, 2013, 10:50:53 PM »
Reply with quote
Ab to munsif bhi pareshaN haal mera kya karey
Aashiqi kee de saza ya chhor de yuN hi mujhe

Meri fard-e-jurm ki tahreer aakhir hai kahaN
Ark peshani pe hai farmaan aakhir kya karey

Shama ka maqsad juda hai log chaahe kuch kaheN
Roop badle laakh isne aaj bhi ghar ghar jaley

Nakhuda ne bhi kinara kar liya kashtee se ab
Ab maiN huN majhdhaar meN koyee kinare le chale

Ho musarrat ya ho gham, fikr-e-qanaat wasf hai
Aalm-e-maanee huaa, imaan-o-deeN haasil tere

MuddatoN ki tishnagee maykhana le aayee ‘Chiragh’
MaykashoN ke beech baitha jitna chaahe tuu piye



with rau to this gr8888888888888888 ghazal,sir
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #6 on: May 24, 2013, 10:56:34 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob Mukesh ji ... Dheron daad
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: May 24, 2013, 11:35:15 PM »
Reply with quote

Mukesh ji, Kya kahoon . I am really stunned - ye sanjeeda kalaam ,
ye Khaalis Urdu ghazal ki zubaan , ye  khubsurat andaaz e bayaan .
I will just  say  'Hats off'  &  'Keep it up' . Lots  and lots  of
blessings .
Logged
Bhupinder Kaur
Guest
«Reply #8 on: May 25, 2013, 12:24:41 AM »
Reply with quote
Its Simply Superb.......
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
laaiba
Guest
«Reply #9 on: May 25, 2013, 01:32:54 AM »
Reply with quote
waa waa mkv ji ,........bohat bohat c daad,..........
Logged
mkv
Guest
«Reply #10 on: May 25, 2013, 10:07:04 AM »
Reply with quote

Mukesh bhai, aap to ghazab dhaa rahe haiN aajkal. Ye aapki lagaataar doosri ghazal hai jispe maiN soch meiN pad gaya ki kaise taa'reef karuN. Ek se badh kar ek she'r aur kya andaaz hai kehne ka. Laajwaaaaab aur bemissaaaaaaaaal. Meri dheroN mubarakbaad aur ek Rau bhi qubool kareiN meri taraf se.
Shukriya iftakhar bhai..
aapki purzor, intehaai taareef ne dil ko ghazab ka sukoon diya hi.
aapse guzarish hai ki mistakes ko bhi point out karte rahe..
khush rahiye
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: May 25, 2013, 01:22:31 PM »
Reply with quote

Mukesh Ji,

Waaah bahut khoob...din pratidin
aapke kalaam men nikhaar aata dekhkar
bahut achchha lagta hai...

Dili mubaarakbaad aur bhavishya ke
liye shubhkaamnaayen....

Raqeeb

Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #12 on: May 25, 2013, 02:07:59 PM »
Reply with quote
dir ji behtareen, shayad aapki padhi sabse ahchi ghazal lagi ye mujhe, waise bhi gair muraddaf ghazaleN mujhe thodi jyada pasand haiN, kyuNki unme rawaangi laane me thodi mushkil hoti hai, par aapne bakhoobi nibhaaya hai ise, U made my day... Rau banta hai par sorry abhi available nahiN hai.... umeed karta huN aap apne kalam i roshani se yuNhi mehfil ko roshan karte raheNge...
Logged
Tuhina
Guest
«Reply #13 on: May 25, 2013, 03:57:33 PM »
Reply with quote
Awesome   mukesh  bhai .....  Very   nice   ghazal ...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: May 25, 2013, 04:46:38 PM »
Reply with quote

MKV Jee Aadaab...!


WaaH waaH waaH janab waaH kya kahne behad khooob aur behad umdaa kalaam kahi hai aapne... Bade hi gehre aur pur asar ashaaroN se sajaya aapne is kalaam ko... Usual Smile


Har ashaar qabil e tareef hai janab... gazab ki gehrai aur dilfareb andaaz e bayaaN raha aapka... Usual Smile


Is umdaa kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile
Likhate rahiye.... aur aise hi umdaa kalaamoN se bazm ko roshan karte rahiye... Usual Smile

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile




Ab to munsif bhi pareshaN haal mera kya karey
Aashiqi kee de saza ya chhor de yuN hi mujhe


WaaH bahut umdaa Matla kaha hai janab daad daad daad...


Meri fard-e-jurm ki tahreer aakhir hai kahaN
Ark peshani pe hai farmaan aakhir kya karey


Bahut khoob achcha sher hai daad...


Shama ka maqsad juda hai log chaahe kuch kaheN
Roop badle laakh isne aaj bhi ghar ghar jaley


Bahut umdaa janab bahut khoob... Kafi khayaaloN ke ghode daudaye haiN is dafa Usual Smile


Nakhuda ne bhi kinara kar liya kashtee se ab
Ab maiN huN majhdhaar meN koyee kinare le chale


Bahut khoob...


Ho musarrat ya ho gham, fikr-e-qanaat wasf hai
Aalm-e-maanee huaa, imaan-o-deeN haasil tere


Achcha sher hai janab daad...


MuddatoN ki tishnagee maykhana le aayee ‘Chiragh’
MaykashoN ke beech baitha jitna chaahe tuu piye


Bahut khoob achcha maqta hai daad....




Musarrat - Happiness
fikr-e-qanaat - satisfaction
wasf - character, quality
aalm-e-maanee - spiritual
Nakhuda - sailor
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 13, 2025, 11:24:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer