Kuchh kareyn: aap bhi idhar aayen!

by abdbundeli on February 07, 2013, 11:42:44 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 824 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Kaash, wo lout apney ghar aayen!
Kaash, yeh ghaaw-o-qasb bhar jaayen!!

Roshnee mein chhupey hain woh, yaa Rab!
Deed-e-asahaab kahaan sey laayen?

Ham hain sahrey mein, dilrubaa rah mein:
Durd-e-aab-e-baqaa kahaan paayen?

Aasmaan chup hai: aap kyoun chup hain;
Haaziree mein hun, kuchh to farmaayen?

Kaash unkee mahaktee zulfoun key
Narm saayey mein abra itraayen!!

Zeest key dar sey hashra tak, kaisey
Ham khayaaloun ko roz bahlaayen?

Koun kousar kaa nahaayaa hai yahaan?
Ham mukhaatib hain, ab kahaan jaayen?

Ham tah-e-jaw key raahrou hain, ‘abd’,
Kuchh kareyn: aap bhi idhar aayen!!

                - abd bundeli



Logged
aqsh
Guest
«Reply #1 on: February 07, 2013, 11:53:05 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah. bahut khoob. har ek sher bahut khoob rahe. dili mubarakbad ko qubool kare
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: February 07, 2013, 01:12:58 PM »
Reply with quote
Abd Sahaab Aadaab!


Kia kahne janab, badi hi gehre aur umdaa kalaam kahi hai aapne....
Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe... Usual Smile

Is khoob kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul
kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye.. bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
suman59
Guest
«Reply #3 on: February 07, 2013, 01:17:06 PM »
Reply with quote
Kaash, wo lout apney ghar aayen!
Kaash, yeh ghaaw-o-qasb bhar jaayen!!

Roshnee mein chhupey hain woh, yaa Rab!
Deed-e-asahaab kahaan sey laayen?

Ham hain sahrey mein, dilrubaa rah mein:
Durd-e-aab-e-baqaa kahaan paayen?

Aasmaan chup hai: aap kyoun chup hain;
Haaziree mein hun, kuchh to farmaayen?

Kaash unkee mahaktee zulfoun key
Narm saayey mein abra itraayen!!

Zeest key dar sey hashra tak, kaisey
Ham khayaaloun ko roz bahlaayen?

Koun kousar kaa nahaayaa hai yahaan?
Ham mukhaatib hain, ab kahaan jaayen?

Ham tah-e-jaw key raahrou hain, ‘abd’,
Kuchh kareyn: aap bhi idhar aayen!!

                - abd bundeli



Wah wah abd bundeli jee.. aapne bahut bahut acha likha hai. Aapka kuch purane kalam bi maine pada aur bahut acha likhte hai. aapka likhne ka andaz alag hai. bahut bahut daad
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: February 07, 2013, 03:01:20 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: February 07, 2013, 04:27:34 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd saheb.
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: February 07, 2013, 04:46:27 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Sir
Aasmaan chup hai: aap kyoun chup hain;
Haaziree mein hun, kuchh to farmaayen?

Kaash unkee mahaktee zulfoun key
Narm saayey mein abra itraayen!!

Zeest key dar sey hashra tak,
kaisey Ham khayaaloun ko roz bahlaayen? Applause

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: February 08, 2013, 05:25:34 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah. bahut khoob. har ek sher bahut khoob rahe. dili mubarakbad ko qubool kare

Bahut-bahut shukriyah, Aqsh ji!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: February 08, 2013, 05:27:07 AM »
Reply with quote
Abd Sahaab Aadaab!
Kia kahne janab, badi hi gehre aur umdaa kalaam kahi hai aapne....
Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe... Usual Smile
Is khoob kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul
kijiye... Usual Smile
Likhate rahiye.. bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile


Bahut-bahut shukriyah, 'ParwaaZ' ji! Namaskaar!

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: February 08, 2013, 05:28:14 AM »
Reply with quote
Wah wah abd bundeli jee.. aapne bahut bahut acha likha hai. Aapka kuch purane kalam bi maine pada aur bahut acha likhte hai. aapka likhne ka andaz alag hai. bahut bahut daad

Bahut-bahut shukriyah, Suman ji!

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: February 08, 2013, 05:29:01 AM »
Reply with quote
bahut khoob

Bahut-bahut shukriyah, Saini ji!

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: February 08, 2013, 05:30:07 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd saheb.

Bahut-bahut shukriyah, Iftakhar ji!

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #12 on: February 08, 2013, 05:31:11 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Sir
Aasmaan chup hai: aap kyoun chup hain;
Haaziree mein hun, kuchh to farmaayen?

Kaash unkee mahaktee zulfoun key
Narm saayey mein abra itraayen!!

Zeest key dar sey hashra tak,
kaisey Ham khayaaloun ko roz bahlaayen? Applause


Bahut-bahut shukriyah, Mukesh ji!

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: February 10, 2013, 06:22:20 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: February 10, 2013, 07:58:08 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause

Shukriyah, 'Hriday' ji!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:39:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer