Kya buri shaiy hai daam ki khushboo.....Sadiq Rizvi

by Sadiq Rizvi on January 08, 2012, 01:40:18 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 975 times)
Sadiq Rizvi
Guest
Reply with quote
Zulf-e-mushkeeN se shaam ki khushboo
Huyee mahsoos kaam ki khushboo

Rooh ko aatey jaatey milti hai
Zindagi ke pyaam ki khushboo

Na koi nama tha na koi pyaam
Namaber laaya naam ki khushboo

Rahnumai ka kaam karti hai
Unke jaye-Qayaam ki khushboo

Dare-maikhana per khada hai Shaikh
Jaisey leta ho jaam ki khushboo

SaaNs latey hi kaash mil jaati
Muddaaye-kalam ki khushboo

Dosti zahr mein huyee tabdeel
Kya buri shaiy hai daam ki khushboo

Ahedey-maazi ki yaad hai 'Sadiq'
sookhey pattoN mein aam ki khushboo

.........................Sadiq Rizvi
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #1 on: January 08, 2012, 01:44:17 PM »
Reply with quote
Zulf-e-mushkeeN se shaam ki khushboo
Huyee mahsoos kaam ki khushboo

Rooh ko aatey jaatey milti hai
Zindagi ke pyaam ki khushboo

Na koi nama tha na koi pyaam
Namaber laaya naam ki khushboo

Rahnumai ka kaam karti hai
Unke jaye-Qayaam ki khushboo

Dare-maikhana per khada hai Shaikh
Jaisey leta ho jaam ki khushboo


SaaNs latey hi kaash mil jaati
Muddaaye-kalam ki khushboo

Dosti zahr mein huyee tabdeel
Kya buri shaiy hai daam ki khushboo

Ahedey-maazi ki yaad hai 'Sadiq'
sookhey pattoN mein aam ki khushboo


.........................Sadiq Rizvi


good one............!
Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ratinvirgo
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2012, 02:28:30 PM »
Reply with quote
 Applause
 wah wah.....bahut khoob sadiq sahab...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2012, 07:56:07 PM »
Reply with quote
Bahut khoob,Sadiq saheb.Maqte ne waqai maazi ki yaad dilaa dee :
 
    Lucknow   yaad   aa   gaya   Humko ,
    Har taraf bikhri  Aam  ki  khushboo

                                  -Hasan
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2012, 08:30:55 PM »
Reply with quote
Hasam Saheb aadaab
nwazish karm shukraa
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #5 on: January 08, 2012, 10:54:55 PM »
Reply with quote
Zulf-e-mushkeeN se shaam ki khushboo
Huyee mahsoos kaam ki khushboo

Rooh ko aatey jaatey milti hai
Zindagi ke pyaam ki khushboo

Na koi nama tha na koi pyaam
Namaber laaya naam ki khushboo

Rahnumai ka kaam karti hai
Unke jaye-Qayaam ki khushboo

Dare-maikhana per khada hai Shaikh
Jaisey leta ho jaam ki khushboo

SaaNs latey hi kaash mil jaati
Muddaaye-kalam ki khushboo

Dosti zahr mein huyee tabdeel
Kya buri shaiy hai daam ki khushboo

Ahedey-maazi ki yaad hai 'Sadiq'
sookhey pattoN mein aam ki khushboo

.........................Sadiq Rizvi

Har jumla duba qabil-e daad ki khusboo men
Har khayal gehra qabil-e yaad ki mehk se

Waah! Wah!... Bahut ache Sadiq Sahab.. bahot khoob..

Abul aSad


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: January 09, 2012, 05:41:18 AM »
Reply with quote
aapke kalaam ki khushboo se tar hogayaa hoon baaut bahu mubaarakbaad
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: January 09, 2012, 07:07:02 AM »
Reply with quote
bht achi ghazal hai janaab
daad daad
Logged
mkv
Guest
«Reply #8 on: January 09, 2012, 07:54:17 AM »
Reply with quote
Zulf-e-mushkeeN se shaam ki khushboo
Huyee mahsoos kaam ki khushboo Applause Applause

Rooh ko aatey jaatey milti hai
Zindagi ke pyaam ki khushboo Applause Applause

Na koi nama tha na koi pyaam
Namaber laaya naam ki khushboo Applause Applause

Rahnumai ka kaam karti hai
Unke jaye-Qayaam ki khushboo Applause Applause

Dare-maikhana per khada hai Shaikh
Jaisey leta ho jaam ki khushboo Applause Applause

SaaNs latey hi kaash mil jaati
Muddaaye-kalam ki khushboo Applause Applause

Dosti zahr mein huyee tabdeel
Kya buri shaiy hai daam ki khushboo Applause Applause Applause

Ahedey-maazi ki yaad hai 'Sadiq'
sookhey pattoN mein aam ki khushboo Applause Applause

.........................Sadiq Rizvi

Vaah vaah Sadiq Sir
masoomiyat aur sanjeedgi se bhari is ghajal ke kya kahne.. Har sher laajavaab hai..
duayeN aapke liye..Applause Applause
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #9 on: January 09, 2012, 12:36:21 PM »
Reply with quote
Daad se shaad ho ke 'Sadiq' ne
Payee hai KHUSH-KALAAM KI KHUSHBOO
mkv saheb Abul Asad saheb Sirfira saheb adil bechain saheb
Dr. Saini saheb & Mr.ratin virgo ka shukr-guzaar hoon jinhoN ne apna qeemti waqtt meri ghazal pe sirf kiya.Thank you.
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: January 15, 2012, 08:24:08 PM »
Reply with quote
azeezam sadiq rizvi sahab ,, Assalamwalekum ..

Apki ghazal ne der tak apne hisar me rakha ..mai kaafi mustafeed howa ..Go ke apki ghazal shahkaar hai ...Apse Ahle ilm hazrat se bazm ki tajjaliyat me mazeed izafa hua hai ..Meri dad khubool kare.N ...Taham eak chiz apse puchni so puch raha hun ..Khiyal na kare.N

Dosti zahr mein huyee tabdeel
Kya buri shaiy hai daam ki khushboo

Lafz tabdeel ka wazn FELUN Hai ke MAFOOL..Bara-e-maherbani Batayen ..Chunke jahan tak maine parha hai Iska wazn mafhool hi hai ...Ap bahetar bata sakte hainm ...Eak baar phir meri dad khubool karen..

Na koi nama tha na koi pyaam ? is misre lafz nama hai ke naam...IS sher ko nasr me dekhne par khuch ye guma ho raha hai ke Misra-e-oola me lafz tha Fel-e-maazi hai jabke misra -e-saani lafz laaya Maujoda halaat pe dalalat karta hai ...bara-e-maherbani rahenumai farhm kar sikhne ka mauqa de.N,,,,,,,Allah Apko khush rakhe ....

Talib-e-Ilm

Qadeertoopchi
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: January 18, 2012, 12:59:12 PM »
Reply with quote

Sadiq Sahab,

Waah waah kya kahney aapke kalaam
kee khushboo ne aakhir bula hee liya
liya yoindia par.

Dili mubaarakbaad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #12 on: January 18, 2012, 06:13:39 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb salamat raho

Dosti zahr mein huyee tabdeel
(Fayelatun mufayeln fa1lun ke wazan per Yeh Ghazal Bahrey-khafeef  hai iss liye harfe-sakin jo gira diya gaye hai uske saath tabdeel failun hai jo ki urooz ki sharah mein jayez hai

Doosra Aitraaz

Na koi nama tha na koi pyaam
Namaber laaya naam ki khushboo
Misra-e-oola me lafz THA Fel-e-maazi hai ke" aapne apne aamad ki khaber to naheeN dee thee (haal mein)phir aap achanak  kaise waarid hogaye" Iska matlab hai Past ki baat present mein ho  rahi hai.Mera khayaal hai ke iss example se aap satisfy ho gaye honge.
Khuda hafiz
Logged
Qadeer Toopchi
Guest
«Reply #13 on: January 18, 2012, 06:40:53 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb salamat raho

Dosti zahr mein huyee tabdeel
(Fayelatun mufayeln fa1lun ke wazan per Yeh Ghazal Bahrey-khafeef  hai iss liye harfe-sakin jo gira diya gaye hai uske saath tabdeel failun hai jo ki urooz ki sharah mein jayez hai

Doosra Aitraaz

Na koi nama tha na koi pyaam
Namaber laaya naam ki khushboo
Misra-e-oola me lafz THA Fel-e-maazi hai ke" aapne apne aamad ki khaber to naheeN dee thee (haal mein)phir aap achanak  kaise waarid hogaye" Iska matlab hai Past ki baat present mein ho  rahi hai.Mera khayaal hai ke iss example se aap satisfy ho gaye honge.
Khuda hafiz



Mahutram Sadiq Rizvi sahab Tasleemat ,,Apka khat Masool howa go ke massarat ka baaic bana Jazak Allah  ,,

Shukriyah Apne rahe raushnai ata ki ...

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #14 on: January 18, 2012, 07:23:12 PM »
Reply with quote
Qadeer saheb

Aap ko umr meri lagjaye
Bus yahi har ghadi dua hai meri

Salamat-o-dilshaad rahiye
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:08:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer