KYA HUA ISHQ MEIN HUM JAAN SE JAATE JAATE (Waquif Ansari)

by waquif ansari on October 21, 2009, 09:35:22 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2847 times)
waquif ansari
Guest
Reply with quote
Tashnagi aap zara aur baDhaate jaate
Kya hua ishq meiN hum jaan se jaate jaate

Aarzoo hai ke Khudi, hosh gaNwaate jaate
AmbareeN zulfoN ki Khushboo meiN nahaate jaate

MaiN to ik qatra-e-be-aab paRaa hooN kab se
Ik nazar Daal ke dariya hi banaate jaate

Thahraa paani hooN kisi jheel ka maiN sadiyoN se
Koi patthar hi sahi phaiNkiye aate jaate

Is tarah baiThna achchha nahiN dariya ke qareeb
Naqsh paani pe koi aap banaate jaate

Ghup aNdhera hai bahut door talak zehnoN meiN
Kuchh nayee shamyeN KhayaaloN ki jalaate jaate

Silsila toRna achchha to nahiN tha paihum
Rasme-duniya hi sahi aap nibhaate jaate

Shahr saara hi ta-affun se bhara rahta hai
Har Taraf dekhiye keena hi hai aate jaate

Jeena mushkil tha bahut be-saro-saamaani meiN
“Phir bhi ik Umr lagi jaan se jaate jaate

Waqt munSif hai zara sabr karo ai logo!
Is ki tashheer hai har gaam pe aate jaate

Maara maara hi phira karta hai har ja “WAQUIF”
Hum ne dekha hai use Khaak uRaate jaate
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #1 on: October 22, 2009, 12:00:03 AM »
Reply with quote
Tashnagi aur zara aap baDhaate jaate

bahut hi umda paishkash ,,i am speechless ,,waquif sahab aisi hi ghazal ki aage bhi umeed hai,,masha Allah ,subhan Allah ,jo mujhe sub se zyada pasand aae unko meine select kardiya hai,,bahoot khoob,,ek guzarish hai aap se ,,jahaan jahaan aap ne kathhin lafz istemaal kiye hain ,,wahaan bara-e-meherbani unke maani likhdein to sher samjhne main asaani hogi ,,any ways its beautiful creation.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #2 on: October 22, 2009, 11:04:45 AM »
Reply with quote
Aapki muhabbatoN ka bahut bahut shukriya Nazar Ghouri Sahib. Aap ki khwahish ko madde-nazar rakhte hue maiN yahaN kuchh alfaazoN ki meanings darj kar raha hooN:
Tashnagi: Pyaas
AmbareeN: Khushboodar
Paihum: baar baar, pai-dar-pai, matwaatir
Ta-affun: SaDandh, badboo
Keena: Jalan, hasad, adaawat, dushmani
Be-saro-saamaani: Bina kisi cheez ke, ghareebi, etc.
Munsif: Judge, faisla karne waala
Tashheer: Advertisement, aagaahi, khabar, etc.
Gaam: Jagah, place

MaiN samajhta hooN ki ab meri is ghazal ko aaplog aur sarahenge.
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #3 on: October 22, 2009, 08:15:41 PM »
Reply with quote
shukriya wa
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #4 on: October 22, 2009, 08:18:19 PM »
Reply with quote
shukriya waquif ansari sahab,,aap ne jo hamari guzarish ka lehaz kiya,,humne kal bhi aap se guzarish ki thi aur aaj bhi wohi guzarish hai k aise hi ghazal ek aur hojae,
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: January 06, 2010, 09:27:46 PM »
Reply with quote
Bahut sundar peshkash hai Ansari JI
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #6 on: January 07, 2010, 10:51:01 AM »
Reply with quote
Dear Rajesh Harish aap ki muhabbatoN ka shukriya. Isi tarah hausla baDhate rahiye aur duaaoN meiN yaad rakhiye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #7 on: January 07, 2010, 12:16:30 PM »
Reply with quote
Wah wah Waqif Sahab, behad shandaar, bamaani aur murassa ghazal kahi hai aapne. Aapki agli ghazal ka interzar rahega.

Tashnagi aur zara aap baDhaate jaate
Kya hua ishq meiN hum jaan se jaate jaate

Aarzoo hai ke Khudi, hosh gaNwaate jaate
AmbareeN zulfoN ki Khushboo meiN nahaate jaate

MaiN to ik qatra-e-be-aab paRaa hooN kab se
Ik nazar Daal ke dariya hi banaate jaate

Thahraa paani hooN kisi jheel ka maiN sadiyoN se
Koi patthar hi sahi phaiNkiye aate jaate

Is tarah baiThna achchha nahiN dariya ke qareeb
Naqsh paani pe koi aap banaate jaate

Ghup aNdhera hai bahut door talak zehnoN meiN
Kuchh nayee shamyeN KhayaaloN ki jalaate jaate

Silsila toRna achchha to nahiN tha paihum
Rasme-duniya hi sahi aap nibhaate jaate

Shahr saara hi ta-affun se bhara rahta hai
Har Taraf dekhiye keena hi hai aate jaate

Jeena mushkil tha bahut be-saro-saamaani meiN
“Phir bhi ik Umr lagi jaan se jaate jaate

Waqt munSif hai zara sabr karo ai logo!
Is ki tashheer hai har gaam pe aate jaate

Maara maara hi phira karta hai har ja “WAQUIF”
Hum ne dekha hai use Khaak uRaate jaate
Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: January 29, 2010, 04:13:46 AM »
Reply with quote
Waquif sahab behad haseen alfazoN ki adayagi ki hai aapne..Bahut khub.. Applause Applause
Isi per Raahat Indoori Sahab ka aik sher arz hai...

Haath khali hai tere shahar se jaate jaate,
Jaan hoti to meri jaan lutate jaate.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: January 29, 2010, 04:15:27 AM »

«Reply #10 on: January 29, 2010, 09:32:20 AM »
Reply with quote
Waquif sahab behad haseen alfazoN ki adayagi ki hai aapne..Bahut khub.. Applause Applause
Isi per Raahat Indoori Sahab ka aik sher arz hai...

Haath khali hai tere shahar se jaate jaate,
Jaan hoti to meri jaan lutate jaate.

Dear drpandey ji! shukriya aapka.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #11 on: January 29, 2010, 09:51:32 AM »
Reply with quote
Ansari Sahab aapki is ghazal ko baar baar padhne ka man kar raha hai...sochta hun ise pee jaaun...isi liye fir se reply bhej reah hun...Arz kia hai..

Aankh madhosh hai is ghazal ko lakhte lakhte,
Rooh khamoos hai is behar mein bahte bahte.!

Shabd baqui nahin ab kosh mein likhte likhte,
Ru-baruN hota to soo jata main sunte sunte.!!

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: January 29, 2010, 10:26:29 AM »
Reply with quote
Wah kya baat Pandey ji. Zore qalam badhta hi jaa raha hai. Bahut colours ki ink hai aapki qalam mein. Badi khushi ki baat.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #13 on: January 29, 2010, 11:29:37 AM »
Reply with quote
Riyaj Sahab Shayad Aapki umeedon per khara utar sakun................

Cordial Regards
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #14 on: February 03, 2010, 08:57:25 AM »
Reply with quote
Riyaj Sahab Shayad Aapki umeedon per khara utar sakun................

Cordial Regards
Janab-e-Man Riyaz Saheb aur Pandey Saheb! Aap donoN hazrat ne apne pur-khulus jazbaat-o-ehsaasaat ko haseen lafzoN ka jama pehnaaya, in haseen alfaazoN ke liye aap donoN hazaraat ka bahut bahut shukriya. Isi tarah hausla-afzaayee karte rahiya.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:40:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer