Kya Woh Mera Na Tha

by Zamir Ka Qaidi on October 12, 2006, 08:08:56 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1730 times)
Zamir Ka Qaidi
Guest
Reply with quote
faslay aese bhi hongay kabhi soocha na tha
samnay betha tha woh per woh mera na tha

woh to khushbo ki terha phaila tha merey chaar suu
mey ussey mahssuus ker sakta tha per chuu sakta na tha

raat bher siskion se aahat kaan mey aati rahi meray
jhaankna chaahta tha gali may per jhaank sakta na tha

aaj us ne apnay dard bhi alag ker liye mujh say
may rona chahta tu tha magar may ro sakta na tha

ye sabhi weraaniya ussi ki judaiye se theen
aankh namkeen tu hoween theen magar namak ka bahana na tha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Woh mera baaghbaan!! by armaan in Shayri-E-Dard
Mera Sapna Mera Mehboob (Faree) by Saba_Saba in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERA DESH....MERA JAHAN..!!!!!!!! by badnaam_shayar in Shairy-E-Watan
mera dil by anupam saxena in Shayri-E-Dard
touta dil mera by rani mahrani in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #1 on: October 12, 2006, 08:55:59 PM »
Reply with quote
Aap Log Reply krtay Jaoo

Hum Likhtay Rahain Gay

Thank You Gum
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #2 on: October 13, 2006, 07:48:48 PM »
Reply with quote
Logo ko na janay kiya hota jarha hay
Har koi apna zameer khota jarha hay
Koi bhi to kisee ka nahi raha aab
Bhai, bhai say bicharta jarha hay
Aziz aik doosray say bhagnay lagay
Nafrat ka ahsas mohabat ko nigalta jarha hay
Kushiyan janay kyun rooth si gai hein"~Qaidi"
Har koi ghum mein doob kar pighalta jarha hay
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #3 on: October 14, 2006, 10:47:58 PM »
Reply with quote
Sochta hu tujhey ab k baras Kya bheju
Jan bheju tujhey ya dil ka dharakna bhju

Maang lu apney KHUDA se koi lamha aisa
Jis par tu Aa kar teher jaey woh rasta bheju

Sakht sardi main Muhabbat ki samo dun Garmi
Aur garma main khanak mOsam Aisa bheju

Chand rat ka fasu ab k tere nam rahe
Din ki hiddat k liyey shajar ghana sa bheju

Tishangi ab k baras tujhse buhat dur rahey
Pyaas umron ki bujha de woh Maseeha bheju

Bhej du tujhko KHUDA ki KHUDAii sari
Ho jo Khuwahish tere Dil ki woh tamanna bheju

Tu chaley gar tou Chiraghaan sa terey sath chale
Dil se mjo nikle uska khazeena bheju
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #4 on: October 15, 2006, 09:48:13 PM »
Reply with quote
Woh Kesa Shaks Hay Kay Her Rooz Saza Deta Hay
Phir Hansata Hay Woh Itna Kay Sab Bhula Deta Hay

Kabhi Jo Roo Dey To Mujh Ko Bhi Bhool Jata Hay
Aur Phir Bhool Kay Mujh Ko Bhi Rula Deta Hay

Humaray Pas Na Aanay Ke Kasam Kha Ker Woh
"Aaja" Likhta Hay Woh,Khaghaz Pay Urra Deta Hay

Ussay Poocho Kay Bata Kis Say Muhabbat Hay Tumhay
Nam Sargooshi Main Mera He Suna Deta Hay

Kabhi Kehta Hay Chaloo Sath Hamesha Meray
Chal Paroon Sath To Rasta He Phira Deta Hay

Khud He Kehta Hay Na Dhohraoo Purani Yaadein
May Na Dhohraoon To Phir Khud He Suna Deta Hay

Khud He Likhta Hay Kay Jazbaat Main Hulchul Na Karoo
Aur Phir Khud He Naye Aag Laga Deta Hay...!!!
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #5 on: October 16, 2006, 01:45:31 PM »
Reply with quote
kabhi kuch na kaha
Humari ankhoo sae woh sab samjhe lety hain

Eik baar phir khyaal Aataa ke un ki rah dekhein
Un ki ruswai ke dar se qadam Hum Rook laetey hain

Khizaan shuru hone ko hae, Bahar tu bahut duur hay
Un ki batein sun ker hamesha phool dil mein khiltey hain

Dosto nae phir bahut samhjaya dillagi theek nahi
Lekin hum phir wohi apney dil ki suntey hain

Dil jab shiddat-e-jazbaat sae bhar jata hae
Hum kuch saaz cHaiR ker dil ko behla letey hain

Aur jab hale dil suna na sakey, baat samjha na sakey
Hum bhi kuch shair likh ker dil halka ker letey hain
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: October 17, 2006, 11:35:31 AM »
Reply with quote
Mr. Zamir Ka Qaidi ! It will be nice if you can write NOT MINE when you are writing other's work and in many cases POETRY OF FAMOUS POETS !!

Thanks !
Logged
Zamir Ka Qaidi
Guest
«Reply #7 on: October 17, 2006, 01:40:36 PM »
Reply with quote
I dont know what do u mean by this


why are you not edit my post and write their poet or petess name if think that`s not mine

:D


tum humaray nahin to kya ghum hai
hum tumharay to hain yeh kiya kum hai
tum say hi to mili thin khushiyan
tum say hi juray ab yeh ghum hain
honton pey hai faqat tabassum sa
dur haqeeqat to ashk _e_ ghum hain
pehlay yeh saray pul thay mairay
ab hai aisa k waqt hi kum hai
tum sy hi thi in labon pey hunsi
tum sy hi ab yeh aankhain num hain
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:55:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer