kyon ham aapko bulaate rahe .....

by Bulla Ki Jaana on May 06, 2005, 03:56:10 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1624 times)
Bulla Ki Jaana
Guest
Reply with quote
ab tak ham yehi sochte rahe
kyon ham aapko bulaate rahe

aayenge nahi aap maloom hai magar
saari raat kyon yaad aap aate rahe

hamare ashqon me asar raha na baaki
aap gaye aur ham aansoo bahate rahe

dard furqat ne kuchh diya is qadar
tanhaai me din apna beetaate rahe

bekhudi ka sabab yaar puchhte hain
ham haal-e-dil sabse chhupaate rahe

har aahat pe laga aap aaye hon jaise
har baar yehi soch jharokhe pe aate rahe
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: May 15, 2005, 04:49:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "Bulla Ki Jaana"
ab tak ham yehi sochte rahe
kyon ham aapko bulaate rahe

aayenge nahi aap maloom hai magar
saari raat kyon yaad aap aate rahe

hamare ashqon me asar raha na baaki
aap gaye aur ham aansoo bahate rahe

dard furqat ne kuchh diya is qadar
tanhaai me din apna beetaate rahe

bekhudi ka sabab yaar puchhte hain
ham haal-e-dil sabse chhupaate rahe

har aahat pe laga aap aaye hon jaise
har baar yehi soch jharokhe pe aate rahe
wah...kya khoob likha hai,wonderful.
Logged
Bulla Ki Jaana
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2005, 06:32:57 PM »
Reply with quote
Shukriya ..... ye jaan ke achchha laga ki aapko lines pasand aayin.
Logged
Shweta_v7
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2005, 07:16:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "Bulla Ki Jaana"
ab tak ham yehi sochte rahe
kyon ham aapko bulaate rahe

aayenge nahi aap maloom hai magar
saari raat kyon yaad aap aate rahe

hamare ashqon me asar raha na baaki
aap gaye aur ham aansoo bahate rahe

dard furqat ne kuchh diya is qadar
tanhaai me din apna beetaate rahe

bekhudi ka sabab yaar puchhte hain
ham haal-e-dil sabse chhupaate rahe

har aahat pe laga aap aaye hon jaise
har baar yehi soch jharokhe pe aate rahe


WOW, sooooooooo wonderful......simply amazing
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: May 17, 2005, 01:25:34 AM »
Reply with quote
sayari meri par har bol pehchan hai teri .
dil hai mera par har dhadkan hai teri......
jindgi hai meri , par ab woh amanat hai teri..
Sambhal ke rakh na use warna reh jayegi tu akeli...
Logged
kismis
Guest
«Reply #5 on: May 20, 2005, 04:56:13 PM »
Reply with quote
ab tak ham yehi sochte rahe
kyon ham aapko bulaate rahe

aayenge nahi aap maloom hai magar
saari raat kyon yaad aap aate rahe


ye line apne bahut khub likha hai...main abhi new hoon is mehfil me.

arz kiya hai....
                Apana samajh kar hum tumhen chahten rahen,
                ye mera bhram tha....hum maante rahen.
                 Na miloge tum phir bhi manta nahi dil.
                 Mannat tumhen paane ki magate rahen hum.
bye tk care
Logged
Bulla Ki Jaana
Guest
«Reply #6 on: May 20, 2005, 06:22:45 PM »
Reply with quote
Shukriya kismis .... waise main bhi naya hoon aap ki terah is mehfil me .. achha laga ye jaan kar ki aapko kuchh achchha laga ....

Aapki lines badi achhi thin .. off the cuff tha as I feel .. its good ..... I am not good in that so I cant reply in similar fashion .. so I chose to use prose for responding to your beautiful poetry... keep it up. and welcome to The Mehfil.
Logged
khushiiiii
Guest
«Reply #7 on: June 10, 2005, 06:30:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "Bulla Ki Jaana"
ab tak ham yehi sochte rahe
kyon ham aapko bulaate rahe

aayenge nahi aap maloom hai magar
saari raat kyon yaad aap aate rahe

hamare ashqon me asar raha na baaki
aap gaye aur ham aansoo bahate rahe

dard furqat ne kuchh diya is qadar
tanhaai me din apna beetaate rahe

bekhudi ka sabab yaar puchhte hain
ham haal-e-dil sabse chhupaate rahe

har aahat pe laga aap aaye hon jaise
har baar yehi soch jharokhe pe aate rahe



wowwwwwwwwwww bahut khoob bulla ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: November 30, 2008, 01:43:09 PM »
Reply with quote
ab tak ham yehi sochte rahe
kyon ham aapko bulaate rahe

aayenge nahi aap maloom hai magar
saari raat kyon yaad aap aate rahe

hamare ashqon me asar raha na baaki
aap gaye aur ham aansoo bahate rahe

dard furqat ne kuchh diya is qadar
tanhaai me din apna beetaate rahe

bekhudi ka sabab yaar puchhte hain
ham haal-e-dil sabse chhupaate rahe

har aahat pe laga aap aaye hon jaise
har baar yehi soch jharokhe pe aate rahe


kamaal kia hai aap neh bulla ji.



CHODD KEY GAYE ISS JAHAN MEH
HUM YUHI HAR PAL AAS BANATEY RAHEY

MAJBOORI TOH DEKHO ISS DIL KI
TANHAYI MEH BHI SAPNEY SAJATEY RAHEY

MILEY JOH KHUDA TOH USSEY POOCHEY
KU YEH KHEL AAP KARATEY RAHEY

NA THI MOHABBAT USEY HUMSEY
KU YEH GHARONDA AAP SAJATEY RAHEY



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: December 01, 2008, 04:57:13 PM »
Reply with quote
ab tak ham yehi sochte rahe
kyon ham aapko bulaate rahe

aayenge nahi aap maloom hai magar
saari raat kyon yaad aap aate rahe

hamare ashqon me asar raha na baaki
aap gaye aur ham aansoo bahate rahe

dard furqat ne kuchh diya is qadar
tanhaai me din apna beetaate rahe

bekhudi ka sabab yaar puchhte hain
ham haal-e-dil sabse chhupaate rahe

har aahat pe laga aap aaye hon jaise
har baar yehi soch jharokhe pe aate rahe

wah wah wah kaya baat hai... bahoot khoob!!kaya kamal ka likha hai apne!!! Thanks Jas, yah thread baher laane ke liye!!

hamare ashqon me asar raha na baaki
aap gaye aur ham aansoo bahate rahe

dard furqat ne kuchh diya is qadar
tanhaai me din apna beetaate rahe


har aahat pe laga aap aaye hon jaise
har baar yehi soch jharokhe pe aate rahe
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: December 01, 2008, 04:57:42 PM »
Reply with quote

kamaal kia hai aap neh bulla ji.



CHODD KEY GAYE ISS JAHAN MEH
HUM YUHI HAR PAL AAS BANATEY RAHEY

MAJBOORI TOH DEKHO ISS DIL KI
TANHAYI MEH BHI SAPNEY SAJATEY RAHEY

MILEY JOH KHUDA TOH USSEY POOCHEY
KU YEH KHEL AAP KARATEY RAHEY

NA THI MOHABBAT USEY HUMSEY
KU YEH GHARONDA AAP SAJATEY RAHEY



JASBIR SINGH
hira_company@yahoo.com

bahoot khoob Jas ji!!
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #11 on: December 01, 2008, 05:26:52 PM »
Reply with quote
wah wah wah kaya baat hai... bahoot khoob!!kaya kamal ka likha hai apne!!! Thanks Jas, yah thread baher laane ke liye!!

hamare ashqon me asar raha na baaki
aap gaye aur ham aansoo bahate rahe

dard furqat ne kuchh diya is qadar
tanhaai me din apna beetaate rahe


har aahat pe laga aap aaye hon jaise
har baar yehi soch jharokhe pe aate rahe




Thanks Pooja

wah wah wah. kya baat kahi aap neh pooja, nahi hai aap sa koi dooja.



NAZREY BICHANA MERI MAJBOORI HO GAYI HAI
PYAR MEH ASHQ BAHANA MERI MAJBOORI HO GAYI HAI
SAB KUCH TOH TUMPAR LUTA CHUKEY HAI SANAM
GAMOH SEY RISHTA BANANA MERI MAJBOORI HO GAYI HAI


JASBIR SINGH




Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #12 on: December 01, 2008, 05:27:20 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Jas ji!!


tHANKS POOJA


JASBIR SINGH
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:46:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer