kyuN na khoo_Ne jigar ke

by aaina on July 12, 2010, 10:25:31 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1476 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Haazreen e mehfil ki nazr ek adna si paishkash, apni qeemti aara se nawaaziyega


Zindagi ab bikhar na jaauN meiN
had se apni guzar na jaauN meiN

roz ik aaina dikhaate ho
daikh lo tum, saNwar na jaauN mein

tar_ke tal_luq bhi ik samandar hai
sochta huN, utar na jaauN meiN

roz ka aana jaana mushkil hai
dil mai tere, thehr na jaauN meiN

teri saaNseiN hayaat hai meri
jhoot boluN to, mar na jaauN meiN

kyuN na khoo_Ne jigar ke bhi aslam
pee ke aansu, nikhr na jaauN meiN





aslam 
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAKHAir KYun (KYUn)(KYun(KYUn) by muneeb in Shayri-E-Dard
..~~khoon e jigar~~.. by HumTum in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
Dard-E-Jigar by abdulsamad in Shayari -e- Husn
-Jigar Ke Paar- by HumTum is back in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Khoon-e-jigar by G1901 in Other Languages
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: July 12, 2010, 11:57:31 PM »
Reply with quote
Haazreen e mehfil ki nazr ek adna si paishkash, apni qeemti aara se nawaaziyega


Zindagi ab bikhar na jaauN meiN
had se apni guzar na jaauN meiN

roz ik aaina dikhaate ho
daikh lo tum, saNwar na jaauN mein

tar_ke tal_luq bhi ik samandar hai
sochta huN, utar na jaauN meiN

roz ka aana jaana mushkil hai
dil mai tere, thehr na jaauN meiN

teri saaNseiN hayaat hai meri
jhoot boluN to, mar na jaauN meiN

kyuN na khoo_Ne jigar ke bhi aslam
pee ke aansu, nikhr na jaauN meiN


aslam  
 
Aap ko yaha dekha toh laga........humko iss ghar me jantaa hai koi....

Very Impressive ....Aslam Bhai !
Very touching ....

very Nice creation....

tahe dil daad hazir hai...qubuul farmaayeN...
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #2 on: July 13, 2010, 04:36:01 AM »
Reply with quote

  Very nice one Aslam ji. hello2 hello2
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: July 13, 2010, 06:39:09 AM »
Reply with quote
ASLAM JI KITNA SADA AUR MASOOMIYAT BHARA DIL KO CHOO LENE WALA GALIBANA ANDAZ.........BAHUT HI UMDA...AAP KI AGALI TAKHLEEQ KI MUNTAZIR....

MAMTA
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: July 13, 2010, 08:27:08 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aap jaise shayaron ki taarif karne ke liye humein sabse pehle taarif karna sikhna padega. Aap itna achcha likhte hain ki humein sochna pad jaata hai ki kin shabdon me apki taarif karein. Har tarif kam lagti hai. Dhang se taarif bhi nahi kar paate hum. Aap itna achcha likhte hain ki uska ek pratishat bhi hum agar taarif kar paate to lagta ki han kuch kiya. Manna padega aapko.. kya khoob likhte hain sarkaar. Bahut hi umda. Aapka likha padhne ke baad bas aapka likha hi gungunaate rehte hain aisa asar hota hai humpe aapki lekhni ka. Bahut khoob Aslam ji...!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: July 13, 2010, 09:36:10 AM »
Reply with quote
TERI YE GAZAL HAI BADI HI PYARI
ISE KYUN NA AAJ SAARI RAAT GUNGUNAUN MAIN

TERI LEKHNI KA JAADU HAI KUCH AISA
SIDHE SAADHE ANDAZ PE KYUN NA WAARI JAUN MAIN

AJEEB SI KASHISH HAI TERE SHABDON ME ASLAM JI
INHE BAR BAR PADHKE MANTRA MUGDH SI HO JAUN MAIN.......

KUCH AUR LIKHUNGI TO SHAYAD JYADA HO JAYEGA..... Usual Smile
Logged
aaina
Guest
«Reply #6 on: July 17, 2010, 05:41:24 AM »
Reply with quote
Aap ko yaha dekha toh laga........humko iss ghar me jantaa hai koi....

Very Impressive ....Aslam Bhai !
Very touching ....

very Nice creation....

tahe dil daad hazir hai...qubuul farmaayeN...


Naresh sahab sabse pehle to aapka is bazm mai khairmaqdam hai umeed hai aapka wqt yahan bhut acha guzrega, ghazal ki pazeeraii ke liyN aapka tahe dil se mamnoon huN, yuN hi hosala badhaate rahiye bhut bhut shukriya, umeed hai aapke kalaam se hum sab log jald se jald mustafeed honge



aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: July 17, 2010, 05:42:13 AM »
Reply with quote
  Very nice one Aslam ji. hello2 hello2


Bhut bhut shukriya Tamanna jii yuN hi hosala badhaati rahiyeg



aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: July 17, 2010, 05:43:59 AM »
Reply with quote
ASLAM JI KITNA SADA AUR MASOOMIYAT BHARA DIL KO CHOO LENE WALA GALIBANA ANDAZ.........BAHUT HI UMDA...AAP KI AGALI TAKHLEEQ KI MUNTAZIR....

MAMTA


Mamta jii adna si ghazal ki pazeeraii ke liyN aapka tahe dil se mamnoon huN, inshallah jald hi khoshish karunga ki kuch likh sakuN bhut shukriya


aslam
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: July 17, 2010, 05:47:02 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aap jaise shayaron ki taarif karne ke liye humein sabse pehle taarif karna sikhna padega. Aap itna achcha likhte hain ki humein sochna pad jaata hai ki kin shabdon me apki taarif karein. Har tarif kam lagti hai. Dhang se taarif bhi nahi kar paate hum. Aap itna achcha likhte hain ki uska ek pratishat bhi hum agar taarif kar paate to lagta ki han kuch kiya. Manna padega aapko.. kya khoob likhte hain sarkaar. Bahut hi umda. Aapka likha padhne ke baad bas aapka likha hi gungunaate rehte hain aisa asar hota hai humpe aapki lekhni ka. Bahut khoob Aslam ji...!!!


Hariday sahab kin alfaazoN mai aapka shukriya ada karuN samjh nahi aata, ye sirf aapki mohabbat hai jo aap is tarhN aur is nazariye se meri adna tehreeroN ko daikhte haiN, warana aisa kuch khaas nahi hai aapka bhut aur bhut shukriya is pazeeraii ke liyN apni mohabbat aur dua se yuN hi nawaazte rahiye bhut inaayat


aslam
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #10 on: April 19, 2011, 12:47:24 PM »
Reply with quote
Haazreen e mehfil ki nazr ek adna si paishkash, apni qeemti aara se nawaaziyega


Zindagi ab bikhar na jaauN meiN
had se apni guzar na jaauN meiN

roz ik aaina dikhaate ho
daikh lo tum, saNwar na jaauN mein

tar_ke tal_luq bhi ik samandar hai
sochta huN, utar na jaauN meiN

roz ka aana jaana mushkil hai
dil mai tere, thehr na jaauN meiN

teri saaNseiN hayaat hai meri
jhoot boluN to, mar na jaauN meiN

kyuN na khoo_Ne jigar ke bhi aslam
pee ke aansu, nikhr na jaauN meiN





aslam 
 

bahut khub aslam sahab
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #11 on: April 20, 2011, 08:42:42 AM »
Reply with quote
Janab Aslam Saheb! AOA!
Bahut dinon baad aik zabardast kaawish ko paRhne ka mauqa dastiyaab hua. Idhar kaafi arse se zaati masroofiyat ke ba-ec yoindia par nahin aa paa raha hooN ya yuN kaheN k kahin bhi nahin ja paa raha hooN. Aaj aapke is sahrangez ghazal ne rooh tak taazgi bakhsh di. Sar se paa tak aik munfarid aur mukammal ghazal se nawaaz diya hai aapne aur ye kahne mein mujhe koi harz nahin k bahut dinon baad yoindia par is tarah ki me-aari ghazal se rubaru hua. Aisi naayaab ghazal k liye dil ki gahraaiyoN ke saath mubarakbad aur daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

Haazreen e mehfil ki nazr ek adna si paishkash, apni qeemti aara se nawaaziyega


Zindagi ab bikhar na jaauN meiN
had se apni guzar na jaauN meiN

roz ik aaina dikhaate ho
daikh lo tum, saNwar na jaauN mein

tar_ke tal_luq bhi ik samandar hai
sochta huN, utar na jaauN meiN

roz ka aana jaana mushkil hai
dil mai tere, thehr na jaauN meiN

teri saaNseiN hayaat hai meri
jhoot boluN to, mar na jaauN meiN

kyuN na khoo_Ne jigar ke bhi aslam
pee ke aansu, nikhr na jaauN meiN





aslam 
 
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2011, 08:47:08 AM »
Reply with quote
Wah Bohat Umda Aslam Sahab
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #13 on: April 20, 2011, 12:51:48 PM »
Reply with quote
Aapki ghazal bahut khubsurat hai aaina ji.....
Bah'r ka aisa khayal kam hi ghazalo me milta hai.....
keep it up:)
Logged
khujli
Guest
«Reply #14 on: July 12, 2011, 09:17:35 AM »
Reply with quote
Haazreen e mehfil ki nazr ek adna si paishkash, apni qeemti aara se nawaaziyega


Zindagi ab bikhar na jaauN meiN
had se apni guzar na jaauN meiN

roz ik aaina dikhaate ho
daikh lo tum, saNwar na jaauN mein

tar_ke tal_luq bhi ik samandar hai
sochta huN, utar na jaauN meiN

roz ka aana jaana mushkil hai
dil mai tere, thehr na jaauN meiN

teri saaNseiN hayaat hai meri
jhoot boluN to, mar na jaauN meiN

kyuN na khoo_Ne jigar ke bhi aslam
pee ke aansu, nikhr na jaauN meiN





aslam 
 




 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:26:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer