main anjaan hoon~~~ SAAHIL

by salil2002 on August 16, 2009, 07:52:28 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1966 times)
Roja
Guest
«Reply #15 on: August 19, 2009, 02:54:57 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause wah kaya baat hai... such he kaha tha lil bro ki hum to apke fan hote ja rahe hai... bahoot acha likha hai


haal e dil jab khud ko sunane nikale
samjh ayya ki hum khud se kitne anjaane nikale

dil kah rah atha bas ek he baat baar baar
deemag ko laga ne kaha app to kitne deewane nikale

kash-m-kash kahe kin shabdo main kahe Pooja aor kaise
her ek sawal ke jawab main, na jaane kitne sawal nikale

haal e dil jab khud ko sunane nikale
samjh ayya ki hum khud se kitne anjaane nikale


Wah wonderful lines Pooja di  Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ASHQ LE K BEITHA HOON~~~ SAAHIL by salil2002 in Shayri-E-Dard
Dhoondta hoon~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard
dard chhupaata hoon ~~SAAHIL by salil2002 in Ghazals
beitha hoon jaam lekar~~~ SAAHIl by salil2002 in Shayri-E-Dard
saahil hoon magar kinare Se dhoor hoon by saahill in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
Pooja
Guest
«Reply #16 on: August 19, 2009, 05:49:01 PM »
Reply with quote
laila dear thanks a lot and pooja di again a very good reply....kasamkash darshata hua aapke saath likhna apne aap main ek izzat kii baat hai

kucch is tarah khamoshi meri mujh main shamil hai
kii main kissii se kehta nahi,aur koi meri sunta nahin
ab sochta hoon neend kii ootare khumaari toh aankh kholon
ii inme koi khwab palta nahin,aur main bunta nahin


Tahe dil se shukaria Lil bro...

Bun.ne se kab kaha koi khwab apna hota hai
sajta hai dil mai jo armaan, kaha wo apna hota hai
apnane se ban jaate jo paraye apne, kyun koi sawal hota
tanhaaio main bhi, yaad unki, apna dil bhi kaha apna hota hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #17 on: August 19, 2009, 05:49:27 PM »
Reply with quote
Badi sunder gazal hai aapki Saahilji..... Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Kaisi bekhudi mai ho ki khud se anjaan ho
Aaine mai khud ko dekhkar bhi n pehchan ho
N ho nirash,tum khuda k banay khas bande ho
ye nahi tera ghosla tum kisi khas baug k parinde ho



Bahoot khoob SMARDIA JI!!!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #18 on: August 21, 2009, 10:57:56 AM »
Reply with quote
Badi sunder gazal hai aapki Saahilji..... Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Kaisi bekhudi mai ho ki khud se anjaan ho
Aaine mai khud ko dekhkar bhi n pehchan ho
N ho nirash,tum khuda k banay khas bande ho
ye nahi tera ghosla tum kisi khas baug k parinde ho


smardia dear bahut achche .....bahut gehri baat kari hai aapne

dil ko takdeer aur khuda pe bharosa tha
jab chala khanjar toh hans k isne jhela oose
baha jab lahoo aur andhera chhane laga
toh hans k bola jiski thi nemat lauta di oose
Logged
salil2002
Guest
«Reply #19 on: August 21, 2009, 11:01:23 AM »
Reply with quote

Tahe dil se shukaria Lil bro...

Bun.ne se kab kaha koi khwab apna hota hai
sajta hai dil mai jo armaan, kaha wo apna hota hai
apnane se ban jaate jo paraye apne, kyun koi sawal hota
tanhaaio main bhi, yaad unki, apna dil bhi kaha apna hota hai...

didi bahut bahut bahut pyaari lines hai khaas kar last lines ko toh mann kar raha hai diimaag main frame karwa k rakh loon

na khwaab apne ,na haqeeqat hi kabhi apni thi
zindgi toh bas chand khushiyon main katni thi
ashq hi aaye hisse main dekh hum roye bahut
muskuraahat bacha li,kucch pal saath apne rakhni thi
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: August 21, 2009, 05:17:50 PM »
Reply with quote


kisse kahoon ab haale dil hai sab yahan par ajnabee
jaanta jisko bhi tha main oonse ab anjaan hoon

har nazar oothti huyi kyun mujhpe pe aa k tik gayi
ye kab hua, kaise hua main is baat pe hairaan hoon

meri ooljhan toh hai badi woh kabhi na suljhegi
main toh dekh peshani tere chehre pe pareshaan hoon

guftgu main kya karoon hai bade zaheen log
fikre sab hai kas rahe,main chup hoon,main nadaan hoon

kisse kahoon ab haale dil hai sab yahan par ajnabee
jaanta jisko bhi tha main oonse ab anjaan hoon

raasta hai keh raha yeh teri manzil hai nahin
aur ghar bhi keh raha , na reh kii main sunsaan hoon

is bheed main dum na ghut jaaye mera. ae KHUDA
tu sun kabhi faryaad meri,kee main bhi toh ek insaan hoon

pyaasa hoon main,bhookha hoon main,hoon dard main dooba hua
taktakata raha sabke DAR,kii kholo nahin main shaitaan hoon

sabne band kar li khidkiyan aur darwaaje bhi band
mar raha hoon main ab, kyunki main ek ahjaan hoon

shab dhali,aur din chada mer laash kutte kha rahe
main mit gaya kya isliye kii main ek insaan hoon

      "ya phir main ek anjaan hoon"

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot hi Khoob Salil ...Dil chu liya .... kuch kuch sher to laga jaise mere dil ki awaaz hai !
Logged
salil2002
Guest
«Reply #21 on: August 25, 2009, 06:39:10 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot hi Khoob Salil ...Dil chu liya .... kuch kuch sher to laga jaise mere dil ki awaaz hai !
bahut bahut shukriya di aapne aisa kahaa yeh mere liye bahut badi baat hai
bahut bahut shukriya aise hi hosla badate rahiye
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:17:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer