MAIN BHI FANKAAR HOON .................... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on December 13, 2013, 09:45:18 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2370 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #15 on: December 14, 2013, 02:36:46 PM »
Reply with quote
Khoob zameen baandhi ,,,,
Pehle misray mein NA nahi hona chahiye,,balkay sarf o nehv ke lehaaz se  yehan KE munasib ho ga.
''Teer  hoon , Talwar hoon , Patthar ka but  naa  Khaar  hooN''

Is misray mein bhi ghalati he....jumla toota hua lagta he
''Bechta  ,  hasb - e - zaroorat ,    roz  hi   apna   Zameer''
Bechta kee jaga BECH DOON' munasib lagta he...


Janab MazHur saheb, Adab . Tabsire ka shukriya aur khastaur se shukriya ki shayed aap ne pahli baar khaksaar ki post par reply kiyaaur apni raai se nawaza.Aap ki raai sar aaankhon pe.Ye haqeeqat hai ki nacheez ko sarf o nehv se kuchh khas waqfiyat nahi. Bahr aur wazan ka hattal imkan khayal rakhta hoon .Me'yaari shairy ka bhi koi daawa nahi na Ghalib ki qabr pe laat maarne ka koi irada hai.Shairy mahez waqt guzari ka shaghl hai .
"Ghazlein kahta hoon faqat hansne hansaane ke liye".
Hafte mein aksar 2 ghazlein Yoindia Shayariadab par post karta  aur apne meyaar ke shora se share karta hoon , aur khushi bhi mahsoos karta hoon ki jitni bhi sites par post karta hoon har jagah doston ki bharpoor mohabbat milti hai.Nazar e saani shayed hi kabhi karta hoon , na iska waqt hai . Ghaltiyaan ain mumkin hain aur iska aitraf karne mein koi hatak nahi mahsoos karta .Yaqeenan aap jaise kohna mashq shayer ke meyaar par meri kavishein poori nahi utarti hongi. Aur shayed yo ki beshtar posts bhi aap ke meyaar par nahi  utrein gi....Ye bhi ittefaq hai ki aapka kalaam kabhi kabhi padha zaroor lekin kabhi sanjidgi se shairy ke ramooz ki roshni mein unhein dekhne aur kuchh seekhne ki koshish nahi ki.Ayenda , insha'allah meri koshish rahegi aur ummeed karta hoon doosre ahbaab bhi aapke kalaam se seekhne ki koshish kareinge.Aap se bhi guzarish hai ki sarf o nehv ke  kuchh  khaas pahluon par 1 mukhtasar note is site par post kar ke  ahl e Bazm ke  ilm mein izafa karein kyuunki inse aksar log nawaqif hain.
  Ash'aar ke baare mein aapka mashwira qabil e ghour hai.Lekin jis tarha aapne tarmeem farmaai hai woh meri naqis aql mein durust nahi.NAA ka istemaal beshak bahut achha nahi aur majboori mein kiya jata hai , lekin aisa nahi ki hota na ho . NAA ki jagah KE laga kar padhne mein durust nahin kyunki pahle misre mein kuchh assert kiya jaa raha hai jo doosre misre ke daawe ko supplement karta hai , jubki KE lagaane se pahle misre ke (teer , talwar , patthar ka but etc..) par assertions ke bajaai shak zahir hota hai , jo doosre misre ke sath parhne par aur wazeh hota hai .
 Doosre sher ki tarmeem kuch munasib hai lekin  'Bech doon' ke istemaal se bhi jumla toota hi lagta hai .
 Bahr haal ye jawab  meri naaqis aql  ke mutabiq hai .Aap ka bahut shukrguzar hoon ki aap ne kalaam par tawajjo di aur ummeed karta hoon ki aap aayenda bhi khaksar ko waqt deinge aur jahan zaroorat ho apne aalimana tabsiron aur mashwiron se nawazte raheinge .  
    Duaaon ke sath , Hasan
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: December 14, 2013, 05:33:52 PM »
Reply with quote
bilkul bhaijaan aap to vo fankaar hain jinhone mujh jaise ko bhee ilkhne kee salaahiyat dedee aap kaa iqbaal buland ho dheron daad qubool karen
Saini saheb , Aap ke khuloos ka shukriya .
Aap jaise doston ki mohabbat milti rahti hai ,
yahi mere liye bahut hai . Ummeed karta hoon
ye khuloos qaaim rahega.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #17 on: December 14, 2013, 08:25:25 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
thanks saman.duaein lo, khush raho.
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #18 on: December 14, 2013, 10:53:28 PM »
Reply with quote

Teer  hoon , Talwar hoon , Patthar ka but  naa  Khaar  hooN
Paas  aao  ,  chhoo  ke dekho , main  mujassam   pyar  hooN


Pyar  sachcha  hai   mera  ,  hargiz   gumaaN   mat   kijye
Aap   ki   har   Azmaaish    ke    liye    tayyar     hooN


Apni   Apni   Sab   ki   Manzil   ,   Apne   Apne   Raastay
Mujh  ko  Khush-fahmi magar  ,  main   Qafla - Salaar  hoon


Bechta  ,  hasb - e - zaroorat ,    roz  hi   apna   Zameer
Phir   bhi   Daawa  hai mujhe  , main   Saheb-e-Kirdar  hooN this is simple and very impressive,sir. one rau for this sher


Kheenchta  hooN   Husn   ki   tasweer   main   Alfaaz   mein
Chhota  mota   hi   sahi  , maiN  bhi  'Hasan'  fankaar  hooN


 
                                                                                                







excellent,sir with rau
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #19 on: December 14, 2013, 11:30:23 PM »
Reply with quote
bohat khoobsoorat ghazal hasan jee,....
sab assaar qabil e daad hain , so bohat bohat c daad,...........
Laaiba ji , bahut shukrguzar hoon k aap ne ghazal parhi aur pazeerai ki . Duaaein .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: December 15, 2013, 12:25:59 AM »
Reply with quote
waaahhhhhh....bahut hi khoobsurat ghazal hai Sir, dheron dheron daad qabool karein....
saare ahsaar gazab ke hai .... bahut khooob Sir..
Shukriya , Musaahib ji .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #21 on: December 15, 2013, 02:11:28 AM »
Reply with quote

Saheb Aap Se To Hum Sab Seekhte HaiN

Bahut Bahut Khooooooooooooooooooooob..!!!!!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khwahish ji , Shukriya aur bahut duaaein.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #22 on: December 15, 2013, 01:52:15 PM »
Reply with quote

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Qalb saheb , tah e dilse shukriya .
Logged
suman59
Guest
«Reply #23 on: December 15, 2013, 04:03:07 PM »
Reply with quote
Quote
Apni   Apni   Sab   ki   Manzil   ,   Apne   Apne   Raastay
Mujh  ko  Khush-fahmi magar  ,  main   Qafla - Salaar  hoon


Bechta  ,  hasb - e - zaroorat ,    roz  hi   apna   Zameer
Phir   bhi   Daawa  hai mujhe  , main   Saheb-e-Kirdar  hooN

excellant ghazal hasan sir. deron daad.  Thumbs UP
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #24 on: December 15, 2013, 04:25:39 PM »
Reply with quote
WAAH WAAH BOHUT KHOOB ,LAJWAAB hASAN SAHAB

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplauseApplause

shuker hai ap jaise fankaar bhi is bazm mein hain .
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #25 on: December 16, 2013, 12:55:56 AM »
Reply with quote
waah .... Khoobsurat aur asardaar aashaar rahe Hasan sahab !!! Ek dum saaf aur  Dhaar rakhte huwe !!! Dheron daad aap ko !!
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #26 on: December 16, 2013, 05:28:20 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Superb                Superb           Superb              Superb
shukriya saxwna ji .
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #27 on: December 16, 2013, 07:48:44 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

laajawaab peshkash hasan sahab.. behad umda aur khoobsurat Usual Smile Usual Smile

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #28 on: December 16, 2013, 07:51:32 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
wah waaah waaaaaaaaaaaaaah Hasan ji
aap sachmuch fankaar hain
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #29 on: December 16, 2013, 08:43:06 PM »
Reply with quote
wha wha bhut khub
thanks janab
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:20:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer