MaiN moHabbat hooN moHabbat ko bachaa le koie.

by Ghulam Haider on October 01, 2012, 06:26:39 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2682 times)
Ghulam Haider
Guest
«Reply #15 on: October 03, 2012, 11:57:34 PM »
Reply with quote
laajwaab bemisaal betaa keep it up aaj kal tum oonchhaiyoN par ho bas vahee bane raho
sksaini4 ji, aap ne jis ahamm nukte ki Taraf isharah kiya hai, maiN us ki Taraf mutavajjeh hooN. Mera khayaal ye hai ke insaan ko musalsal koshish karte rehna chaahiye. JahaN ye gumaan paida huva ke ab ham kisi qaabil haiN, wahiN se zavaal shuroo' ho jata hai. Insaan kisi bhi manzil ko pahuNch jaaye, phir bhi us ke aage bohot kuchh reh jata hai. Kamaal to Sir z'aat e khudaa meN hai, insaan jitna us se qareeb hoga utna hi kamaal ko pahuNchega. Haqeeqat ye bhi hai ke Haalaat hamesha yaksaaN nahiN rehte, aur waqt bhi hamesha ghaafiloN ka saath nahiN deta. Ba har Haal aap ki baat Sad dar Sad durust hai. Aap ki nek dua'ayeN saath haiN to manzil aasaan hai....
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #16 on: October 04, 2012, 12:03:07 AM »
Reply with quote
bahut umda, dhero dad
nandbahu ji aap ki daad aur sitaaish ke liye bohot 2 shukriya. Aap ki mehrbaani aap ke khulooS ki daleel hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #17 on: October 04, 2012, 12:06:29 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

awesome creation
Ripan Dev ji aap ka shukr guzaar hooN ke aap ne apne andaaz meN kalaam ki ta'reef ki aur apni khushi ka iZhaar kiya. Hamesha khush raheN...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #18 on: October 04, 2012, 12:12:15 AM »
Reply with quote
Ghulam Haider saheb ,Bahut khubsurat ,
haseen, ghazal inayat ki hai. har sher
khoob hai. bahut bahut  mubarakbad aur
daad.
   Hasan
Biradaram F.H.SIDDIQUI, baRi khushi hoti hai jab aap jaise Haseen khayaalaat rakhne waale afraad se daad milti hai. Allah aap ki taufeeqaat meN iZ'aafah farmaye. hamesha khush rahiye..
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #19 on: October 04, 2012, 12:17:52 AM »
Reply with quote
Bahut acchi ghazal kahee hai Haider jee
Maza aa gaya..wah wah wah wah
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut acchi ghazal kahee hai Haider jee
Maza aa gaya..wah wah wah wah
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
mkv ji, aap ne jis TarH apne jazbaat aur khushi ka iZhaar kiya hai us se maiN ye andaazah laga sakta hooN ke mera kalaam yaqeenan kisi qaabil hai. Mujhe isi baat se khushi hoti hai ke mere kalaam se koie mutaccir ho sake ...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #20 on: October 04, 2012, 12:23:38 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khub Haider Sahab
 Applause Applause Applause Applause Applause
Sanjeev Kash ji aap ne kalaam ki ta'reef ki, ye aap ka husn e fahm aur husn e naZar hai ke kalaam ki khoobiyoN ko madd e naZar rakha. shukr guzaar hooN...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #21 on: October 04, 2012, 12:26:11 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
very very nice
aqsh ji kalaam ki pazeeraaie aur us par dili jazbaat ka iZhaar karne ke liye aap ka shukr guzaar hooN
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #22 on: October 04, 2012, 12:31:29 AM »
Reply with quote
Wah wah wah wah wah wah wah wah wah wah wah wah wah wah wah zabardast creation Hairad sahab ji .
A'zeezam Kaushal Sharma, aap ka shukriya ke aap ne daad se navaza, aur kalaam meN mazeed taqviyat paida kar di, maiN aap ka mamnoon hooN....
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #23 on: October 04, 2012, 12:37:40 AM »
Reply with quote
Is behtareen aur haseen qalaam par meri or se dheron daad aur mubarakbaad Haidar sahab !!!
zarraa ji naa cheez si kaavish par aap ka dili daad aur mubaarakbaad ke liye paas Sirf tashakkur ke hi alfaaZ haiN. Salaamat raheN, khush raheN..
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #24 on: October 04, 2012, 12:39:55 AM »
Reply with quote
waah waah waah
saahill ji aap ki i'naayat hai ke kalaam ko daad ke qaabil samjha. aap ka mamnoon hooN. be Hadd shukriya.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #25 on: April 15, 2013, 05:34:48 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #26 on: April 18, 2013, 09:05:36 AM »
Reply with quote
janaab haider saaheb, pehli baar aapko padha aur yakeen maaniye dil khush ho gaya, bahut hi umda likha hai aapne, is muqammal ghazal pe meri daad qubool farmaaiye... yuNhi aage bhi aap is bazm ko apne kalaam se roshan karte raheN...
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 03:52:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer