Main shaayar kacche dhaago.n ka........

by vipul kumar on December 26, 2010, 10:08:34 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 909 times)
vipul kumar
Guest
Reply with quote
Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....

Main sacchi chaahat ka premi,
bas apne dil ki sunta hu.....

Shaam ke Saanwale Saayo.n me,
Saanso.n ki Sunhari Sargam se,
Main Sur aur Saaz ke Saagar par,
Kuchh Sundar Sapne buntaa hu....

Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....


Kabhi aankho ke paimane se,
Kabhi hotho.n ke maykhane se,
Kabhi zulfo.n ke kaashaane se,
main pyaar ke moti chunta hu....

Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....



kuchh apne se, begaane se,
kabhi auro.n ke afsaane se,
kabhi mahfil se, viiraane se,
Main teri aahat sunta hu....

Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....


Main Matwaala Madhushaala Sa,
YaaRa Madhu may ka Pyaala sa ,
Main Meet un Preet ke geeto.n ka,
Bas Pyaar ke kisse sunta hu....

Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....
Logged
nirala
Guest
«Reply #1 on: December 26, 2010, 02:18:20 PM »
Reply with quote
wah wah Vipul saheb--
kya ghazal hai ji ..bas padhte jao maza aa gaya bhai..
mast mast hai bilkul.
""
mai shayr hu bas pyar ke phool chunta hun
    yaadon me guum saare khaab bunta hun
"
thanx
"
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #2 on: December 26, 2010, 02:20:15 PM »
Reply with quote
its just mind blowing vipul ji.....just extreem superb......jesa ki nirala ji ne kaha bas padte jao maja aa gaya.....superb........
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: December 26, 2010, 03:21:21 PM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhhhhhhhhh...........just awesome .........vipul ji aapke pehle geet se hum aapke fan ho gaye ji.......its just worth reading and recording.......
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #4 on: December 26, 2010, 03:27:52 PM »
Reply with quote
Wah wah wah Vipul ji mast poem hai aapki......enjoyed reading it........ Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley

Kya mast-mast taane-baane bunte ho
Makdee se makhmalee jaale bunte ho

Jaane kahaan kahaan tum nazarein firate ho
Maasoom haseeno k rukhsaar ka ras peete ho

Nayno kay paimaane se,lab kay maykhaane se
Preet kay pyaale bhar-bhar madhuras peete ho


Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....

Main sacchi chaahat ka premi,
bas apne dil ki sunta hu.....

Shaam ke Saanwale Saayo.n me,
Saanso.n ki Sunhari Sargam se,
Main Sur aur Saaz ke Saagar par,
Kuchh Sundar Sapne buntaa hu....

Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....


Kabhi aankho ke paimane se,
Kabhi hotho.n ke maykhane se,
Kabhi zulfo.n ke kaashaane se,
main pyaar ke moti chunta hu....

Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....



kuchh apne se, begaane se,
kabhi auro.n ke afsaane se,
kabhi mahfil se, viiraane se,
Main teri aahat sunta hu....

Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....


Main Matwaala Madhushaala Sa,
YaaRa Madhu may ka Pyaala sa ,
Main Meet un Preet ke geeto.n ka,
Bas Pyaar ke kisse sunta hu....

Main shaayar kacche dhaago.n ka,
Bas preet ke taane bunta hu....

Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #5 on: December 26, 2010, 04:55:46 PM »
Reply with quote
Aap sab kaa bahut bahut shukriya Nirala ji, matrix guy, Kasak ji and koyal ji.....
Koyal ji aapne hamaare liye kuchh lines likhne ki zehmat ki. bahut achha laga..
Shukriya all.....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #6 on: December 27, 2010, 01:55:19 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Vipul Ji Bahut Hi Sunder Likha Hai Aapne Applause Applause
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #7 on: December 27, 2010, 02:06:11 PM »
Reply with quote
Shukriya Rishi ji...
Aate rahiyega....
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #8 on: January 05, 2011, 07:02:20 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 07:20:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer