Main sheesha aur tu patthar nikla....irshad siddiqui

by irshad ahmed siddiqui on September 10, 2011, 07:03:45 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2049 times)
irshad ahmed siddiqui
Guest
Reply with quote
tere ishq me jab jab main saj sawar kar nikla
kya bataye mera dil shiisha aur tu patthar nikla

bachpan gujra , jawaani kati aur kati hyaatt
teri gali se kuch is tarah mera mukaddar nikla

meri mohabbat ne kiya tujh ko rukhsat aisey
tere ghar doli nikli ek zanaja mere ghar nikla

jisne fateh ki kayenaat saari magar wo bhi
maut ke saamne kitna bebas sikandar nikla

barso jis ko dekhne ki ek tamanna rahi "irshad"
wo samne aaya aur main kafan me benazar nikla
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum se dil lagane ko jii chahata hai........irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Ek tasveer purani.............by irshad ahmed siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
tu chahat bankar chal main chahata rahunga......irshad siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
maiN ne ki mohabbat be-zubano ki tarah......Irshad Siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Ajeeb Dastaan......irshad siddiqui by irshad ahmed siddiqui in Ghazals
Gyan Prakash
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 14 minutes.

Solitude..!!

Posts: 465
Member Since: Jun 2011


View Profile
«Reply #1 on: September 10, 2011, 08:28:18 PM »
Reply with quote
Bahut khub Janab...!!!!!!!!!!
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: September 10, 2011, 10:37:58 PM »
Reply with quote
Irshad Sahaab Aadaab!

Waah janab bahut khoob.. behad khubsurat kalaam se nawaaza
hai aapne... Sabhi ashaar kafi dilfareb rahe..

Puri kalaam hi daad ke kabil hai humari dili daad O mubarak
bad kabul kijiye....

Yeh ashar hume behad khoob lage..         




bachpan gujra , jawaani kati aur kati hyaatt
teri gali se kuch is tarah mera mukaddar nikla

jisne fateh ki kayenaat saari magar wo bhi
maut ke saamne kitna bebas sikandar nikla

barso jis ko dekhne ki ek tamanna rahi "irshad"
wo samne aaya aur main kafan me benazar nikla


Applause Applause Applause


Likhate rahiye... Aate rahiye..
Khush O aabaad rahiye
Khuda hafez           

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: September 11, 2011, 04:41:50 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Irshad sahib. yunhi likhte rahiye...
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: September 11, 2011, 04:52:00 AM »
Reply with quote
nices
dudata raha jis khuda ke maka ko yaha waha
wo maka to manoj mere dil ke ander nikla

karte the tarriff bahut jis imarat ki log
karreb se jab dekha to wo khander nikla

karte the paresha mujko jaane kis kis tarh se
socha jab to dil uska ek shararati bander nikla


tere ishq me main jab jab main saj sawar kar nikla
kya bataye mera dil shiisha aur tu patthar nikla

bachpan gujra , jawaani kati aur kati hyaatt
teri gali se kuch is tarah mera mukaddar nikla

meri mohabbat ne kiya tujh ko rukhsat aisey
tere ghar doli nikli ek zanaja mere ghar nikla

jisne fateh ki kayenaat saari magar wo bhi
maut ke saamne kitna bebas sikandar nikla

barso jis ko dekhne ki ek tamanna rahi "irshad"
wo samne aaya aur main kafan me benazar nikla

Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: September 11, 2011, 06:30:50 AM »
Reply with quote

Siddiqui Sahab,

Bahut khoob...

Daad kabool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #6 on: September 11, 2011, 09:55:33 AM »
Reply with quote
Mohtaram Janaab...
   Parvaaz Saheb,
   Gyan Prakash Saheb,
   F.H. Siddiqui Saheb,
   Manoj Saheb,
   Satish Shukla "Raqeeb" Saheb,

      Adaaab..!!
      mere kalam ko padhne,pasand karne aur aap ki mohabbatoN se nawajne ke liye wa meri hausla afjaii karne ke liye bahut bahut shukriya.......

      Shad-o-abaad rahiye...
      ALLAH HAFIZ
Logged
N@@R
Guest
«Reply #7 on: September 11, 2011, 10:22:52 AM »
Reply with quote
nice
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #8 on: September 11, 2011, 10:24:18 AM »
Reply with quote
tere ishq me jab jab main saj sawar kar nikla
kya bataye mera dil shiisha aur tu patthar nikla

bachpan gujra , jawaani kati aur kati hyaatt
teri gali se kuch is tarah mera mukaddar nikla

meri mohabbat ne kiya tujh ko rukhsat aisey
tere ghar doli nikli ek zanaja mere ghar nikla

jisne fateh ki kayenaat saari magar wo bhi
maut ke saamne kitna bebas sikandar nikla

barso jis ko dekhne ki ek tamanna rahi "irshad"
wo samne aaya aur main kafan me benazar nikla



ACHA KALAAM HAI.GOOD POST
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #9 on: September 11, 2011, 10:30:00 AM »
Reply with quote
Janaab Noor Saheb,
Janaab Marhoom Bahyaat Saheb,

Adaaab..!!!!!

Aap ki nawajishoN ke liye tahey dil se shukriya...
khush rahiye....

ALLAH HAFIZ
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #10 on: September 12, 2011, 07:59:45 AM »
Reply with quote
bahut hi khoob... irshad ji..  Applause Applause Applause Applause
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #11 on: September 30, 2011, 05:31:44 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya TAUHID saheb....
Gazhal ko padhne aur pasand karne ke shukriya...
ALLAH HAFIZ
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 02:08:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer