Mandir ki masjidoN ki khabar le ke aa gaya.....( Ghayel )

by Sajid_Ghayel on April 20, 2013, 12:34:47 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1675 times)
Sajid_Ghayel
Guest
Reply with quote
Mandir ki masjidoN ki khabar le ke aa gaya
Yaaro chunaav phir se ghadar le ke aa gaya

Qaasid ko hansta dekh ke maine samajh liya
Koi buri zaroor khabar le ke aa gaya

They saamne hazaar idhar chend logh they
Mera Husain phir bhi jigar le ke aa gaya

Beghar tamam jitne mile mujhko raah mein
Main saare dard apne hi ghar le ke aa gaya

Shikwe shikaytein jo kabhi sunne woh chala
Auro ke apni aankh me dar le ke aa gaya

Ghayel ko aaj dekhiye Maula se kya mile
Tauheed dil me aur yeh sar le ke aa gaya

Sajid Ghayel
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MANDIR KA HO DIYA............(GHAYEL) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Jal gaya nasheman mera.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Khuda ho gaya.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Mujhe Khabar Hai Mere Be Khabar by sayani kuri in Shayri-E-Dard
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #1 on: April 20, 2013, 01:10:23 PM »
Reply with quote
Bahut achhi ghazal kahi hai, Sajid ghayal sahib.Tahe dil se daad pesh hai.
Logged
the soul shaker
Guest
«Reply #2 on: April 20, 2013, 01:46:49 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai ghayal ji aapne
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: April 20, 2013, 01:50:30 PM »
Reply with quote
bhai waah kamaal kar diya
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #4 on: April 20, 2013, 01:52:02 PM »
Reply with quote
Bahot khoob sajid ghayal ji.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #5 on: April 20, 2013, 01:59:29 PM »
Reply with quote
Bahut achchi ghazal likhi hai aapne. dheron daad.
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #6 on: April 20, 2013, 02:18:13 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause

 icon_salut icon_salut icon_salut

 hello
Logged
mkv
Guest
«Reply #7 on: April 20, 2013, 02:21:57 PM »
Reply with quote
ek ghayal kar dene vaali ghazal saheb..
bahut umda, wah wah
in asharoN pe khaas daad
Beghar tamam jitne mile mujhko raah mein
Main saare dard apne hi ghar le ke aa gaya

Shikwe shikaytein jo kabhi sunne woh chala
Auro ke apni aankh me dar le ke aa gaya

Ghayel ko aaj dekhiye Maula se kya mile
Tauheed dil me aur yeh sar le ke aa gaya
Logged
sarfira
Guest
«Reply #8 on: April 20, 2013, 02:26:44 PM »
Reply with quote
bht shaandaar Ghazal sirji
Logged
ASHAL
Guest
«Reply #9 on: April 20, 2013, 02:43:08 PM »
Reply with quote
KAASH HAM INSHA HOTE
NA MULK HOTE NA DIWAR HOTE
NA DHARAM HOTE NA TAQRAR HOTE
KAASH HAM INSHA HOTE
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #10 on: April 20, 2013, 03:46:37 PM »
Reply with quote
Saajid Sahaab Aadaab...!


Kya baat hai janab, bade dinoN baad aaye haiN lagta hai suraj aaj magreeb se nikla hai.. tongue3

Bahut khoobsurat aur umdaa gazal kahi hai janab.. behad gehre aur umdaa ahsaas O khayaal samet laaye haiN aap.. Usual Smile


Is khoob kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye.. bazm meiN shirkat karte rahiye ... aapka hi ghar hai aaya jaya kijiye.. Usual Smile

Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hsfez.. Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #11 on: April 20, 2013, 04:11:38 PM »
Reply with quote
sajid miyaaN aadaab,

kaise hain aap, bade muddaton baad aapse ru-ba-ru huN...

Ahchi tanziya ghazal hai saaheb, ahcha laga aapko itne waqt ke antaraal ke baad padhna, umeed karta hun aane waale dinon me aapke kalam se baar baar mukhatib hone ka mauka mile, aate rahiye saaheb aur yuNhi likhte rahiye...!!
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2013, 06:46:29 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
       
 Bahut umda Kalaam Kaha Hai................
Logged
msanjusethi
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 1
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 16 hours and 6 minutes.

Posts: 235
Member Since: Aug 2012


View Profile
«Reply #13 on: April 20, 2013, 08:38:07 PM »
Reply with quote
Insaaniyat mera dharam h dosti mera imaan
 Nice thought Applause Applause Applause Applause
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #14 on: April 21, 2013, 08:14:27 PM »
Reply with quote
Aap sabhi dosto ka dil se shukriyaa ada karta hu..........apni gair haziri ke bavjood aap sab itna pyaar dete hai mujhe.........thank u so muchhhhh for ur kindness and love.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:46:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer